Umrah ka bayaan

38085559_1347527262048461_3934324462727462912_n

Umrah ka bayaan :

Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 196 :

وَأَتِمُّوا الْحَجَّ وَالْعُمْرَةَ لِلَّهِ

Aur Hajj aur Umrah (ke manaasik) ALLĀH ke liye mukammal karo.

Hadees e Nabawi :
(1) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Umrah se umrah tak un gunaaho ka kaffaara hai jo darmiyaan me hue.”
(Ibne Maajah)

(2) Hazrate Abdullāh ibne Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Ramazaan me Umrah karna mere saath Hajj karne ke barabar hai.”
(Abu Daawūd)

*********
Umrah ki ta’areef :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ehraam baandhkar Niyyat ke saath Ka’abatullāh ka Tawaaf karna aur phir Kohe Safa aur marwa ke darmiyaan Saee karna aur phir Halaq ya Taqseer karna, is ko ‘Umraah’ kehte hain.

*********
Umrah ka Naqsha :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Umrah me 4 Arkaan hote hain :

(1) Ehraam ke saath Niyyat aur Talbiyah [Labbayk] (Shart)
(2) Ka’abatullāh ka tawaaf (Farz)
(3) Safa-Marwa ke darmiyaan Saee (Waajib)
(4) Tahleeq ya Taqseer (Ya’ni Sar mundwaana ya Baal katarwaana) (Waajib).

*********
Umrah ke masaa’il :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Umrah karne waale ko Meeqaat se ehraam baandhna zaroori hai.

Meeqaat 5 hain :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
[1] Zul-Hulaifa – Madeena munawwara ki taraf se aane walo ke liye meeqaat hai. Ise ‘Abyaar e Ali’ bhi kehte hain. Ye Madeena se 7 km ki doori par hai.
[2] Al-Juhfa – Ye Shaam (Syria) aur Misr (Egypt) ki taraf se aane waalo ke liye meeqaat hai.
[3] Zaate Irq – Ye Iraq aur Iran ki taraf se aane waalo ke liye meeqaat hai.
[4] Qarn-ul-Manaazil – Ye Najd aur Khaaleej (Gulf) ki taraf se aane waalo ke liye meeqaat hai. Ye jagah ‘Sail al kabeer’ se mash’hoor hai.
[5] Yalamlam – Ye Hind ki taraf se aane waalo ke liye meeqaat hai.

Baghair ehraam baandhe Meeqaat se aage guzar gaye to jurmaane me Dam (jaanwar ki qurbaani) dena hoga aur Meeqaat par waapas aakar ehraam baandhna hoga.

(2) Makka shareef me qayaam ke dauraan aap jitni baar chaahe Nafl Umrah kar sakte hain.

Nafl Umrah ka Ehraam baandhne ke liye in 2 maqaamaat me se kisi ek jahgah jaana padta hai.
[1] Masjid e Aa’isha – Jo Masjid e Haraam se taqreeban 7.5 ki doori par ‘Tan’eem’ me hai.
[2] Masjid e Juarrana – Jo Makka mukarrama se 25 km ki doori par hai.
Yaha se jo Umrah kiya jaata hai awaam use ‘Bada Umrah’ kehte hain.

(3) Hudood e haram ke baahar Meeqaat tak ke ilaaqe me rehne waale ko ‘Hilli’ kehte hain. In logo ko Hajj ya Umrah ke ehraam apne maqaam se baandhna hoga.

Aur Makka me rehne waale agar Umrah karna chaahe to un ko bhi Masjid e Aa’isha jaakar Ehraam baandhna hoga.

(4) Ehraam ki 2 rak’at nafl namaaz padhkar Umrah ki Niyyat karen.

Umrah ki Niyyat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Allāhumma inni ureedul umrata fayassirha- lee wa taqabbalha minni wa a’inni alayha wa baarik-lee feeha nawaytul umrata wa ahramtu biha lillāhi ta’ala.

Aye ALLĀH, Main Umrah ka iraada karta hu ise tu mere liye aasaan kar aur ise meri taraf se qubool farma au r ise ada karne me meri madad farma aur isko mere liye barkat wala bana. Maine Umrah ki Niyyat ki aur khas ALLĀH ta’ala ke liye is ka ehram bandha.

Phir 3 martaba Talbiyah (Labbaik) padhen.
Mard thoda buland aawaaz se aur aurate aahista se Talbiyah padhen.
Phir Durood shreef padhen aur Dua e khair karen.

Haiz ya Nifaas wali aurte bhi ghusl kare aur ba-tahaarat ehraam baandhe. Aisi islaami bahene ehraam ki namaaz nahi padhengi. Lekin Umrah ki niyyat karna laazami hai.

(6) Ehraam me kasrat se Labbaik padhte rahen aur Kalma, Zikr aur Durood o Salaam padhte rahen.
Aur fuzool baato me ya kaamo me waqt zaaya na karen.

Masjid e Haraam me pahunchkar Tawaaf ki niyyat karne ke baad Labbaik padhna band kar den.

(5) Nafl Umrah Zinda ya Marhoom kisi ke bhi naam se kiya ja sakta hai.

(6) Hajj ke dino me aur khaas kar Ayyam e Tashreeq ya’ani 9 Zil Hijja ki Fajr se 13 Zil Hijja ke Ghuroob e aaftaab tak Umrah ka ehraam baandhna mana hai.

***************
Makka mukarrama aur Madeena munawwara ke muqaddas maqaamaat (Ziyarat-gaahen) :

http://fikreummat.net/ziyaratgaahen/

Aashiqaane Mustafa se guzarish hai ki
Is link ko open karke Post padhen aur Share karen.

*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko Ka’abatullāh aur Roza e Rasool ki ziyarat ki sa’adat ata farmae.
Aameen.

Advertisement

Hajj ka bayaan

38181950_1349389291862258_2431017816715952128_n

Hajj ka bayaan :

Qura’n :
3 Surah Aale Imraan, Aayat 97 :

وَلِلَّهِ عَلَى النَّاسِ حِجُّ الْبَيْتِ مَنِ اسْتَطَاعَ إِلَيْهِ سَبِيلًا ۚ وَمَنْ كَفَرَ فَإِنَّ اللَّهَ غَنِيٌّ عَنِ الْعَالَمِينَ

Aur ALLĀH ta’ala ka haq hai insaan par ke Baitullāh ka Hajj kare jo waha pahunchne ki haisiyat rakhta ho.

5 Surah al-Maa’idah, Aayat 97 :

ALLĀH ne hurmat waale ghar Ka’aba ko logo ke qayaam ka baa’is bana diya hai aur (Zil Hijjah ke) hurmat waale mahine ko (arkaan e Hajj ada karne ke liye chuna hai) aur (Hajj ke liye) Ka’aba (par aane waale logo) ki qurbaani ko aur gale me alaamati patte waale (qurbaani ke) jaanwaro ko bhi (ALLĀH ne hurmat ata farmai), Ye is liye tumhe ilm ho jaaye ke jo kuchh aasmaano me hai aur jo kuchh zameen me hai ALLĀH khoob jaanta hai aur ALLĀH har cheez se bahot waaqif hai.

Hadeeṡ e Nabawi :
Jo shakhs (Hajj farz hone ke baad) Hajj kiye baghair mar jaaye to wo chaahe to Yahudi hokar mare ya Nasraani hokar mare.
(Tirmizi, Jild -1, Safa -167)

***************
 Hajj ki Fazeelaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Hadeeṡe Nabawi :

(1) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Hajj aur Umrah karne waale ALLĀH ta’ala ke mehmaan hain. ALLĀH ta’ala ne inhe bulaaya ye haazir hue, inho ne maanga aur us ne inhe diya.’

(Ibne Maajah, Jild -2, Hadeeṡ -1049)

(2) Hazrte Abdullāh ibne Mas’ood radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ke
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Hajj aur Umrah mohtaaji aur gunaaho ko aise door karte hain jaise bhatti lohe, chandi aur sone ke mail ko door karti hai aur Hajj e mabroor ka sawaab Jannat hi hai.’

(Tirmizi;
Ibne Maajah;
Ibne Khuzayma)

(3) Hajj un gunaaho ko khatm kar deta hai jo paishtar hue.

(4) Jis ne Hajj kiya aur Rafs (fahash kalaam) na kiya aur fisq na kiya to gunaaho se paak hokar aise lauta jaise us din maa ke pait se paida hua.
(Bukhari)

(5) Ek Umrah dusre umrah tak un gunaaho ka kaffaara hai jo darmiyaan me hue aur Hajj e mabroor ka sawaab jannat hi hai.
(Ibne Maajah)

(6) Haaji ki maghfirat ho jaati hai aur haaji jis ke liye kare us ki bhi.
(Al-Targheeb wal Tarheeb, 167/2)

(7) Haaji apne ghar waalo me se 400 ki shafa’at karega.

(8) Jo Hajj ke liye nikla aur faut ho gaya to Qayaamat tak us ke liye Hajj ka ṡawaab likha jaayega aur Jo Umrah ke liye nikla aur faut ho gaya us ke liye Qayaamat tak Umrah ka ṡawaab likha jaayega aur Jo Jihaad ke liye gaya aur mar gaya us ke liye Qayaamat tak Ghaazi (Mujaahid) ka ṡawaab likha jaaeyga.

(Sho’ab-ul-Eimaan)

(9) Jo us raah me (Hajj ya Umrah) ke liye nikla aur mar gaya us ki paishi nahi hogi, na hisaab hoga aur kaha jaayega tu jannat me daakhil ho jaa.

(Tibrani;
Bayhaqi)

(10) Agar koi apni (marhoom) Maa ya Baap ki taraf se Hajj kare to un ki taraf se Hajj ada ho jaayega aur use (ya’ni Hajj karne waale ko) majeed 10 Hajj ka ṡawaab milega.

(Daraqutani, Jild -2, Safa -229, Hadeeṡ -2587)

***********
 Hajj 9 Hijri me Farz hua. Is saal Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Ameer ul Hujjaj banakar Sahaaba e kiraam ke saath Hajj ke liye bheja.

 10 Hijri me Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hajj ada kiya. Ye hajj ‘Hajjatul Wida’ ke naam se mash’hoor hai.
Kyun ki is Hajj me aap ne apne ashaaba se farmaaya ‘Mujh se Hajj ke ahkaam sikh lo ke is ke baad main Hajj na karunga.’
Aap ne is hajj ke dauraan kai maqaamat par apne ashaaba ke sawaalo ke jawaab diye aur un ko Hajj aur Shariat e islaam ke baare me baaten batai.
Isi dauraan Surah al-Ma’idah ki aayat 3 ‘Al-yauma akmaltu lakum deenkum wa atmamtu alaikum niamati wa radeetu lakumul islaam deenan’ naazil hui.
Aur ALLAH ta’ala Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki dua se Arfaat me Huqooqullāh aur Muzdalifah me Huqooq ul ibaad muaf karne ka waada farmaaya hai.

***********
 Hajj ki ta’areef :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
ALLĀH ta’ala ki Ibaadaat ke liye Ehraam ke saath Niyyat karke Zil Hijja ke 5 din me ya’ni 8we chaand se 12we din tak Mina me qayaam karke musalsal muqarrar din ko muqarrar waqt par muqarrar maqaam par tarteeb ke saath muqarrar arkaan ya’ni Wuqoof e Arafa, Wuqoof e Muzdalifa, Rami e Jimaar, Qurbaani, Halaq ya Taqseer aur Tawaaf e Ziyarat ada karne ko ‘Hajj’ kehte hain.

***********
 Masaa’il :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hajj us musalman par Farz hai jo Aaqil, Baaligh,Tandurast aur Saahib e isteta’at ho.
Agar in shara’it me se ek baat bhi maujood na ho to Hajj Farz nahi ya’ani Kaafir par, Na-baaligh par, Majnoon (paagal) par, Apaahij ya ma’azoor par, Ghulaam par ya Faqeer (ghareeb) par Hajj farz nahi. Agar aise shakhs ne Hajj kiya to wo Hajj e nafl hoga aur jab us me ye tamaam shara’it aa jaaye to use phir se use Farz hajj karna hoga.

Saahib e isteta’at se muraad wo shakhs hai jis ke paas itna maal hai ke wo Hajj ke safar ka kharch kar sake aur saath me us ke maatehat ya’ni ahlo ayaal, khaadim aur jin ki parwarish un ke zimme hai hajj ke safar se waapas aane tak un ki zaroorat ke liye maal chhod sake.

(2) Musalman par Hajj sirf ek baar hi Farz hai.
Is ke baad jab bhi karega ‘Nafl’ hoga.

(3) Jab Hajj ke liye jaane par qaadir ho gaya foran ya’ni usi saal me hajj farz ho gaya aur ab taakhir karna gunaah hai. Chand saal tak na kiya to Faasiq hai aur us ki gawaahi mardood hogi.
Magar jab karega ada hi hai, Qaza nahi.

(4) Kisi ne Hajj ki Mannat maani to wo kaam pura hone par Hajj ada karna Waajib hai.

(5) Hajj ka Ehraam baandha magar ada na kiya to Tauba bhi karni hogi aur aa’inda saal phir se Ehraam baandhkar Hajj ada karna hoga. Agar Makka me hai to Masjid e Haraam aakar Umrah kar le ya’ni Tawaaf aur Saee karke phir Halaq ya Qasr karke Ehraam se baahar ho jaaye.

(6) Jis ka Hajj faut ho gaya ya’ni 9wi Zil Hijja ko muqarrar waqt par Wuqoof e Arafa na mila ho to Masjid e Haraam aakar Umrah kar le ya’ni Tawaaf aur Saee karke phir Halaq ya Qasr karke Ehraam se baahar ho jaaye.
Qaarin ka Hajj fot ho gaya to wo Umrah ka Tawaaf wa Saee karne ke baad ek aur Tawaaf wa Saee kare aur phir Halaq ya Taqseer karke Ehraam se baahar ho jaaye.
Aur aa’inda saal phir se Ehraam baandhkar Hajj ki Qaza kare. Umrah kar chuka hai is liye Umrah ki Qaza nahi.

›› Jis ka Hajj faut hua us ne Umrah karke Ehraam na khola aur usi Ehraam se aa’inda saal Hajj kiya to Hajj sahi na hua. Is liye aa’inda saal naye Ehraam se Hajj karna hoga.

(7) Jis par Hajj Farz ho aur kisi Uzr ki wajah se khud hajj na kar sakta ho to wo apne badle kisi aur ko Hajj ke liye bhej sakta hai. Ise ‘Hajj e Badal’ kehte hain.
Agar dusre ko Hajj e badal ke liye bhejne wala Aajiz na ho ya’ani khud Hajj kar sakta ho to us ki taraf se koi Hajj nahi kar sakta aur karaye to wo Hajj kaafi nahi.
Hajj ke waqt se marne ke waqt tak uzr barabar baaqi rehna zaroori hai. Agar bich me is qaabil ho jaaye ke khud Hajj kar sake to khud Hajj karna zaroori hai, pehle wala Hajj us ke liye kaafi nahi. Haan agar aisa koi uzr tha jis ki jaane ki ummeed na thi aur ittefaakan jaata raha to pehla Hajj jo us ki taraf se kiya gaya wo kaafi hai. Jaise wo andha tha aur Hajj karane ke baad wo ankhyaara ho gaaya to ab dubara Hajj karane ki zaroorat nahi.

**************
 Hajj ke muta’aalliq chand zaroori baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Jis ki ijaazat lena waajib hai baghair un ki ijazat Hajj ka safar makrooh hai jaise Waalidain ya Shohar, unhe raza-mand kar len. Agar maa-baap na ho to Daada-daadi ke liye bhi yahi hukm hai.
Agar ijaazat na mile tab bhi farz hajj ke liye chale jaayen.
Nafl hajj ho to mutlaqan waalidain ki ita’at karen.

(2) Aurat ke saath us ka Shohar ya Mahram hona laazmi hai.
Mahram use kehte hain jis se us ka nikaah hamesha ke liye haraam hai.
(Baghair maharam ke hajj karegi to Hajj ho jaayega magar har qadam par gunaah likha jaayega.)

(3) Hajj ke safar ka maqsad sirf ALLĀH ta’ala ki raza aur izhaar e ishq e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam hona chahiye, Riyakaari (dikhaawa) aur fakhr nahi.

(4) Saamaan e safar Halaal maal se len warna Hajj qubool hone ki ummeed nahi, agarche farz ada ho jaayega.

(5) Agar Ghusl, Wuzu, Namaaz, Roza wagairah ke sahih masa’il ma’aloom na ho to sikh len.

***********
 Hajj ki Qismen :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Hajj ada karne ke 3 tareeqe hain :
(1) Hajj e Ifraad (2) Hajj e Tamattu’ (3) Hajj e Qiraan.

(1) Hajj e Ifraad – Meeqat aur hudood e haram ke darmiyaan rehne waale log Hajj e Ifraad karte hain.
Is me sirf Hajj ka Ehraam baandha jaata hai aur is me Umrah saamil nahi hai.
Mufrid (Hajj e Ifraad karne waale) par Qurbaani waajib nahi balke mustahab hai. (Agar mufrid ki niyaat Qurbaani karne ki hai to qurbaani karne ke baad Halaq ya Qasr karaye aur Ehraam utar de.)

(2) Hajj e Tamattu – Meeqat ke baahar se aane wale Hajj e tamattu’ ada kar sakte hain.
Is me Meeqaat se pehle sirf Umrah ki niyyat ki jaati hai. Umrah ada karne ke baad Halaq ya taqseer karwa ke Ehraam khol diya jaata hai aur Zil Hijja ke 8we chaand tak Makka shareef me qayaam kiya jaata hai. Zil Hijja ke 8we chaand phir se Masjide Haram se Ehraam baandh kar Hajj ki niyyat ki jaati hai.

(3) Hajj e Qiraan – Ye Hajj sab se afzal hai aur is ka sawaab ziyada hai.
Is me Umrah aur Hajj ka ehraam ek saath baandha jaata hai ya’ni dono ki niyyat ek saath ki jaati hai.
Qaarin Umrah ke baad jo pehla tawaaf karta hai use ‘Tawaaf e Qudoom’ kehte hain, jo Sunnat hai. Tawwaf e Qudoom ke saath Saee karne ka iraada ho to pehle 3 phero me Ramal aur Iztibah bhi karen.
Qaarin ko Umrah pura hone par Halaq ya Qasr nahi karana hai aur Ehraam bhi nahi utarna hai. Qaarin Ehraam ki haalat me hi hone ke sabab use 8wi Zil Hijja ko Hajj ka Ehraam baandhne ki zaroorat nahi.
Qaarin 10 Zil Hijja ko bade shaitaan ki Rami karne ke baad Qurbaani kare aur Halaq ya kasar karaaye. Is ke baad Ehraam ki paabandi khatm ho jaati hai. Yaha tak ehraam ki tamaam paabandiya jaari rahegi.
Hajj e Qiraan karne waale se koi Jurm (galti) ho jaye to use Dugna jurmaana (kaffaara) ada karna hoga.

***********
 Manaasik e Hajj :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
›› 8 Zil Hijja :
Hajj ka pehla din – Yaum e Tarwiyyah :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
 Ehraam ke saath Niyyat karke Mina pahunchna. (Shart)
 Mina me Zohar, Asr, Maghrib, Ishaa aur 9wi Zil Hijja ki Fajr ki namaaz padhna. (Sunnat)

“”””””””””
›› 9 Zil Hijja :
Hajj ka dusra din – Yaum-ul-Hajj :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
 Suraj nikalne ke baad Arafaat me jaakar rookna. (Farz)
 Zohar aur Asr ki namaaz padhna.
 Sooraj ghuroob hone ke baad baghair Maghrib ki namaaz padhe Arafaat se nikalna. (Waajib)
 Muzdalifah pahunchkar Maghrib aur Ishaa ki namaaz ek saath padhna. (Waajib)
 Phir Rami ke liye kankariya chunna.

“”””””””””
›› 10 Zil Hijja :
Hajj ka teesra din – Yaum-un-Nahar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
 Fajr ki namaaz padhkar sooraj nikalne ke thodi der tak Muzdalifah me rookna. (Sunnat)
 Phir Mina me jaakar bade shaitaan ko 7 kankariya marna. (Waajib)
 Phir Qurbaani karna. (Waajib)
 Phir Sar ke baal mundwana ya katarwana. (Waajib)
 Phir Ghusl karke Ehraam ka libaas utaarna.
 Phir Tawaaf e Ziyarat karna. (Farz)
(Is Tawaaf ke saath Saee bhi karna hai.)

“”””””””””
›› 11 Zil Hijja :
Hajj ka chotha din – Yaum e Tashriq :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
 Zawaal ke baad Teeno Jamraat ki Rami karna. (Waajib)
 Qurbaani aur Tawaaf e Ziyarat agar 10wi Zil Hijja ko na kiya ho to aaj karna hai.

“”””””””””
›› 12 Zil Hijja :
Hajj ka 5wa din – Yaum e Tashriq :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
 Zawaal ke baad Teeno Jamraat ki Rami karna. (Waajib)
 Qurbaani aur Tawaaf e Ziyarat agar agle 2 dino me na kiya ho to aaj karna hai.

“”””””””””
► Tawaaf e Ziyarat ka waqt 12wi Zil Hijja ko ghuroob e aaftaab se pehle tak hi hai.

“”””””””””
► 12 Zil Hijja ko tamaam umoor se faarigh hokar aap Makka aa sakte hain.
Magar behtar hai ke aap Mina hi me rook kar 13 Zil Hijja ko bhi Rami karke Makka aayen.

“”””””””””
 Tawaaf e Wida (Tawaaf e Rukhsat) :
Jab Makka se rawaana hone ka waqt aaye tab ye Tawaaf karna hai.
(Meeqaat ke baahar se aane wale Haajiyo par Waajib hai.)

***********
 Hajj ke Fara’iz :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ehraam ke saath Hajj ki Niyyat karna.
(2) Wuqoof e Arafaat ya’ni 9wi Zil Hijja ko Zawaal ke baad se Arafaat me thehrna.
(3) Tawaaf e Ziyarat.
(4) Arkaan ki tarteeb.
(5) Har farz ko us ke waqt par ada karna.

 Hajj ke Waajibaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Meeqaat se Ehraam bandhna.
(2) Wuqoof e Arafaat me sooraj doob jaaye waha tak thehrna.
(3) Wuqoof e Muzdalifah.
(4) Muzdalifah me aakar Maghrib wa Ishaa ki namaaz ikttha ada karna.
(5) Muzdalifah se Mina aakar Rami e Jimaar karna ya’ni 10wi ko bade shaitaan ko kankariya maarna (Tuloo e aaftab se zawaal tak ka waqt Sunnat hai.) aur 11wi aur 12wi ko Zawaal ke baad teeno shaitaano mo kankariya maarna.
(6) Bade shaitaan ki Rami ke baad Qurbaani karna aur baad me Halaq ya Kasar karana.
(7) Qaarin aur Mutamatti par Qurbani waajib hai.
(8) Wuqoof e Arfaat ke baad se sar mundaane ya baal katrwaane tak Jima’a na karna.
(9) Tawaaf e Ziyarat ke pehle 4 chakkar farz aur baaqi 3 chakkar waajib hai.
(10) Saee arna ya’ni Safa-Marwa ke darmiyaan 7 chakkar lagaana.
(11) Tawaaf e Wida (Tawaaf e Rukhsat)
(Meeqaat ke baahar se aane wale Haajiyo par Waajib hai.)

 Hajj ki Sunnaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Tawaaf e Qudoom (Mufrid aur Qaarin ke liye Sunnat hai.)
(2) Tawaaf e Farz ya Tawwaf e Qudoom me Ramal karna.
(3) Saee me Safa-Marwa ke darmiyaan jo Milain akhzarain hain unke darmiyaan mardo ko daudna.
(4) Hajj ke liye 8we chaand namaaz e Fajr ke baad Makka shareef se rawaana hona aur Mina me 5 namaazen padhna.
(5) 9wi raat Mina me guzaarna aur sooraj nikalne ke baad Mina se Arfaat ko rawaana hona.
(6) Wuqoof e Arafaat ke liye Ghusl karna.
(7) Arafaat se waapasi me Muzdalifah me raat thehrna aur Tuloo aaftaab (sooraj nikalne) se pehle Muzdalifah se mina ki taraf rawaana hona.
(8) Qurbaani aur Halaq ya taqsir ke baad ghusl karke ehraam utaar dena.
(9) Mabeet ya’ni 11wi, 12wi aur (13wi ko rookna ho to) 13wi raat Mina me guzaarna.

***********
 Aashiqaane Mustafa ko sab se badi khushqismati ye haasil hogi ke
Makka me Hajj ke arkaan ada karne ke baad wo Madeena munawwara me Roza e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam par haazir hokar Ziyarat karenge aur Salaam pesh karenge.
Aur Masjid e Nabawi me Ibaadat aur Dua karenge.

***********
Hajj Training Camp :

http://fikreummat.net/hajj-training-camp/

Makka mukarrama aur Madeena munawwara ke muqaddas maqaamaat (Ziyarat-gaahen) :

http://fikreummat.net/ziyaratgaahen/

Aashiqaane Mustafa se guzarish hai ki
Is links ko bhi open karke post padhen aur Share karen.

***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko Ka’abatullāh aur Roza e Rasool ki ziyarat ki sa’adat ata farmae.
Aur jo khushnaseeb Mo’min Hajj ke liye jaa rahe hain un ki Hajj, Umrah, Tawaaf aur Ibaadat ko aasaan farmae aur qubool farmae.
Aur un ki tamaam jaa’iz duaen qubool farmae.
Aameen.