MEHBOOB KE KADMON MAY

lailahailallah-768x576

HIQAYAT:-
*********
Maidaan-A-Uhad May Hazrat Ammaar Bin Zyad Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Dil May Ek Kaafir Ka Teer Aagaya! Hazrat Ammaar Lad-khadaker Gir Gaye! Dil Per Hath Rakhker ALLAH Se Arz Ki, Ki Ya ILAHI! Mujhe Apne Mehboob (SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM) Ki Ziyarat Karlene De! Fir Meri Jaan Nikle!
Chunanche, Zameen Per Girte Hi Aapne Apni Nazron Se Huzoor Ki Talaash Shuru Ki Aur Aapne Dekha Ki Huzoor Thodi Dur Tashrif Farma Hain!
Chunanche, Aap Zameen Per Ghisat-te Hue Aahista-Aahista Huzoor Tak Pahuch Gaye! Fir Apna Mooh Huzoor Ke Kadmon Per Rakh Diya Aur Apne Rukhsaar (Gaal) Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Talwoan Per Malte Jaate Aur Yeh Kehte Jate The-
Rabbe Kaaba Ki Kasam Main Apni Muraad Ko Pahuch Gaya! Rabbe Kaaba Ki Kasam! Main Apni Muraad Ko Pahuch Gaya! Fir Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Kadmon Hi May Jaam-A-Shahadat Nosh Farma Liya!

(Tarikh Islam Pg-172)

************************
SABAK:-
********
Sahaba-A-Kiraam Ki Sabse Badi Muraad Yeh Thi Ki Mehboob-A-Kibriya Mohammad-A-Mustafa SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Kadmon Per Jaan Nikle!

Ba-Qaul Shayer;

Nikal Jaye Dam Tere Kadmon Ke Niche!
Yahi Dil Ki Hasrat, Yahi Aarzoo Hain!

Malum Hua Ki In Pak Logon Ki Bahoat Badi Shaan Hain! Inse Mohabbat Rakhna Mehboob-A-Kibriya SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Se Hi Mohabbat Rakhna Hain!

************************

Advertisement

Allahumma inni awuzbika min jahdil-bala

Islamic-Wallpaper-768x432

Bismillahirrahmanirrahim

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ جَهْدِ الْبَلاَءِ، وَدَرَكِ الشَّقَاءِ، وَسُوءِ الْقَضَاءِ، وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ
(Allahumma inni awuzbika min jahdil-bala, wa darkish-Shaqa, wa Sueel-Qadha wa Shamatihil-Aa’adaa)
——————
Tarjuma : Ya Allah main teri panah maangta hu Aazmayeesh ki pareshaniyon se, badbakhti se, bure khatme se aur dushman ke hansne (malamat) se.
——————
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH se panaah manga karo Aazmayeesh ki pareshaniyon se, badbakhti se, bure khatme se aur dushman ke hansne (malamat) se.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6616
——————
अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह से पनाह माँगा करो आज़माईश की परेशानियों से, बदबख्ती से, बुरे ख़ात्मे से और दुश्मन के हँसने (मालमत) से.
सही बुखारी, जिल्द 8, 6616
——————
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, “Take refuge with ALLAH from the difficulties of severe calamities, from a bad fate and having an evil end and from the malicious joy of your enemies.”
Sahih Bukhari, Book 77, Number 613

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

muhammad_alayhi_s-salam-768x745

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai,
jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati
hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee
to wo jannati hai.

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي،
لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ،
وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ،
أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ،
أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي،
فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ ‏
‏‏.‏ قَالَ ‏ وَمَنْ قَالَهَا مِنَ النَّهَارِ مُوقِنًا بِهَا، فَمَاتَ مِنْ يَوْمِهِ قَبْلَ أَنْ يُمْسِيَ، فَهُوَ مِنْ أَهْلِ الْجَنَّةِ،
وَمَنْ قَالَهَا مِنَ اللَّيْلِ وَهْوَ مُوقِنٌ بِهَا، فَمَاتَ قَبْلَ أَنْ يُصْبِحَ، فَهْوَ مِنْ أَهْلِ الْجَنَّةِ ‏‏‏

✦ Tarjuma : Eh Allah tu mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni
taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki shar ( burayee) se panah maangta hu jiska maine
irtaqab kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata ki, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu
mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi)
✦ Sahih Bukhari, Vol 7, 6306

ZIBRAYIL AMIN AUR EK NOORANI TARA

 

HIQAYAT:-
**********
Ek Martaba Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Hazrat Zibrayil Amin Alaihis Salam Se Daryaft Farmaya, Ki Aye Zibrayil! Tumahri Umr Kitni Hain?
To Zibrayil Alaihis Salam Ne Arz Kiya, Huzoor! Mujhe Kuch Khaber Nahi! Haan, Itna Jaanta Hoon Ki Chauthe Hijaab May Ek Noorani Tara 70 Hazaar Baras Ke Baad Chamakta Tha! Maine Use 72 Hazaar Martaba Chamakte Dekha Hain! Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Yeh Sunker Farmaya,
“Mere Rab Ki Izzat Ki Kasam! Main Hi Wo Noorani Tara Hoon!”

(Roohul Bayaan, Jild-1, Pg-974)

***********************************
SABAK:-
*******
Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Qainaat Ki Har Chiz Se Pehle Paida Farmaye Gaye Hain! Aapka Noor-A-Paak Us Waqt Bhi Tha Jabki Na Koi Farishta Tha, Na Koi Basher, Na Zameen Thi, Na Aasmaan Aur Na Koi Shai!
FA-SALLALLAHU-T­A’AALA-ALAIHI-W­ASALLAM!

ZIKR KARNE WALON PER REHMAT-A-ILAAHIYA

 

HADEES:-
*********
Aamash Ne Abu Saleh Se, Unohne Hazrat Abu Huraira Aur Hazrat Abu Saeed Khudri Radi-Allahu-Ta’aala Anhum Se Riwayat Ki Hain Ki, Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, ALLAH-TA’AALA Ne Naam-A-Aamaal Likhne Wale Farishton Ke Ilawa Aise Syyaha (Ghoomne Wale) Farishton Ko Paida Farmaya Jo Zameen May Sargarme Safar Rehte Hain, Jab Wo Kisi Jamaat Ko Zikr May Mashgul Paate Hain To Dusron Se Kehte Hain Ki Idher Apni Matlooba Chiz Ki Taraf Aao, Lihaza Wo Sab Farishte Jama Hojate Hain Aur Uneh Aasmaan Tak Ghere May Le Lete Hain!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain Mere Bandon Ko Tumne Kis Haal May Chhoda? Wo Kya Kar Rahe The?
Farishte Kehte Hain, Ya Rabbul Aalameen! Wo Teri “HAMDH” Teri Bujurgi Aur Teri Tasbih Bayaan Kar Rahe The!

Rab Ta’aala Farmata Hain Kya Unohne Mujhe Dekha Hain?
Farishte Arz Karte Hain, Nahi!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain, Agar Wo Mujhe Dekhlen To Unki Kya Haalat Hogi?
Farishte Arz Karte Hain, Agar Wo Tujhe Dekhlen To Isse Bhi Zyyada Teri Tasbih Wa Tamhidh Karen!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain, Wo Kis Chiz Se Panah Maang Rahe The?
Farishte Kehte Hain, Jahannam Se Panah Maang Rahe The!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Kya Unohne Jahannam Ko Dekha Hain?
Farishte Arz Karte Hain, Nahi!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Agar Wo Jahannam Ko Dekhlen To Unki Kya Haalat Hogi?
Farishte Arz Karte Hain, Ki Agar Wo Jahannam Ko Dekhlen To Usse Aur Zyada Bhaage Aur Nafrat Karen!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Wo Kya Chiz Maang Rahe The?
Farishte Arz Karte Hain, Wo Jannat Ka Sawaal Kar Rahe The!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain, Kya Unohne Jannat Ko Dekha Hain?
Farishte Kehte Hain, Nahi!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Agar Wo Jannat Ko Dekhlen To Unki Kya Haalat Hogi?
Farishte Kehte Hain, Wo Use Aur Zyada Chahege!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Main Tumeh Gawah Banata Hoon Ki Maine Un Sabko Baksh Diya!
Farishte Arz Karte Hain, Un May Fala Bin Fala Bhi Tha Jo Apni Kisi Zarurat Keliye Aaya Tha!
Rab-Ta’aala Farmata Hain, Yeh Aisi Jamaat Hain Jiska Ham-Majlis Wa Ham-Nasheen Bhi Mehroom Nahi Hoga!

“SUBHANALLAH”

(Mukashfatul Kulub, Pg-309)