Day: March 7, 2020
About the transient nature of this world and importance of the next world
So now, surely this world has turned its back and announced its departure while the next world has appeared forward and proclaimed its approach. Today is the day of preparation while tomorrow is the day of racing. The place to proceed to is Paradise while the place of doom is Hell. Is there no one to offer repentance over his faults before his death? Or is there no one to perform virtuous acts before the day of trial?
Beware, surely you are in the days of hopes behind which stands death. Whoever acts during the days of his hope before approach of his death, his action would benefit him and his death would not harm him. But he who fails to act during the period of hope before the approach of death his action is a loss and his death is a harm to him. Beware, and act during a period of attraction just as you act during a period of dread. Beware; surely I have not seen a coveter for Paradise asleep nor a dreader from Hell to be asleep. Beware, he whom right does not benefit must suffer the harm of the wrong, and he whom guidance does not keep firm will be led away by misguidance towards destruction.
Beware, you have been ordered insistently to march and been guided how to provide for the journey. Surely the most frightening thing which I am afraid of about you is to follow desires and to widen the hopes. Provide for yourself from this world what would save you tomorrow (on the Day of Judgement).
as-Sayyid ar-Radi says: If there could be an utterance which would drag by neck towards renunciation in this world and force to action for the next world, it is this sermon. It is enough to cut off from the entanglements of hopes and to ignite the flames of preaching (for virtue) and warning (against vice). His most wonderful words in this sermon are “Today is the day of preparation while tomorrow is the day of race. The place to proceed to is Paradise while the place of doom is Hell,” because besides sublimity of words, greatness of meaning, true similes and factual illustrations, there are wonderful secrets and delicate implications therein.
It is his saying that he place to proceed to is Paradise while the place of doom is Hell. Here he has used two different words to convey two different meanings. For Paradise he has used the word “the place to proceed to” but for Hell this word has not been used. One proceeds to a place which he likes and desires, and this can be true for Paradise only. Hell does not have the attractiveness that it may be liked or proceeded to. We seek Allah’s protection from it. Since for Hell it was not proper to say “to be proceeded to” Amir al-mu’minin employed the word “doom” implying the last place of stay where one reaches even though it may mean grief and worry or happiness and pleasure.
This word is capable of conveying both senses. However, it should be taken in the sense of “al-masir” or “al-ma’al”, that is, last resort. Qur’anic verse is “say thou “Enjoy ye (your pleasures yet a while ), for your last resort is unto the (hell) fire” (14:30). Here to say “sabqatakum” that is, “the place for you to proceed to” in place of the word “masirakum” that is, your doom or last resort would not be proper in any way. Think and ponder over it and see how wondrous its inner implication is and how far its depth goes with beauty. Amir al-mu’minin’s utterance is generally on these lines. In some versions the word “sabqah” is shown as “subqah” which is applied to reward fixed for the winner in a race. However, both the meanings are near each other, because a reward is not for an undesirable action but for good and commendable performance.
हज़रत अली (अलैहिस्सलाम) के कथन (157 – 170)
हज़रत अली (अलैहिस्सलाम) के कथन (157 – 170)
157
अगर तुम देखना चाहो तो तुम को दिखाया जा चुका है, अगर तुम उपदेश हासिल करना चाहो तो तुम को उपदेश दिया जा चुका है और अगर तुम सुनना चाहो तो तुम को सुनाया जा चुका है।
158
अपने भाई पर एहसान करके उस को सुधारने की कोशिश करो और उस से होने वाली हानि को उस पर कृपा करके दूर करो।
159
अगर कोई व्यक्ति ख़ुद को बदनामी वाली जगहों पर ले जाए और फिर अगर कोई दूसरा उस के बारे में बुरा ख़याल करे तो फिर वो उस को बुरा न कहे।
160
जिस को सत्ता मिल जाती है वो पक्षपात करने ही लगता है।
161
जो केवल अपनी राय से काम लेगा, तबाह हो जाएगा और जो दूसरों से मशवरा करेगा उन की अक़लों में शरीक हो जाएगा।
162
जो अपने भेदों को छिपाए रहे गा उस को ख़ुद पर पूरा क़ाबू रहेगा।
163
निर्धनता सबसे बड़ी मौत है।
164
अगर कोई किसी ऐसे व्यक्ति का हक़ अदा करता है जो उस का हक़ अदा न करता हो तो फिर वो उस का ग़ुलाम बन जाता है।
165
किसी की किसी ऐसी आज्ञा का पालन नहीं करना चाहिए जिस से परवरदिगार की अवज्ञा होती हो।
166
अगर कोई व्यक्ति अपना हक़ माँगने के बारे में देर करे तो उस को ग़लत नहीं कहा जा सकता, ग़लत तो वो व्यक्ति है कि जो उस चीज़ की तरफ़ हाथ बढ़ाए जो उस की न हो।
167
स्वाभिमान प्रगति में बाधक होता है।
168
मृत्यु निकट है और दुनिया में दूसरों के साथ रहना सहना बहुत कम है।
169
आँख वाले के लिए सुबह हो चुकी है।
170
पापों को त्याग करना बाद में तौबा तलब करने से आसान है।
Maah e Ramazaan
Maah e Ramazaan Mubarak.
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦Ramazaan lafz ‘Ramad’ se bana hai jis ka ma’ana hai Tapaana ya Jala dena.
Is mubarak mahine me musalman Roze ki ibaadat me bhuk pyaas ki shiddat bardaasht karte hain aur ALLĀH ta’ala apne fazl wa rahmat se un ke gunaah jalaakar mita deta hai aur Parhezgaari ki taufiq ata farmaata hai.*******************
Maahe Ramazaan ki fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 185 :Ramazaan ka mahina (mubarak hai) jis me Qur’an naazil hua hai jo logo ke liye hidaayat hai aur raahnumaai karne wala hai aur (haq wa baatil me) imtiyaaz karne waali nishaaniya hain, Pas tum me se jo koi is mahine ko paa le to wo us ke Roze zaroor rakhe aur jo koi beemaar ho ya safar par ho to dusre dino (ke roze) se ginti puri kare, ALLĀH tumhare haq me aasaani chaahta hai aur tumhare liye dushwaari nahi chaahta, Aur is liye ke tum ginti puri kar sako aur us ne tumhe jo hidaayat farmaai hai us par us ki badai bayaan karo aur is liye ke tum shukr guzaar ban jaao.
Hadeeṡe Nabawi :
(1) Hazrate Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Jab Maahe Ramazaan ki pehli raat hoti hai to shaitaan aur sarkash jinn qaid kar liye jaate hain aur Jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain aur un me se koi darwaaza khola nahi jaata aur Jannat ke darwaaze khol diye jaate hain aur un me se koi darwaaza band nahi kya jaata aur Munaadi pukarta hai, Aye khair ki talab karne wale, Mutawajjeh ho aur burai ka iraada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLĀH ta’ala bahot se logo ko dozakh se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai.’
(Tirmizi;
Ibne Maajah)(2) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Ramazaan me Zikr e Ilāhi karne waala bakhsh diya jaata hai aur is mahine me ALLĀH se maangne wala mehroom nahi rehta.’
(Sho’ab ul Eimaan, Hadeeṡ -3627)(3) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Jis kisi ne is (Maah e Ramazaan) me ALLĀH ki raza ki khaatir bhala kaam kiya to wo aam dino ke muqaabil ek farz ke barabar sawaab kamaaya. Aur jo koi is mubarak Maah me ek farz amal ada karega to goya us ne aam dino ke muqaabil 70 guna zyada ṡawaab kamaaya.’
(Ibne Khuzaymah, Hadeeṡ -1887)(4) Hazrat Abu Huraira Radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Ramazaan me ek raat aisi hai jo hazaar mahino se behtar hai jo is ki bhalaiyo se mehroom raha wo beshak mehroom hai.’
(Nasai)(4) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Maah e Ramazaan sabr ka mahina hai aur sabr ka ajr Jannat hai.’(5) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Jo Musalman Jum’aa ki raat ya din me ya Ramazaan ke pure mahine me (Din ya raat me) mare use Qabr me sawaal nahi hoga.’
(Musand Imaam Ahmad, Hadeeṡ -8080)********************
Ye Mubarak mahina tamaam mahino ka sardaar hai.Jis ke Pehla ashra Rahmat ka, Dusra ashra Maghfirat ka aur Aakhri ashra dozakh se najaat ka hai.
Aur is me Shab e Qadr ki mubarak raat aati hai, jo hazaar mahino se afzal hai.Is me ALLĀH ta’ala Shaitaan ko qaid me daal deta hai.
Aur is Mo’mino me zyada Ibaadat karne ka jazba aur dilchaspi paida hoti hai.ALLĀH ta’ala har neki ka ṡawaab zyada ata karta hai aur Duaen bhi jaldi qubool farmaata hai.
Nafl ka ṡawaab Farz ke barabar hota hai aur Farz ka ṡawaab 70 guna hota hai.Is mahine marne waale ko ALLĀH ta’ala bakhsh deta hai.
Mo’min ko chaahiye ke wo Roza, Namaaz, Tilawaat e Qur’an, Zikr, Durood o salaam, Zakaat, Sadqa, Khairaat karke Rab ta’ala ko raazi karne ki koshish kare.
Is mubarak mahine me khaas kar Iftaar ke waqt ALLĀH ta’ala sab ki nek jaa’iz dua qubool farmaata hai.
Is liye sab ke liye dua karen ki ALLĀH ta’ala hume ye mubarak mahina baar baar ata farmae.********************
Maahe Ramazaan ka Chaand dekhkar Surah an-Naas padhen :بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ
مَلِكِ النَّاسِ
إِلَٰهِ النَّاسِ
مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ
مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِBismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Qul aoozu bi-rabbin naas.
Malikin naas.
Ilāhin naas.
Min sharril waswaasil khannaas.
Al-lazee yuwaswisu fee sudoorin naas.
Minal jinnati wan naas.Phir ye masnoon dua padhen :
ﺍﻟﻠَّﻬُﻢَّ ﺃَﻫِﻠَّﻪُ ﻋﻠَﻴْﻨَﺎ ﺑِﺎﻷَﻣْﻦِ ﻭﺍﻹِﻳﻤَﺎﻥِ ﻭَﺍﻟﺴَّﻼﻣَﺔِ ﻭﺍﻹِﺳْﻼﻡِ ، ﺭَﺑّﻲ ﻭﺭَﺑُّﻚَ ﺍﻟﻠَّﻪ ، هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbi wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khayrin.Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is (mahine) ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Mera Rab aur tera Rab ALLĀH hai ye chaand hidaayat aur khair waala ho.
(Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan)Phir ye padhen :
Wal hamdulillāhillazee khalaqa wa qaddaralaka manazila wa jalaka aaayatan lil aalameen.********************
Maahe Ramazaanul mubarak ka chaand dekhkar Maghrib ki namaaz ada karne ke baad Surah al-Qadr 21 martaba padhen. Saath me Awwal Aakhir 3-3 martaba Durood shareef padhen :بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم
إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ
تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ
سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِBismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Inna anzalnahu fee laylatil qadr.
Wa maa adraaka maa laylatul qadr.
Laylatul qadr khayrum min alfi shahr.
Tanazzalul malaa’ikatu war roohu feehaa bi-izni rabbihil min kulli amrin.
Salaamun hiya hattā matla’il fajr.****************
Maah e Ramazaan khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Ghauṡe aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu;
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Muhammad Fazal Ali Shaah Qureshi rahmatullāhi alaihi (Miskeenpur / Pakistan);
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Nizaam-ud-deen Husain Niyaazi Chishti rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Khaatoon e Jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Meer Sayyed Abdul Waahid Bilgrami rahmatullāhi alaihi (Bilgram, Uttar Pradesh);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Ṡaani Chishti rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Azeez-ud-deen Husain Munemi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khaas Muhammad al-Shirwani rahmatullāhi alaihi (Damascus / Syria);
4 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abdul Lateef Faarooqi Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Patan, Gujarat);
5 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Hidaayatullāh Khan Rampuri rahmatullāhi alaihi (Rashidabad / Pakistan);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Badr-ud-deen Ahmad Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi;
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Haashim Peer Dastageer rahmatullāhi alaihi (Bijapur, Karnataka);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdullāh ibne Mas’ood radiy-Allāhu ta’ala anhu (Madeena Munawwara);
9 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shafeeq al-Balkhi rahmatullāhi alaihi (Khatlon / Tajikistan);
10 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrat Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha (Makka mukarrama);
10 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Soofi Hameed-ud-deen Nagori rahmatullāhi alaihi (Delhi);
12 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Sharf-ud-deen Eisā Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Egypt);
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sirri Saqati rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Muhammad Ibrāheem Soofi Siddeeqi rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajasthan);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrat Safiya bint Huyaee radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Muhammad Ghauṡ Gwaliori rahmatullāhi alaihi (Gwalior, Madhya Pradesh);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Sadr e Jahan Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Malerkotla, Punjab);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdul Wahaab Faarooqi urfe Sachal Sarmast rahmatullāhi alaihi (Daraza / Pakistan);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Husaam-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Manikpur, Uttar Pradesh);
14 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu;
15 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Tabl-e-Aalam Sayyed Shaah Mutaahir-ud-deen Suhrawardi urfe Nathar Auliya rahmatullāhi alaihi (Tiruchirappalli, Tamil Nadu);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Aal-e-Muhammad rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Muhammad Abdul Kareem Hyderabadi rahmatullāhi alaihi (Hyderabad, Telangana);
17 Ramazaan – Jang e Badr;
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Aa’isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrate Sayyeda Ruqayya radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khawaja Naseer-ud-deen Mahmood Chiraag e Delhi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sharf-ud-deen Bu Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi (Panipat, Haryana);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Qamar-ud-deen Sialwi rahmatullāhi alaihi (Sial / Pakistan);
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Muhammad Iqbaal Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Hyderabad / Pakistan);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdullāh al-Mahaz rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shaikh Muhammad Aabid Naqshbandi Sanaami rahmatullāhi alaihi (Delhi);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Rehaan Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
20 Ramazaan – Fateh Makka;
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu (Najaf / Iraq);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi (Mash’had / Iran);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdul Rahman Jeelaani Dehlawi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Ali Husain Baaqi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Muhammad ibne Maajah rahmatullāhi alaihi (Qazvin / Iran);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Nasir-ud-deen Mahmood Bukhari Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Uch / Pakistan);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abul Haashim Mehboob Aalam Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Saida / Pakistan);
25 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Hidaayat Rasool rahmatullāhi alaihi;
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Imaam-ud-deen Kufr shikan urfe Imaam Shaah Baaba rahmatullāhi alaihi (Pirana, Gujarat);
27 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Saleem Chishti rahmatullāhi alaihi (Fatehpur Sikri, Uttar Pradesh);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Amr bin Aas radiy-Allāhu ta’ala anhu (Fustat / Egypt);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Ali al-Jamaal Shaazili rahmatullāhi alaihi (Fez / Morocco);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Badr-ud-deen Auliya urf Badr Shaah rahmatullāhi alaihi (Chittagong / Bangladesh);
30 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abu Ali, Husain bin Abdullāh bin Sina (Hamadan / Iran).****************
Ramazaan ki aamad :Aashiqane Mustafa se guzarish hai ki
Is link ko open karke Post padhen aur Share karen.*****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Maahe Ramazaan ki ta’azeem karne ki aur is me sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki aur is ke foyuz o barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae aur gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae aur hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaane deen ko isaal e ṡawaab karne ki taufiq ata farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyaabi ata farmae.
Aameen.
Aadab e Masjid
Aadab e Masjid :
♦♦♦♦♦♦Masjid me dunya ki baaten karna aur fuzool kaam karna gunaah hai.
Yunhi Wuzu ke dauraan bhi dunya ki baaten karna gunaah hai.Masjid me daakhil hone se pehle hi apne mobile band kar len
Aur Masjid se baahar aane ke baad hi mobile ‘On’ karen.Agar galti se masjid me mobile ‘On’ reh gaya ho aur ring baje to foran band kar len.
Taake namaaz me khalel na ho.
Aur jo log Namaaz padh rahe ho ya namaaz ke baad Zikr o Durood padh rahe ho ya Dua kar rahe ho un ko takleef na ho.
Aur Namaaz aur Zikr me khushu aur khuzu rahe.Aur aap masjid me music bajaane ke gunaah se bhi bach jaayen.
Namaaz aap ke business ya dusre kaamo se Afzal hai.
Ye baat khud bhi yaad rakhe aur dusro ko bhi batayen.
***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me sab ko aadaab e masjid ka khayaal rakhne ki taufiq ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.