Ya Ali Madad kehena kaisa hai.

*_﷽_*

*_“Ya Ali” kehkar Maula Ali Alaihissalam ko Madad keliye Pukarne Ko Qura’an Ne Kaha Hai!_*

*_📖Surah Maida ki Aayat 55 hai:_*
*_“Beshaq tumhara_* *_(Madadgar) Dost To Allah ﷻ Aur Uska Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) he hai aur (saath) wo Imaan waale hain jo namaz kaayam rakhte hain aur zakat ada karte hain wo (Allah ke Huzoor aajzi se) jhukne waale hain.”_*

*_Me Hadees Aayi Hai Ke Ye Aayat Maula Ali Alaihissalam ke Haq me Nazil hui hai ke Aap Namaz me halat-e-ruku me they ke ek saayil aaya aur usme Aapke Haath se Aapki Angoothi khinchi to Aapne namaz me he usko angoothi dedi. Namaz puri karke Aapne ye waqiya Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko bataya to Surah Maida ki Ye Aayat Nazil hui. Yaani is Aayat se umuman har sachha muttaqi parhezgar logo ka Wali yaani Dost aur madad karne wala hai magar Ye Aayat Khaas Nazil Jinke Khatir hui wo logo me sabse bada Wali aur Madad karne wala. To Jisko Khud Allah Ta’ala kahe ke ye tumhara madadgaar hai to Usse madad mangna kahase shirk hua? Balke Unse madad na mangna Quran ki nafarmani hogayi!_*

*_Aur isse Agli Aayat (Aayat no 56) me hai ke: “Aur jo shakhs Allah ﷻ aur Uske Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) aur Imaanwaalo ko Dost Banayega to wohi Hizbullah (yaani Allah ki Jamat hai aur) Allah ki Jamat (ke log) he gaalib honewaale hain.”_*

*_Ye Aayat bhi Aayat no. 55 ki continuation hai. To yahan Imaanwaalo se umuman murad to har sacha muttaqi parhezgar shakhs hai magar Shaan-e-Nuzool ke aitabar se yaha Imaanwaale se murad Maula Ali ع hain. To Aayat ka Tarjuma yun hua: “Jo Allah aur Uske Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) aur Maula Ali Alaihissalam ko apna Wali Dost aur Madadgar banayega wo Hizbullah yaani Allah ki Jamat ka hissa ban jayega aur Allah ki Jamat he kamyab hone waali hai.”_*

*_Ab Jinko hamara Madadgar Khud Allah ﷻ ne Declare kiya hai, Unhi ko madad keliye “YA ALI” ya “YA ALI MADAD” kehke na pukare to kisko pukare? Agar ye shirk ya najayez hai to Allah ﷻ se pucho ke aisi Aayat kyu Nazil Farmayi?_*

*_Alaihissalam wa KarramAllahu Wajhahul Kareem_*

*_Shaan e Nuzool ki Hadees e Pak ka reference:_*

*_📚Tabrani, Mujam al Awsat,📖 7/129,130, Hadees #6228_*
*_📚Ahmed bin Hanabl, Musnad, 1/119_*
*_📚Ahmed bin Hanabl, Musnad,📖 4/372_*
*_Hakim, al Mustadrak, 📖3/119,371, Hadees #4576, #5594_*
*_📚Tabrani, Mujam al Kabir, 📖4/174, Hadees #4053,_*
*_📚Tabrani, Mujam al Kabir, 📖5/195, 203, 204, Hadees_* *_5068, #5069, #5092, 5097_*
*_📚Tabrani, Mujam as Sageer,📖 1/65_*
*_📚Haysami, Majma uz Zawaid, 📖7/17_*
*_Haysami, Mawarid uz Zamaan, 📖445, #2205_*
*_📚Khatib Baghdadi,, Tarikh Baghdad,📖 7/377_*
*_📚Ibne Aseer, Maqdisi, HIsamuddin Hindi ne bhi apni kutub me riwayat kiya hai. Tabrani ne 13 aur Imam Ahmed bin Hanbal ne 30 Sahaba RadiAllahu Anhum Ajmaeen se Ye Hadees Riwayat ki Hai._*

*_कुरआन ए पाक से साबित मौला अली मदद कहना_*


*_मौला मदद या अली ع मदद_*

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s