“Aur (Ay Habib-e-Mukarram!) Aap Apne Karibi Rishtedaaron ko (Hamare azaab se) daraiye (Yaani Deen ki dawat dijiye).”
“Aur Aap Apna Baazu(-e-Rehmat o Shafqat) un Momino keliye bicha dijiye jinhone Aapki pairwi ikhteyaar karli hai.”
Surah Shu’ara 26:214,215
“Aur unke sardar (Hazrat Abu Talib Alaihissalam ke Ghar me Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Majlis se uthkar) chal khade hue (baaki logo se) ye kehte hue ki tum bhi chal pado, aur apne mabudo (ki parastish) par sabit kadam raho, ye zarur aisi baat hai jisme koi garaz (aur murad) hai.”
“Humne us (Aqeeda-e-Touheed) ko aakhri milleten (nasrani aur mazhab e Quraish) me bhi nahi suna, ye sirf khud saakhta jhoot hai.”
Surah Swaad 38:6,7
Jab ye Aayat nazil hui “Aur (Ay Habib-e-Mukarram!) Aap Apne Karibi Rishtedaaron ko (Hamare azaab se) daraiye (Yaani Deen ki dawat dijiye).” To tafseer me aata hai ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Quraish ke tamam bade bade sardaro ko khane ki dawat pe bulaya aur dawat Hazrat Abu Talib Alaihissalam ke Ghar par hui. Jab sab khaana kha chuke to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne sabko Deen ki dawat di. Pehle din kisine kuch jawab nahi diya. Dusre din phir dawat di gayi, phir majlis hui, khaana khaane ke baad fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne sabko Deen ki dawat di. Phir teesre din dawat pe bulaya. Jab 3 din Dawat-e-Haq di to Qurais ke sardar uthke jaane lage ye kehte hue ke humne Ek Khuda ki Ibadat ka amal kabhi kahi nahi dekha, isme zarur koi chupi hui garaz hai wagairah. Jab ye kuffar aisi baat kehne lage to Hazrat Abu Talib Alaihissalam khade hue aur Huzoor (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) se farmaya jisko Imam Ibne Aseer aur Imam Tabari aur digar Muarrekheen riwayat karte hain,
Hazrat Abu Talib Alaihissalam khade hue aur farmaya:
“Mere Mehboob, Mere Bhatije Muhammad (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam). Ab Aapki Baaten 3 Din Sunkar Aapki Madat karna, Hame Us Amal se bhi Muhabbat hogayi hai! “Ma Ahabba Ilaina Mu’aamatak wa Aqbalana Le Naseehatak wa Ashadda Tasdikatana Le Hadeesak” “Hamne Aapki Nashiat Kabool Karli Hai!” Ye Alfaz hain jo Unhone kaha!
“Hamne Aapki Mu’aamat se Pyar karliya, AAPKI NASIHAT (DAWAT-E-TAUHEED) KABOOL KARLI AUR AAPKI BAAT KI TASDEEQ KA AYLAN KARDIYA!”
Ab iske alawa aur “Kabool-e-Deen” kya hota hai? Aur dusri baat ye ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ye Dawat-e-Tauheed ki Majlis Hazrat Abu Talib Alaihissalam ke Ghar pe kyu munaqqid farmayi? Aapka Apna Ghar bhi to tha. Iski kai wajah hosakti hai, lekin lagta aise hai ke jis ghar ko Khud Allah ne Apne Habib ki Kafalat keliye chuna, shayad Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam bhi chahte they ke Deen-e-Haq ki sabse pehli Dawat ka Sharf bhi isi Ghar ko miley! Kyunki isi Ghar ka Ehsan hai duniya waalo par ke duniya waalo ko Allah se Milaane Wala isi Gharme Bachpan se Jawan hua!
Hazrat Abu Talib Alaihissalam ke Ghar ko is Azeem kaam keliye chuna jaana aur phir Aapka sabke samne Huzoor ki farmayi hui baato ki tasdeek karna, isse badhkar aur Imaan ki nishani kya hai? (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam).