Iman e Abu Talib::Aale Imran kaun hai??

Advertisement

Aulad ki tarbiyat kaise ke jaye???


__
Aaqa O Maula Huzoor Muhammad E Mustafa (صلى الله عليه وآله وسلم‎)‎ Ne Farmaya : Apne Bachcho Ko Teen(3) Chize Shikhao,
1) Apne Nabi Se Muhabbat,
2) Apne Nabi Ke Ghar (Ahlebait) Walo Se Muhabbat Aur
3) Quran Ki Tilawat.
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ

Hazrat Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Se Kisi Ne Aulaad Ki Tarbiyat Ke Talluk Se Pucha Kis Tarha Se Ki Jaye To Aap Ne Teen(3) Nukaat Bayan Farmaye :
.
1- Paidaish Se Saat(7) Saal Ki Umar Tak Apni Aulaad (Bacho) Ko Aayse Paalo (Parwarish) Jays Woh Aaqa Hai Tum Uske Gulaam Ho Isliye Ke Us Umar Mein Tumhare Piyar Aur Tawajjo Ki Shadeed Zarurat Hoti Hai,
.
2- Jab Woh Saal(7) Se Badh Jaye To Saat(7) Se Chawda(14) Saal Tak Ki Umar Mein Aayse Paalo (Parwarish) Jayse Tum Aaqa Ho Woh Gulaam Ho isliye Ke Ab Uski Zindagi Ka Woh Dour Shuru Hora Hai Usse Ghar Se Bahar Bhi Nikalna Hai Behruni Shaobat Bhi Iktiyar Karni Hai Muzir Asraat Ko Kubool Na Kare isliye Uski Galtio Par Jabran Uski islaa Kijiye,
.
3- Aur Phir Jab Isse Badh Jaye Chawda(14) Saal Se Ekkis(21) Saal Tak Aayse Paalo (Parwarish) Jayse Woh Tumhara Museer Hai Aur Har Kaam Mein Usse Mushaorat Karo Taake Aainda Zindagi Ke Liye Aur Aane Wale Zindagi Ke Liye Woh Taiyar Hojaye!!