Huzoor Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya : Jab Jumu’a Kee Raat Aur Jumu’a Ka Din Aa’e To Mujh Par Kathrat Se Durood Padha Karo.” . Reference : Musnad Al-Shāfī’ī, 01/70. __ Huzoor Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya : “Jab Tum Mujh Par Durood Bhejo To Nihaayat Khub-Soorat Andaaz Se Bhejo Kyoo’n Ki Tum Nain Jaante Ki Tumhaara Durood Mujhe Pesh Kiya Jaata Hai.” . Reference : Hindī, Kanz Al-‘Umāl, 01/497, Raqam-2193. __ Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Riwaayat Hai, Huzoor (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaaya : “Woh Shakhs Zaleel Huwa Jis Ke Saamne Mera Zikr Kiya Gaya Aur Us Ne Mujh Par Durood Nahin Bheja.” . Reference : Tirmidhi, Al-Jāmi’, Abwāb Al-Da’awāt, Bāb Qawl Rasūl Allāh Sallá Allāhu Ta’ālá ‘Alayhi Wa- Ᾱlihi Wa-Sallam : Raghima Anfa Rajul, 05/550, Raqam-3545. __ Imam Bukhari Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Hazrat Aboo Al-‘Aaliyyah Taabe’iy Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Se Riwaayat Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Par Allah Ta’ala Kee Taraf Se Durood Bhejne Ka Matlab Yeh Hai : “Allah Ta’ala Malaa’ika Ke Ijtemaa’ Me (Apni Shaan Ke Laa’iq) Apne Mahboob (صلى الله عليه وآله وسلم) Kee Shaan Bayaan Karta Hai.” . Reference : Bukhāri Fī Al-Ṣaḥiḥ, Kitāb Al-Tafsīr, Tafsīr Sūrah Al-Ahzāb, 04.282. . الصلوۃ والسلام علیک یا سیدی یارسول اللہ صلى الله عليه وآله وسلم اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ