
Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
*Kabira Gunaaho’n Me Se Ek Yeh Bhi Hai Ki Aadami Apne Waaledain Par La’nat Kare. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Koi Aadami Apne Waaledain Par Kis Tarah La’nat Karta Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Aadami Dusre Aadami Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai Aur Jab Koi Kisi Kee Maa Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Kee Maa Ko Gaali Deta Hai (Yeh Khud Apne Maa-Baap Ko Gaali Dena Hai).”*
Muttafaque ‘Alayh
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2228, Raqm-5628,
Muslim Fi As-Sahih, 01/92, Raqm-90,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/312, Raqm-1902,