Zikr e Hazrat Waris Pak Rehmatullahi alaihi part 20&21

download

PART 20
TAMAA

Hazrat farmate hai :- tamaa jillat ka khaima hai tama yakin ko kharaab karti hai.

HAREEJ

Hazrat farmaate hai :- hareej hurmaan naseeb aur mehroom rahta hai aur jab aql wa tasleem magloob hota hai to aasare harz wa tama ka izhar hota hai.

HASAD

Hazrat farmate hai :- ki hasad me siwaye nuksan ke fayda nahi hai aur hasad sse iman kharaab hota hai .

HAASID

Hazrat farmate hai ki :- haasid hamesha jaleel rahta hai.

HAQ TALFI

Hazrat farmate hai ki :- amda kisi ki haq talfi karna yah gunaah hai jo touba se bhi maaf nahi hota hai.

INSAAN KA FARZ

Hazrat farmate hai ki :- insaan ko chahiye ki jameen ki khasiyat ikhtiyar kare sabka bouj uthaye aur apna bhaar kisi par na dale .

BHALAI AUR BURAI

Hazrat farmate hai ki :- apni bhalai chupao aur kisi ki burai na dekho

PART 21
NASIHAT

Hazrat ne ek halka bagoush ko nasihat karte hue taqid farmayi ki kisi ko bura na samjho muhabbat ka adab yah hai ki maashooq ki jis chij ko aashiq dewe to wah isko achchi maloom ho jesa ki majnoo lela ki nisbat se sang lela ko pyaar kaarta tha tum bhi agar khalik ki nisbat se makhlook ko achchi najar se dekhoge to qalb ki haalat mubjal ho jayegi .

MAJHAB

Hazrat farmate hai ki :- kisi ke majhab ko bura na kaho kyunki iske milne ke raste beshimar hai.

KARZ

Karz ke muta’allik hazrat farmate hai ki :- karz lena insaan ke wikaar ko jaye karta hai . ek aur mouke par hazrat ne yeh taqid farmayi ki karz do to talab na karo aur wapis lene ki niyat se karz dena muhabbat ko katah karta hai .

SHARI’AT AUR TARIQAT

Hazrat farmate hai ki :- shari’at aur tariqat me khudbini manafi aadabe ibadat hai.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s