
BaadAza.n Aan Hazrat Sallallaho Alaihe Wasallam Ke.Chacha Abutalib Raziallah Ta’ala Anhu Ke Baare Mein Guftugu Hui To Farmaya Ke Likhte Hai.n Ke Woh Qayamat Ke Din Dozakh Mein Nahi Jayenge.
Ek Martaba Khwaja Shahfeeq Balkhi Rahmatullah Alaih Ki Mulaqaat Hazrat Khizr Alaihissalam Se Hui. Aapne Ajeeb Wa Ghareeb Sawal Kiye Unmein Se Ek Ye Bhi Hai Ke Maine Suna Hai Ki Qayamat Ke Din Abu Talib Dozakh Mein Nahi Jayenge.
Farmaya Theek Hai Maine Sarware Kaenaat Sallallaho Alaihe Wasallam Ki Zabaan Mubarak Se Suna Hai Jo Farmate Hai.n Ki Abu Talib Qayamat Ke Din Bahisht Mein Jayenge.
Khwaja Shafeeq Balkhi Ne Poocha! Daleel?
Farmaya! Ek Daleel To Ye Hai Ki Jab Aap RaziAllah Ta’ala Anhu Faut Huwe To Duniya Se Ba’ Imaan Gaye.n Hai.n Us Din Se Shaitan Ghamnaak Hai Aur Jab Uski Qaum Ne Ghamnaaki Ki Wajah Poochi To Usne Kaha Ke Is Waaste Ki Woh (Yaani Hazrat Abu Talib RaziAllah Anhu) Duniya Se Ba’ Imaan Gaye Hai.n.
📚 (Rahatul Muhibbeen Mutrajim Jild 2 Safa 116 Martaba Ameer Khusro)