
Hazrat Ammar bin Yasir Radiallahu anhoo bayan karte hain ke maine Huzoor Nabi
Akram ﷺ Hazrat Ali AlaihisSalam ke liye farmate hue suna: (Ay Ali!)mubarakbaad ho usey jo Tujhse muhabbat karta hai aur Teri tasdeeq karta hai. Aur halakat ho uske liye jo Tujhse bugz rakhta hai aur Tujhe jhutlata hai.”
Is Hadees ko Imam Hakim, Abu Ya’ala aur Tabrani ne riwayat kiya hai. Aur Hakim ne farmaya: Ye Hadees Saheeh ul Isnad hai.

“Hazrat Aisha Siddiqa AlahisSalam se marvi hai ke Huzoor Nabi Akram ﷺ ne farmaya: Mai (tamam) Aulad-e-Aadam ka Sardar hun aur Ali (tamam) Arab ka Sardar hai.”
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya aur farmaya: Is Hadees ki Sanad Saheeh hai.

Ek riwayat me Hazra Aisha Siddiqa SalamUllahAlaiha se marvi hai ke Huzoor Nabi Akram ﷺ ne farmaya: Mere paas Sardar-e-Arab ko bulao. Maine arz kiya: Ya RasoolAllah! Kya Aap Arab ke Sardar nahi hain? Aap te ne farmaya: Mai (tamam) Aulad-e-Aadam ka Sardar hun aur Ali (tamam)
Arab ka Sardar hai.”
Is Hadees ko Imam Hakim, Tabrani aur Abu Nuaim ne riwayat kiya hai.

“Hazrat Abdullah (ibne Mas’ud) bayan karte hain ke Huzoor Nabi Akram ﷺ
ne farmaya: Ali ke Chehre ko takna Ibadat hai
Is Hadees ko Imam Hakim aur Tabrani ne riwayat kiya hai. Imam Hakim ne farmaya: Is Hadees ki Sanad Saheeh hai aur Hazrat Abdullah ibne Mas’ud Radiallahu anhoo
iske shawahid Saheeh hai.

“Aur ek riwayat me Hazrat Abdullah (ibne Mas’ud) Radiallahu anhoo bayan karte hain ke Huzoor Nabi Akram ﷺ ne farmaya: Ali ki taraf dekhna Ibadat hai.”
Is Hadees ko Imam ibne Asakir ne riwayat kiya hai.