
“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya :
.
Ek Musalman Ke Doosre Musalman Par Cheh (6) Haqq Hai’n : ‘Arz Kiya Gaya Ya RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم)! Woh Koun Se Haqq Hain? Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya :
.
Jab Too Musalmaan Se Mile To Use Salaam Kar Jab Woh Tujhe Da’wat De To Qubool Kar, Aur Jab Woh Tujh Se Mashwira Chaahe To Use Achchha Mashwira De, Aur Jab Woh Chheenke Aur Al-Hamdu Lillah Kahe To Too Bhi Jawaab Me (YarhamukAllah) Keh, Aur Jab Beemar Ho To Us Kee Teemardari Kar, Aur Jab Woh Fout Ho Jaa’e To Us Ke Janaaze Ke Saath Shaamil Ho.”
–
Reference :
Muslim Fi As-Sahih, 04/1705, Raqm-2162,
.
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/477, Raqm-242,
.
Darami Fi As-Sunan, 02/357, Raqm-2633,
.
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/372, Raqm-8832,
.
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/347, Raqm-10691,
.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-120, 121, Raqm-41.
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ