
*Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai, Farmate Hain Ki*
*Rasool-E-Karim SallAllahu Alaihi Wa Aalihi wa Sallam Mimbar Par Tashrif Farma Huwe Aur Bahut Baatein Irshad Farmayi Aur Phir Farmaya :*
*Ali Ibn Abi Talib Kaha’n Hain ?*
*Hazrat Aliy-ul-Murtaza Yeh Irshad Sun Kar Aap Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Kee Khidmat Me Tezi Ke Saath Haazir Huwe Aur Arz Kiya :*
*Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam ! Mein Haazir Hoo’n*
*Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un(Aliy-ul-Murtaza) Ko Seene Se Laga Liya.*
*Aur Aap Kee Aankho’n Ke Darmiyan Bosa Diya*
*Aur Buland Aawaaz Se Framaya :*
*Aye Musalmano’n !*
*Yeh (Ali) Mera Bhaai Hai.*
*Aur Mere Chacha Ka Beta Hai.*
*Aur Mera Damad Hai.*
*Yeh (Ali) Mera Dost Hai.*
*Yeh (Ali) Sibtayn, Ya’ni Hasan Wa Husain Ka Baap Hai “Jo” Jannati Jawano’n Ke Sardar Hain.*
*Yeh Mujh Ko Museebato’n Se Durr Karne Waala,*
*Yeh Allah Ta’ala Ka Sher Hai.*
*Aur Us Ke Dushmano’n Ke Liye Us Kee Zameen Par Us (Allah Ta’ala) Kee Talwaar Hai.*
*Is (Ali) Se Bughz Rakhne Waale Par Allah Ta’ala Kee La’nat Ho.*
*Aur Allah Is Ke Dushmano’n Se Bari Hai.*
*Aur Mein Bhi Is Ke Dushmano’n Se Bari Hoo’n.*
*Aur Jo Yeh Pasand Karta Hai Ki Allah Ta’ala Aur Mujh Se Be-Ta’lluq Ho Jaaye, Bas Woh Ali Se Be-Ta’lluq Ho Jaaye.*
*Aur Jo Yaha’n Mawjood Hai Woh Us Ke Yeh Bata De,Jo Yaha’n Mawjood Nahin Hai.*
*Phir Irshad Farmaya*
*Aye Ali Bayth Jaao.*
*Yeh Woh Ta’aruf Hai Jo Allah Ta’ala Ne Khaas Tere Liye Karwaya Hai*
📚
*[Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, Saf’h-92.]*