
Zahoor e Maula Ali AlaihisSalam Kaaba Mein Kyun??



*10 Rajab ul Murajjab*
*Yaume Wiladat e Paak*
*Aaimma e Ahle Baith Ke 9we Imaam Tajdare Imamat wa Wilayat Aale Rasool Aulad e Mola Ali o Syyeda Batool Dilbar e Imaam Hussain Dilband e Imaam Sajjad wa Imaam Baqar Noor e Nazar e Imaam Jafar Sadiq Jigar Gosha e Imaam Musa Kazim Farzand e Imaam Ali Raza Hazrat Syedna Mola Imaam Muhammad Taqi Al Jawwad (Alaihis Salam)*
*Tamaam Aalam e Islaam Ko Bhut Bhut Mubarak*

10 Rajjab Yaume wisal Sahabie Rasool Hazrat
Sayyedna Salman Farsi Radiallahu anhoo
ye Hazrat salman farsi r.z islam se pahle zartisht (aag pujne) wale the, us wakat apka name ma’ba tha, apky walid ka name bozkhushan tha.. apka wakea U hai ky apky walid ne apko ibadat gah ki khidmat k liye rakhe the or khud khet me kaam krte ksi din apky abba ki tabiyat kharab hoi to hazrat salman ko khet me kam krne k liye bheja us wakat ek isai alim ne kaha ky ye aag ki puja Q krte ho apko isai mazhab ki talim diya or ap mutasir ho gae jab apk walid ko pata chala to apko bedio me jakad k rakh diya gaya.. kai time baad aap ksi tarah waha se farar ho kar ek girja ghar me isai alim se unk mazhab ki talim liye jab us padri ka inteqal hoa to us ne apko ek dusre padri ka pata bataya kafi din aap uski khidmat me rahe.. jab usk bhi inteqal ka wakat aya to us ne kaha ky yasrib khajur wali basti me nabie akhiruzama tashrif lane wale hai unki nishani hai ky wo sadqa nai lenge hadiya lenge or unky shano pe mohare nabovat ho ga waha chale jao hazrat salman ne ek kafile k sath madina rawana hoe raste me apko gulam
bana ky ek yahudi ko bech diya gaya madine me us yahudi ne apne khet k kaam me apko rakha tha ky ksi din ek shaks kahne laga ky ek shaks aae hai jo nabi hone ka dawa krte hai… hazrat salman fori usk pas pohche or pyare nabi s.a.w.m k bare me puche to wo yahudi ne apko kafi mara,, kafi din k baad hazrat salman sarkar s.a.w.m ki bargah me pohche or kaha ye sadqa hai to sarkar ne farmaya ham sadqa nai lete, fir apko hadiya diye to sarkar qubol farmae ek roz pyare nabi kahi ja re the to salman farsi apk peche the k pyare nabi ne chadar kandhe se hatae
to hazrat salman farsi ne wo mohare nabovat dekh k islam qubol kiya.. hazrat abdullah ibn abbas kahte hai k salman faras ky the arbi se wakifiyat kam thi islam k baad ap ne apna wakea bayan krna chaha to ek yahudi translator ko bulwaya gaya.. to us ne apki baat sahi tarjuma nai
kiya itne me jibrail a.s aa k sarkar s.a.w.m ko pura wakea bayan kre to sarkar s.a.w m ne us yahudi ko talab krk bataya k kya wakea ye hai to wo kahne laga k apko jab mlom hai to mujhe Q bulwae or ye mojza dekh k wo islam le aya..apki FAZELAT:- gazwae khandak
me ansar kahte the k salman hamare hai or mohajir bhi yahi kahte to pyare nabi s.a.w.m ne farmaya ky salman hamare ahle bait se hai.. tab se aaj tak apko salman mohammadi kaha jata hai…khandak bhi apky mashore se khodi gai.. bukhari me hai ky rasool allah s.a.w.m ne hazrat salman k pusht pe hath rakh k farmaya k agr iman suriyah sitaro k pas bhi ho to ahle faras use
le ae ge…imam ali r.z farmate hai ky hazrat luqman ki sari hikmat hazrat salman ko sikha di gai hai… rasool allah s.a.w.m ne farmaya jannat 3 logo ki mushtaq hai wo Ali, salman, abuzar gifari hai..jab hazrat abu sufiyan iman nai lae the to ksi zarorat se madina ae to hazrat soheb rumi, hazrat bilal or hazrat salman k samne se inka guzar hoa to ino ne apas me ye kaha k allah
ki talwar is per Q nai gir jati.. to hazrat abu bakar r.z ne inhe mana kiya or pyare nabi s.a.w.m se shikayat ki to pyare nabi s.a.w.m ne farmaya aye abu bakar jao in ashab ko naraz na kro inko manao… hazrat fatima zahra s.a. apko CHACHA kah kar pukarti..hazrat salman farsi r.z kafi taweel umar pae hazrat umar ne apko madain ka governor banaya us wakat bhi ap bahot sadgi se rahte.. ap jo chadar odte usi ko fold krk bichate bhi the.. apki umar ikhtelaf k sath 180, 89, manqol hai apka mazar iraq me hai.

Hazrat Abdullah ibn Abbas se Rivayat Hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Farmaya Aye Banu Abdul Muttalib Maine Allah Taala Se Tumhare Liye 10 Chiz Maang li … Aakhir Me Farmaya Agar Koi Rukn Aur Makam Kay Darmiyan (Yaani Hazre Aswad aur Makam E Ibrahim) Qataar me Khada hojaye aur namaz padhe aur roza rakhe Aur phir issi haal me Allah Taala Se Jaa Mile ke us haal me Woh Ahle Bait Se Bugz Rakhne Waala ho to Dozakh Me Daakhil Hoga.
References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :03, Pg : 161, Hadees : 4712 & 4717) (Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 11, pg : 176, Hadees : 11412) Imam Hakim Ne Isko Hasan Sahi Kaha