Hazrat Abdullah bin Salaam رضی اللہ عنہ se Marwi hai ki Nabi e Akram ﷺ ka Sabse Pahla Kalaam Jo Maine suna yeh tha, Aap ﷺ ne Farmaya : Aye Logo! Salaam phailao (Ya’ani Kasrat se Ek Dusre ko Salaam kiya karo) Khana Khilaya karo, Khooni Rishto’n ke Sath bhalayi kiya karo aur Raato’n ko (Uth kar) Namaz padha karo jabki Log soye hue ho’n, Tum Salaamati ke Sath Jannat me dakhil ho jaaoge.
(Tirmizi, As-Sunan : 2485, Ibne Maaja, As-Sunan : 1334, Ahmad bin Hanbal, Al-Musnad : 23835)