Jiski Ye Khwahish ho…!!!

Hazrat ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: “Jo shakhs ye pasand karta hai, Meri tarah Zindagi basar kare, Meri tarah Wisaal paaye, Jannat-e-Edn uska thikana ho jisey Mere Rabne Sanwara hai, pas wo Mere baad ALI ko Dost rakhe aur Uske dost ko bhi dost rakhe! Aur Mere baad Aaimma ki iqteda karey kyunki Wo Mera Kumba hai Jinhe Meri Khilqat par Paida kiya hai (aur Unhe) Ilm wa Feham ata kiya gaya hai. Meri ummat ke unlogo keliye halaqat hai jo Unki Fazilat ka inkar karenge aur unke darmiyan Mere Rishte ko kaatenge. Allah Ta’ala unhe Meri Shafa’at nasib nahi karega.” Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam Imam Abu Nuaim Asfahaani,
Hilyatul Aulia wa Tabqatul Asfia, 1/86, Rafayi, at Tadween, 2/485 “Aaimma” se murad Aaimma e Ahle Bayt Alaihi-Mussalam! Allahumma Salli wa Sallim Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin Ala Qadree Muhabbatika Feeh.
Photo: Hazrat Sayyeduna Abu Talib Alaihissala
