22 Jamadi Ul Awwal Urs e Hazrat Syed Ahmed Kabir Masukullah Rifai Radiallahu Anhu

*ﺃﻋﻮﺫ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﺍﻟﺮﺟﻴﻢ*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*

*Ghous us Saalikin, Rais ul Aarifin, Syed ul Aulia Hazrat Syedna Sarkar Sheikh Syed Ahmed Kabir Masukullah Rifai Radiallahu Anhu*

Biography | History |Karamat

Youm-E-Wiladat: 15, Rajab, 512 Hijri

Youm-E-Wisal: 22, Jamadi Ul Awwal, 578 Hijri

Mazar:- *Umme Ubaida Sharif, Iraq*

Founder:- *Sufi Order Rifai Silsila*

Aapka Mubarak Naam ‘Syed Ahmed Kabir’ He. ‘Abul Abbas’ Kunniyat He Aur ‘Muhyuddin’ Laqab He. Aapke Ajdaad Me Ek Sahib Ka Naam ‘Rifa’a’ Tha Unki Taraf Nisbat Hone Ki Vajah Se ‘Rifai’ Mash’hoor He. Aap Maslakan Shafai He Aur Nasaban Sayyedushohda Sayyedna Sarkar Imam Hussain Shahid E Karbala Radiyallahu Anhu Ki Aulad E Paak Me Se He Isliye Husaini Kehlate He. Aapke Walid E Mohtaram Ka Naam Hazrat Sayyed Ali Radiallahu Anhu He.

*Aap ki Wiladat E Paak(Birth) Ka Tajkira:*

Aapki Wiladat E Baa Sa’adat 15 Rajjabul Murajjab 512 Hijri Ko Maqame ‘Hasan’ Me Hui. Jo Iraq Me ‘Umme Ubaida’ Ke Qarib Shehre ‘Vaasta’ Ke Ilaqe Me Waqe He. Aapki Viladat Se Pehle Hi Sarkare Do Aalam Sallallahu Alayhi Va Sallam Ne Aapke Maamu Shaikh E Waqt Hazrat Baaz Ash’hab Mansoor Bataahi Radiyallahu Anhu Ko Aapke Paida Hone Ki Basharat Di Thi. Aapki Paidaish Se 40 Din Pehle Ek Raat Hazrat Shaikh Mansoor Alayhirehma Ne Huzur E Aqdas Sallallahu Alayhi Va Sallam Ko Khwab Me Dekha Ke Aap Farmate He Ke, “Ae Mansoor ! 40 Din Ke Baad Teri Bahen Ke Yaha Ek Ladka Paida Hoga. Uska Naam ‘Ahmed’ Rakhna. Aulia E Kiram Me Wo Sardar Hoga Aur Jab Wo Hoshiyaar Ho Jaae To Taalim Ke Waste Use Shaikh Ali Qari Vaasti Ke Paas Bhej Dena Aur Uski Tarbiyat Se Gaflat Na Bartana.”

Is Khwab Ke Pure 40 Din Baad Aap Maqame Hasan Me Paida Hue.
[Sayyedul Aulia]

*Aapka Ta’aaruf:*

‘Qalaidul Jawahir Sharif’ Me Hazrat Allama Taadni Rehmatullah Alay Tehrir Farmate He Ke: ‘Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Badi Shan Ke Buzurg Hue He. Aapka Maqam Bahot Bulando Aur Aapke Ahevaal Bahot Mash’hoor He.’

Manqool He Ke Aap Un Char (4) Buzurgo Me Se He Jo “Ba-huqme Ilaahi Andho Ko Aankh Wala Kodhiyo Ko Tandurust Aur Murdo Ko Zinda Kar Diya Karte The”. Har Shaher Aur Dehaat Me Aapke Beshumar Shagird Moujud He. Mumalike Islamiya Me Koi Aisi Jagah Nahi Thi Jaha Aapki Khanqah Na Ho.

Bakasrat Mujahidaat Ki Vajah Se Apne Ahvaal Par Gaalib Aur Apne Baatin Par Haavi The. Uloome Tariqat Me Apne Dour Ke Ustaade Kaamil The. Qaum Ke Pure Ahvaal Aap Par Roshan The (Yaani Aap Gaib Ki Baate Jaante The) Logo Ki Mushkilaat Ko Aasani Se Hal Farma Dete The. Aapka Kalaam Bahot Pakiza Hota Tha. Sufiyo Me Aapko Aisi Shohrat Hasil Thi Ke Jo Kisi Ta’aruf Ki Mohtaj Nahi. Bahot Mutavaaze (Tavazo, Narmi Karne Wale) Aur Vasiul Qalb (Bade Dilwale) The. Duniya Se Aise Khali Hath Gae Ke Koi Shey Bhi Apne Paas Jamaa Nahi Ki.
[Sayyedul Aulia]

*Sarkar Ahmad Kabir Rifai ki Karamat (Miracles):*

Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ke Bhanje Hazrat Abul Farah Bin Ali Rifai Rehmatullah Alayh Farmate He Ke: “Ek Din Jab Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radi allahu Anhu Tanha Bethe The To Me Aapke Malfoozat Sunne Ki Niyyat Se Qarib Beth Gaya. Usi Waqt Ek Shakhs Aur Aasman Se Utar Kar Aapke Saamne Betha Aur Aapne Marhaba Kaha.”

Us Shakhs Ne Aapse Kaha Ke Mene 20 Roz Se Kuchh Khaya Piya Nahi He Aur Me Chahta Hu Ke Apni Khwaish Ke Mutabiq Khau Piyu. Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ne Puchha ‘Tumhari Khwaish Kya He?’ Usne Aasman Ki Taraf Nigaah Uthai To Dekha Ke 5 Murgaabiya (Ek Parinda) Udti Hui Ja Rahi He. Usne Kaha ‘Ae Kash Unme Se Ek Bhuni Hui Mujhe Mil Jaae Jiske Sath Gehu Ki Rotiya Aur Thande Paani Ka Kuzaa Bhi Hota’.

Hazrat Ne Ye Sunkar Farmaya Ke Ye Murgaabiya To Tere Hi Liye He. Phir Aapne Udti Hui Murgaabiyo Ki Taraf Dekh Kar Farmaya Ke ‘Is Shakhs Ki Khwaish Jaldi Puri Kardo’. Abhi Aapka Ye Jumla Pura Bhi Na Hua Tha Ke Un Murgaabiyo Me Se Ek Bhuni Hui Aapke Saamne Aakar Giri Aur Aapne Apne Pehlu Me Rakhe Hue Do (2) Paththaro Ko Apne Hath Se Khincha To Wo Behtarin Qism Ki Gehu Ki Rotiyo Me Tabdil Ho Gae. Phir Jab Aapne Apna Hath Fiza Me Buland Kiya To Surkh (Red) Rang Ka Ek Kuzaa Aapke Hath Me Aa Gaya Jisme Paani Bhara Hua Tha.

Jab Wo Shakhs Kha Pi Kar Hawa Me Ud Gaya To Hazrat Ne Murgabi Ki Haddiyo Ko Baae Hath Me Lekar Apna Daahina Hath Phera Aur Farmaya Ke ‘Ae Haddiyo Aur Paththaro Khuda Ke Huqm Se Aapas Me Jud Jaao’ Phir Aapne Jab ‘Bismilla Hirrehamnirrahim’ Padhi To Wo Murgabi Zinda Ho Gai Aur Hawa Me Udti Hui Nazro Se Ojhal Ho Gai.
[Sayyedul Aulia]

*Maqam E Gous E Aazam Radiyallahu Anhu Aap ki Nazar Me:*

Hazrat Allama Shatnoufi Rehmatullah Alayh Ek Sanad Bayan Karte Hue Tehrir Farmate He Ke: “Hazrat Shaikh Imam Abu Abdullah Bataahi Rehmatullah Alayh Se Suna Ke Me Sayyedi Sarkar Gous E Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahu Anhu Ki Zaahiri Zindagi Me Umme Ubaida Ki Taraf Gaya Aur Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ke Sahen Me Kuchh Din Thehra.”

Sheikh Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ne Mujh Se Farmaya Ke: “Mere Saamne Sheikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahu Anhu Ke Fazail O Manaqib Bayan Karo”. Mene Kuchh Bayan Kiya. Guftagu Ke Douran Ek Shakhs Aaya Aur Kehne Laga ‘Usko Chhod Hamare Paas In Manaqib Ke Alawa Aur Manaqib Bayan Kar Aur Ishara Shaikh Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ke Manaqib Ka Kiya. Hazrat Ne Uski Taraf Gusse Se Dekha, Wo Shakhs Usi Waqt Hazrat Ke Saamne Gira Aur Uski Jaan Nikal Gai.

Phir Hazrat Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke: Kon Shakhs Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahu Anhu Ki Taarif Ki Taaqat Rakhta He? Aur Kon Shakhs Unke Darje Tak Pahonch Sakta He?”

Aap (Sarkar Gous E Aazam) Wo Shakhs He Ke Aapke Daahini Taraf Behre Shariat (Shariat Ka Samandar) Aur Baai Taraf Behre Haqiqat (Haqiqat Ka Samandar) He. Un Dono Me Aap Jis Se Chahe Chullu Bhare. Hamare Zamane Me Sheikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Ka Koi Saani Nahi.”
[Sayyedul Aulia]

*Aapki Nigah E Paak Ki Shaan:*

‘Nafhatul Uns’ Me Hazrat Allama Abdur Rehman Jaami Rehmatulla Alayh Tehrir Farmate He Ke Jab Koi Shakhs Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Se Taaviz Likhane Ke Liye Kaagaz Lekar Aata Aur Ittefaq Se Agar Siyahi Na Hoti To Aap Bagair Siyaahi Ke Hi Likh Dete The.

Ek Baar Ek Shakhs Ko Aapne Bagair Siyaahi Ke Taaviz Likh Kar De Di. Muddat Tak Wo Shakhs Gaaib Raha. Ek Zamana Guzar Jaane Ke Baad Wo Phir Usi Kaagaz Ko Lekar Aapki Khidmat Me Aaya Aur Batore Imtihaan Wo Kaagaz De Kar Kaha Ke ‘Is Kaagaz Par Taaviz Likh Dijiye’.

Aapne Jab Us Kaagaz Ko Dekha To Farmaya Ke ‘Ae Barkhurdaar ! Is Kaagaz Par To Taaviz Likha Hua He. Phir Usko Vapas Kar Diya.
[Sayyedul Aulia]

*Maqam E Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Aap ka Aqida:*

Aap Farmate He Ke, “Apne Nabi Sallallahu Alayhi Va Sallam Ke Martabe Ko Bahot Bada Samjho. Aap Hi Makhlooq Aur Khaliq Ke Darmiyan Vaasta He. Aap Hi Ne Khaliq O 
Makhlooq Ka Farq Bataya. Aap Allah Ke Bande He, Allah Ke Mehboob He, Allah Ke Rasool He, Makhlooqe Ilaahi Me Sabse Zyada Kaamil He. Allah Ke Paigambar O Me Sabse Afzal He.”

“Allah Ki Taraf Raasta Batlane Wale He, Uski Taraf Sabko Bulane Wale He, Uski Khabar Sunane Wale Aur Uski Baate Maloom Karne Wale He. Aaphi Sabke Liye Baargahe Rehmani Ka Darwaza Aur Darbare Samadiyat Me Sabka Vasila He. ‘Jo Aapse Mil Gaya Allah Se Mil Gaya Aur Jo Aapse Juda Huwa Allah Se Juda Huva’. Aap Sallallahu Alayhi Va Sallam Ka Irshad He Ke Koi Shakhs Us Waqt Tak Momin Nahi Ho Sakta Jab Tak Ke Uski Khwaish Us Shariat Ke Taabe Na Ho Jaae Jisko Me Lekar Aaya Hu.”*
[Sayyedul Aulia]

Subhanallah, Nabi E Muqarram Sallallahu Alayhi Va Sallam Ke Muta’alliq Aapke Aqide Se Vaazeh Ho Gaya Ke Ham Ahle Sunnat Val Jama’at Yaani Maslak E Aala Hazrat Wale Haq Par He. Itna Saaf Aur Wazeh Qaul Aapka Upar Bayan Hua. Ab Faisla Kare Ke Jo Shakhs Hamare Nabi Sallallahu Alayhi Va Sallam Ko “Apne Jaisa Bashar Ya Bade Bhai Ki Tarah Samjhe” (Ma’az Allah) Kya Wo In Buzurgo Ke Tariqe Par Ho Sakta He? Hargiz Nahi. Allah Sabko Haq Samajhne Ki Toufiq Ataa Farmae…Aamin.

Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Jab Hajj Adaa Karne Ke Baad Madina Sharif Gaye To Us Waqt Madina Sharif Me Ye Kanoon Tha Ke Masjid E Paak Me To Sab Logo Ko Aane Diya Jata Tha. Aur Sarkare Do Aalam Sallallahu Alayhi Va Sallam Ke Mazare Paak Ke Paas Sirf Sahihunnasab Saadat (Sayyed) Ko Jane Diya Jata The. Jab Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Masjid Sharif Pahonche Aur Waha Se Roza E Paak Par Jaane Ki Khwaish Zaahir Ki To Khadimo Ne Aapko Rok Diya. Aapne Khadimo Se Kaha Ke Mujhe Huzur Sallallahu Alayhi Va Sallam Ke Mazare Paak Ke Jaane Do Me Unhi Ki Aulad Yaani Sayyed Hu. Lekin Khadimo Ko Yakin Na Aaya Aur Unhone Aapko Andar Na Jaane Diya.

Aap Maayus Ho Gaye. Aur Tute Hue Dil Se Ek Dard Bhari Aawaz Me Roza E Paak Ke Bahar Khade Hokar Pukara Ke, “Assalamu Alaykum Ya Jaddi” Yaani “Ae Mere Nana Aap Par Salaam Ho”.

Aapka Ye Pukarna Tha Ke Roza E Paak Se Aawaz Aai, “Walekum Assalam Ya Valadi” Yaani “Ae Mere Bete Tum Par Bhi Salam Ho”.

Is Aawaz Ko Waha Mojud Tamami Logone Suna. Khadimo Ne Aapko Andar Jaane Ki Ijazat Di Aap Sarkar Ke Mazar Sharif Ke Paas Pahonche Aur Arz Kiya Ke Ya Rasolallallah Sallalhu Alayhi Va Sallam Me Aapse Musahfa Karna Chahta Hu. Aapne Aur Tamam Hazirin Ne Dekha Ke Huzur Ke Mazar E Paak Se Ek Hath Namudar Hua Aapne Huzur Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Haath Sharif Ko Chuma Aur Musahfa Kiya. Subhan’allah

Sabak:- Is Waqie Se Ahle Sunnat Ke Bahot Se Aqaid Ki Haqqaniyat Sabit Hoti He. Jese Ke, Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ya Kehkar Pukarna, Huzur Salaam Ko Sunte 
He, Huzur Hayatunnabi He.
Sallallahu Alayhi Wa Sallam.

“Ahle Sunnat Ka He Beda Paar Ashabe Huzur
Najm He Aur Naav He Itrat Rasoolullah Ki”
-Aala Hazrat Fazile Barelvi Radiallahu Anhu

Subhanallah

*Sohbate Aulia Allah Ki Taqid:*

Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Irfai Radiyallahu Anhu Farmate He Ke: “Aulia Allah Ke Daaman Se Chimat Jaao. “Alaa Inna Aulia Allahi Laa Khoufun Alayhim Valaa Hum 
Yahzanoon. Allazina Aamanu Va Kaanu Yattakun” Yaani “Sun Lo Beshaq Allah Ke Waliyo Par Na Kuchh Khouf He Na Kuchh Gam. Wo Jo Iman Laae Aur Parhezgaari Karte He” Wali Wo He Jo Allah Se Mohabbat Rakhta Ho, Us Par Iman Rakhta Ho Aur Taqwa Par Kaarband Ho.”

“Lihaza Jisko Allah Se Mohabbat Ho Us Se Dushmani Na Karo. Baaz Aasmani Kitabo Me He Ke: “Allah Ta’ala Farmata He Ke Jo Mere Kisi Wali Ko Izaa Dega To Meri Taraf Se Usko Ailan E Jung He” Allah Ta’ala Apne Aulia Ke Liye (Jab Wo Zalil Kiye Jaae Ya Izaa Diye Jaae) Bahot Gairat Karta He, Unki Khatir Izaa Dene Walo Se Inteqaam Leta He. Aur Jo Unse Mohabbat Kare Allah Ta’ala Apne Aulia E Kiram Me Uski Hifazat Karta He Aur Jo Unki Panaah Me Aata He Uski Madad Farmata He.”

“Aulia Ki Mohabbat Ko Apne Upar Lazim Karlo, Unka Qurb Hasil Karo. Unki Vajah Se Tumko Barkat Hasil Hogi. Unke Sath Ho Jaao, Yahi Allah Ki Jama’at He Aur Sunlo Allah
Hi Ki Jama’at Kamiyab He.”
[Sayyedul Aulia]

*Sohbate Aulia Ki Targib:*

Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Farmate He Ke: “Ae Logo ! Aulia Allah Ke Qurb Ki Koshish Karo. Jo Allah Ke Vali Se Dosti Rakhta He Allah Se Dosti 
Rakhta He. Aise Hi Jo Allah Ke Vali Se Dushmani Rakhta He Wo Allah Se Dushmani Karta He.”

“Azize Man ! Agar Koi Tere Dushman Se Mohabbat Rakhe Kya Tu Us Se Mohabbat Kar Sakta He? Nahi, Bakhuda Nahi. To Sunle Ke Allah Ta’ala Ko Makhlooq Se Zyada Gairat He. Usko Bhi Us Baat Se Gairat Aati He Ke Apne Vali Ke Dushman Se Mohabbat Kare.”

“Wo Inteqaam Bhi Leta He Aur Qaher Bhi Nazil Karta He. Azize Man! Agar Koi Tumhare Dost Se Mohabbat Kare To Kyat Um Us Se Nafrat Karoge? Nahi, Khuda Ki Qasam Nahi. To Jaan Lo Ke Allah Ta’ala Makhlooq Se Zyada Karim He. Wo To Sab Karimo Se Badh Kar Karim Aur Sab Maherbaano Se Zyada Maherbaan He. Isliye Wo Apne Vali Ke Dost Se Kabhi Nafrat Nahi Karega Balke Us Par Aehsaan Karega, Uske Sath Achcha Bartaav Karega Aur Us Par Inaamo Ikraam Farmaega.”
[Sayyedul Aulia]

*Saat (7) Darvesho Ki Saat (7) Bashaarate:*

Bachpan Me Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ke Qarib Se Saat (7) Darvesho Ka Guzar Hua To Wo Thaher Kar Aapko Dekhne Lage.
Unme Se Ek(1) Ne Kalma E Tayyaba “La Ilaha Illallah Muhammadur Rasoolallah” Padha Aur Kehne Lage Ke, “Is Baa Barkat Darakht Ka Zahoor Ho Chuka He.”
Dusre(2) Ne Kaha: “Is Darakht Se Kai Shaakhe Niklegi.”
Tisre(3) Ne Kaha: “Kuchh Arse Me Is Darakht Ka Saaya Tavil Ho Jaaega.”
Chouthe(4) Ne Kaha: “Kuchh Arse Me Iska Phal Zyada Hoga Aur Chaand Chamak Uthega.”
Paanchv(5) Ne Kaha: “Kuchh Arse Baad Log Inse Karamat Ka Zahoor Dekhenge Aur Kasrat Se Inki Jaanib Maail Honge.”
Chhathe(6)Ne Kaha: “Kuchh Hi Arse Baad Inki Shan O Azmat Buland Ho Jaaegi Aur Nishaniya Zaahir Ho Jaaegi.”
Saatve(7) Ne Kaha: “Na Jaane (Buraai Ke) Kitne Darvaze Inki Vajah Se Band Ho Jaaege Aur Bahot Se Log Inke Murid Honge.”
[Faizan E Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Sajjadanashini Ka Waqia:*

Jab Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ke Maamu Hazrat Sayyedna Shaikh Mansoor Alaihirrehma Ki Wafaat Ka Waqt Qarib Aaya To Unki Zouja Mohtarma Ne Arz Ki, “Apne Farzand Ke Liye Khilafat Ki Wasiyyat Karde.” Hazrat Shaikh Mansoor Alayhirrehma Ne Farmaya, “Nahi! Balke Mere Bhanje Sayyed Ahmed Ke Liye Khilafat Ki Wasiyat He.”

Zouja Mohtarma Ne Jab Israar Kiya To Aapne Apne Bete Aur Bhanje Hazrat Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ko Bulwaya Aur Dono Se Farmaya, “Mere Paas Khajoor Ke Patte Laao.”

Beta To Bahot Se Patte Kaat Kar Le Aaya Magar Hazrat Saiyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Koi Patta Na Laaye, Wajah Puchhi To Hikmat Se Bharpur Jawab Dete Hue Arz Ki Ke, “Mene Sabko Allah Ki Tasbih Karte Hue Paya Isi Liye Kisi Patte Ko Nahi Kaata.”

Hazrat Shaikh Mansoor Rehmatullah Alayh Ne Apni Zouja Ki Taraf Muskura Kar Dekha Aur Farmaya Ke, “Mene Bhi Kai Martaba Yahi Dua Ki Thi Ke Mera Khalifa Mera Beta Ho Magar Mujhse Har Martaba Yahi Farmaya Gaya Ke Tumhara Khalifa Tumhara Bhanja He.”

Lihaza 28 Saal Ki Umr Sharif Me Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ko Maamu Jaan Ki Taraf Se Khilafat Ataa Hui Aur Usi Saal Hazrat Shaikh Mansoor 
Alayhirrehma Ka Inteqaal Hua.
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Makhlooq E Khuda Par Shafqat:*

Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ke Jisme Paak Par Jab Machchhar Beth Jata To Use Na Hi Khud Udaate Na Hi Kisi Ko Udaane Dete Balke Farmate Ke, “Allah Ne Jo Khoon Iske Hisse Likh Diya He Ye Vahi Pi Raha He.”

Aur Jab Aap Dhup Me Chal Rahe Hote Aur Koi Tiddi Aapke Kapdo Me Saayadaar Jagah Par Beth Jati To Jab Tak Ud Na Jati Aap Usi Jagah Thahere Rehte Aur Farmate Ke, “Isne 
Ham Se Saaya Hasil Kiya He.”

“Isi Tarah Jab (Aapke Kurta Sharif Ki) Aastin Par Billi So Jati Aur Namaz Ka Waqt Ho Jaata To Aastin Ko Kaat Dete Magar Billi Ko Na Jagaate Aur Namaz Se Faraagat Ke 
Baad Aastin Ko Dobara Si Lete.”

Ek Martaba Aapne Ek Khaarish Zada (Khujli Wale) Kutte Ko Dekha Jise Basti Walo Ne Baahar Nikaal Diya Tha, Aap Use Jungle Me Le Gaye Aur Us Par Saaebaan Banaya, Niz Use Khilaate Pilaate Aur Har Tarah Se Uska Khayal Rakhte Rahe. Hatta Ke Aapki Bharpur Tavajjoh Ke Natije Me Jab Wo Tandurust Ho Gaya To Aapne Use Garm Paani Se Nehla Kar Ujla Kar Diya.
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Kodhiyo Aur Apaahijo Ki Khidmat:*

“Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ka Ye Bhi Maamul Tha Ke Marizo Aur Apaahijo Ke Paas Jate Aur Unse Hamdardi Bhara Suluk Karte Unke Kapde Dhote, Unke Sar Aur Daadhiyo Se Mel Saaf Karte, Unke Paas Khana Le Jate Aur Unke Sath Mil Kar Khate Aur Batore Aajizi Unse Duae Karvate.”

“Ek Din Aapka Guzar Chand Bachcho Ke Paas Se Hua Jo Khel Rahe The, Aapko Dekha To Haibat Ki Vajah Se Bhaag Gaye. Aap Unke Pichhe Gaye Aur Farmaya, “Meri Wajah Se Tum Haibat Me Mubtela Hue Lihaza Mujhe Muaaf Kardo Aur Apna Khel Jari Rakho.”

“Jab Aap Gaao Ke Kisi Shakhs Ki Bimaari Ka Sunte To Uske Paas Ja Kar Uski Iyaadat Karte Agarche Raasta Kitna Hi Dur Kyu Na Hota Aur Kabhi Kabhaar Jaane Aane Me Ek Do Din Lag Jate, Kabhi Yu Bhi Hota Ke Aap Raasto Par Khade Ho Kar Naabinaao (Andhe Logo) Ka Intezar Karte, Agar Koi Mil Jata To Use Hath Pakad Kar Manzil Tak Pahoncha Dete.”
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Aurat Ki Bad Akhlaqi Par Sabr Aur Isme Musalmano Ke Liye Nasihat:*

“Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ka Ek Murid Jo Kai Martaba Khwab Me Aapko Jannat Me Dekh Chuka Tha Lekin Aapse Iska Koi Zikr Na Kiya Tha. Ek Din Aapki Khidmate Aqdas Me Hazir Hua To Aapki Biwi Ko Aapse Bad Suluki Karte Hue Paaya Aur Aap Us Zyadti Par Khamosh The.”

“Wo Murid Dekh Kar Beqaraar Ho Gaya Aur Digar Aqidat mando Ke Paas Ja Kar Kehne Laga, “Ye Aurat Hazrat Par Is Qadr Zyadti Karti He Aur Tum Khamosh Rehte Ho?” Kisi Ne Kaha, “Uska Maher 500 Dinaar He Aur Hazrat Gani Nahi He.”

Wo Aadmi Gaya Aur 500 Dinaar Le Kar Hazrat Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ki Khidmat Me Pesh Kar Diye, Aapne Farmaya, “Ye Kya He?” Arz Ki, “Is Aurat Ka Haq Maher He Jo Aapke Sath Bura Suluk Karti He.” Aapne Muskuraate Hue Farmaya, “Agar Main Iski Bad Zabaani Aur Bad Suluki Par Sabr Na Karta To Kya Tum Mujhe Jannat Me Dekh Paate?”
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Aapki Aajizi Va Inkesaari:*

Ek Din Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ne Batore Aajizi Apne Murido Se Farmaya, “Tum Logo Ne Mere Andar Koi Aib Dekha Ho To Mujhe Bataado. “Ek Murid Ne Khade Ho Kar Arz Ki Ke, “Ya Sayyedi! Aap Me Ek Bahot Bada Aib He.” Aapne Puchha, “Ae Mere Bhai! Kounsa Aib?”

Usne Bhi (Aajizi Par Mabni Jawab Dete Hue) Arz Ki, “Hamare Jese Bure Logo Ko Apni Sohbat Se Nawaze Rakhna.” Ye Sun Kar Sab Murid Rone Lage Sath Hi Sath Aapki Aankhe Bhi Ashkbaar Ho Gai Aur Farmane Lage, “Main Tumhara Khaadim Hu, Tum Sab Logo Se Kamtar Hu.” (Allahu Akbar)
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Huzur Sayyedna Sarkar Ghous E Aazam Radiyallahu Anhu Ka Adab:*

Imam E Ahle Sunnat Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Fazile Barelvi Radiyallahu Anhu Fatawa Razviya Sharif Me Hazrat Khizr Musali Rehmatullah Alayh Ka Waqia Bayan Farmate He Ke, “Ek Roz Me (Hazrat Khizr Musali Rehmatullah Alayh) Sarkar Gousiyat Ma’aab Radiyallahu Anhu Ke Huzur Haazir Tha, Mere Dil Me Khatra Aaya Ke Hazrat Sheikh Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ki Ziyarat Karu.”

“Huzur (Sarkar Gous E Paak) Ne Farmaya : “Kya Sheikh Ahmed Ko Dekhna Chahte Ho?” Arz Ki, “Ha” Huzur Ghous E Paak Radiyallahu Anhu Ne Thodi Der Sar Mubarak Jhukaya, Phir Mujhse Farmaya, “Ae Khizr ! Lo Ye He Sheikh Ahmed” Ab Jo Me Dekhu To Apne Aap Ko Hazrat Ahmed Rifai Radiyallahu Anhu Ke Pehlu Me Paya Aur Mene Unko Dekha Ke Roo’abdaar Shakhs He, Me Khada Hua Aur Unhe Salaam Kiya.”

Is Par Hazrat Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ne Mujhse Farmaya, “Ae Khizr! Wo Jo Sheikh Abdul Qadir Ko Dekhe Jo Tamam Aulia Ke Sardar He Wo Mere Dekhne Ki Tamanna (Kyu Karta He?) Me To Inhi Ki Ra’ayyat (Yaani Maatehato) Me Se Hu” Ye Farma Kar Meri Nazro Se Gaaib Ho Gaye.

Phir Huzur Gous E Paak Radiyallahu Anhu Ke Visaal Sharif Ke Baad Baghdaad Sharif Se Hazrat Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ki Ziyarat Ko Umme Ubaida Gaya, Unhe 
Dekha To Vahi Sheikh The Jinko Mene Us Din Hazrat Gous E Aazam Radiyallahu Anhu Ke Pehlu Me Dekha Tha. Us Waqt Ke Dekhne Ne Koi Aur Zyada Mujhe Unki Shanaakht Na Di. 
Hazrat Ahmed Kabir Radiyallahu Anhu Ne Farmaya, “Ae Khizr! Kya Pehli Ziyarat Tumhe Kaafi Na Thi?
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Hazrat Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Aulia E Kiram Ki Nazar Main:*

Hazrat Sayyedna Shaikh Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ki Azmat Va Rif’at Aur Qadr O Manzilat Ke Bayan Me Bahot Se Jalilul Qadr Aulia Aur Buzurgaane Deen Ke 
Malfoozaat Milte He. Unme Se Tin (3) Hastiyo Ke Malfooz Peshe Khidmat He.

1. “Kisi Ne Sartaaj E Aulia Huzur Sayyedna Sarkar Gous E Aazam Dastagir Radiyallahu Anhu Ki Bargah Me Imam Rifai Radiyallahu Anhu Ke Mutalliq Puchha To Irshad Farmaya, “Unka Akhlaq Sar Ta Paa Shariat Aur Quran O Sunnat Ke Ain Mutabiq He Aur Unka Dil Allah Rabbul Izzat Ke Sath Mash’gool He. Unhone Sab Kuchh Chhod Kar Sab Kuchh Paa Liya (Yaani Raza E Ilahi Ki Khatir Kaaenaat Ko Chhoda To Rab Ko Pa Liya Aur Jab Rab Mil Gaya To Sab Kuchh Mil Gaya)”

2. Wali E Kabir Hazrat Sayyedna Ibrahim Havaazini Radiyallahu Anhu Farmate He, “Me Sayyed Ahmed Kabir Radiyallahu Anhu Ki Kya Taarif Kar Sakta Hu. Unke Jism Sharif Ka Har Ek Baal Ek Aankh Ban Chuka He Jiske Zariye Wo Daae Baae, Mashriq O Magrib Har Simt Ko Dekhte He.”

3. Imam E Ahle Sunnat Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Fazile Barelvi Radiyallahu Anhu Farmate He : “Aapka Shumaar Aqtaab E Arba’ah Se Yaani Un Chaar(4) Me Hota He Jo Tamam Aqtaab Me Aala Aur Mumtaaz Gine Jate He. Awwal Huzur Pur Noor Sayyedna Gous E Aazam Radiallahu Anhu, Doum Hazrat Sayedna Ahmed Kabir Rifai Radiallahu Anhu, Soum Hazrat Sayyed Ahmed Kabir Badvi Radiyallahu Anhu, Chahaarum Hazrat Sayyedna Ibrahim Dusuqi Radiallahu Anhu.”
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Duniya Me Jannati Mahel Ki Zamaanat Aur Aapka Ikhtiyaar:*

Sarkar Syed Ahmed Kabir Rifai Ka Amama Sharif, Safa, Ahmed Kabir Rifai Tomb, karamat aulia allah, holy shrine of ahmed kabir rifai, founder sufi order rifai
Sarkar Ahmed Kabir Rifai
Ka Amama Sharif
Ek Martaba Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Apne Muride Khas Hazrat Sayyedna Jamaluddin Rehmatullah Alayh Ki Khwaish Par Unke Liye Ek Baag Ki 
Kharidaari Ke Liye Gaye To Baag Ke Maalik Shaikh Ismail Ne Kaha Ke, “Agar Is Baag Ke Badle Mujhe Meri Muh Mangi Chiz Na Mili To Me Hargiz Na Bechunga” Aapne Farmaya, “Ae Ismail! Mujhe Bataao Iski Kya Qimat Chahte Ho?” Usne Kaha, “Sayyedi! Me Jannati Mahel Ke Badle Ye Baag De Sakta Hu.”

Aapne (Batore Aajizi) Farmaya, “Main Bhala Koun Hota Hu Jo Mujhse Jannati Mahel Maang Rahe Ho, Mujhse Duniya Ki Jo Chiz Chaho Maanglo” Usne Kaha, “Mujhe Duniya Ki Koi Chiz Nahi Chahiye”. Aapne Apna Sar Mubarak Jhukaya, Chehrae Paak Ki Rangat Tabdil Ho Kar Pili Pad Gai, Thodi Der Ke Baad Sar Uthaya To Pilaahat Surkhi Me Tabdil Ho Gai. Phir Farmaya, “Islamil! Jo Tumne Manga Tha Uske Badle Mene Ye Baag Kharid Liya He” Usne Arz Ki, “Sayyedi! Ye Baat Mujhe Likh Kar Ataa Farma De.”

Aapne Ek Kaagaz Par Bismillah Sharif Likhne Ke Baad Ye Ibarat Tehrir Farma Di, “Ye Wo Mahel He Jise Ismail Bin Abdul Mun’eem Ne Faqir Haqir Bande Ahmed Bin Hasan Rifai Se Kharida He, Jiske Zaamin Hazrat Ali E Murtuza Radiallahu Anhu He, Uska Hudude Arba’ah Ye He Ke Ek Taraf Jannate Adn He To Dusri Taraf Jannate Ma’ava He, Tisri Janib Jannate Khuld Aur Chouthi Jaanib Jannate Firdaus He, Waha Ki Sab Hoor O Gilmaan, Qaalin Saaz O Saaman, Nehre Aur Sab Darakht Is Soude Me Shamil He, Ye Mahel Ismail Ke Duniyavi Baag Ke Badle Me He Allah Is Baat Ka Shaahid O Kafeel He.”

Phir Aapne Wo Kaagaz Teh Kar Ke Shaikh Ismail Ke Hawale Kar Diya. Wo Tehrir Lekar Apne Bachcho Ke Paas Aae Aur Farmaya, “Main Yeh Baag Sayyedi Ahmed Ko Bech Chuka Hu” Bachcho Ne Kaha, “Aapne Kyu Bech Diya Haalanke Hame To Uski Zarurat Thi” To Unhone Jannati Mahel Milne Ka Waqia Sunaya. Bachcho Ne Kaha, “Hum Us Waqt Raazi Honge Jab Is Mahel Me Hamari Bhi Shirkat Ho” Farmaya, “Wo Ham Sab Ka Baag He.”

Uske Baad Wo Baag Hazrat Jamaluddin Rehmatullah Alayh Ke Hawale Kar Diya. Kuchh Muddat Ke Baad Shaikh Ismail Ka Inteqaal Ho Gaya. Chunke Unhone Zindagi Hi Me Apne Beto Ko Ye Wasiyat Kar Rakhi Thi Ke Te Tehrir Mere Kafan Me Rakh Dena. Lihaza Agle Din Subah Unki Qabr Par Likha Hua Paya Ke “Hame To Mil Gaya Jo Sachcha Wada Hamse Hamare Rab Ne Kiya Tha.”
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Behre Bhi Kalaam Sun Lete:*

“Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ki Aadate Mubaraka Thi Ke Aap Beth Kar Bayan Farmaya Karte, Aapki Aawaz Dur Wale Bhi Is Tarah Ba Aasani Sun Lete The Jis Tarah Qarib Wale Sunte. Hatta Ke Aas Paas Ki Basti Wale Apni Chhato Par Beth Kar Aapka Bayan Sunte Aur Unhe Ek Ek Lafz Saaf Saaf Sunaai Deta Tha.”

“Jab Behre Aapki Khidmat Me Hazir Hote To Allah Ta’ala Aapki Guftagu Sunne Ke Liye Unke Kaan Khol Deta Aur Mashaikhe Tariqat Hazir Hote To Douraane Bayan Apne Daaman Phelaae Rakhte. Jab Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiallahu Anhu Bayan Se Faarig Hote To Ye Hazraat Apna Daaman Sine Se Laga Lete Aur Vaapas Aa Kar Apne Murido Ke Saamne Har Baat Bayan Kar Dete.”
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Aapki Zindagi E Paak Ke Aakhri Ayyaam:*

Aapke Khadim E Khas Hazrat Yaqoob Rehmatullah Alayh Farmate He, “Wisaal Se Pehle Sayyedi Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Marze As’haal (Pet Ki Bimari) Me Mubtela Hue, Ek Maah Tak Usi Taklif Me Mubtela Rahe Aur 20 Din Tak Na Kuchh Khaya Na Piya. Niz Zindagi Ke Aakhri Lamhaat Me Aap Par Nihayat Riqqat Tari Thi, Apne Chehra Aur Daadhi Mubarak Mitti Par Ragadte Aur Rote Rehte, Labo Par Ye Duaae Jari Thi.”

“Ya Alah! Mujhe Muaaf Farma De, Ya Allah! Mujhe Is Makhlooq Par Aane Wali Musibato Ke Liye Chhat Bana De.”

“Bil Aakhir 66 Saal Tak Is Daare Faani Me Reh Kar Makhlooq E Khuda Ki Rushd O Hidayat Ka Kaam Sar Anjaam Dene Ke Baad Baroz Jumeraat 22, Jamadiul Aakhir, 578 Hijri Ba Waqt e Zohar Aapne Is Aalam E Fanaa Se Aalam E Baqa Ka Safar Ikhtiyaar Kiya.”

Aapki Zaban E Mubarak Se Adaa Hone Wale Aakhri Kalimaat Ye The, *“Ash Hadu Alla Ilaaha Illallahu Wa Ash Hadu Anna Muhammadar Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wa Sallam.”*

“Thodi Hi Der Me Basti E Umme Ubaida Me Aapke Wisaal E Paak Ki Khabar Mash’hoor Ho Gai, Bas Phir Kya Tha Aapke Aakhri Didaar Aur Namaze Janaza Me Shirkat Ke Liye Dur Dur Se Log Jama Hone Lage Yaha Tak Ke Namaze Janaza Ke Waqt Lakho Ka Majma Moujud Tha . Baad Namaze Janaza Khanqah E Umme Ubaida Hi Me Aapki Tadfin Ki Gai. Wahi Aapka Mazar E Aqdas Marja E Khalaaiq He.”
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

*Wisaal Ke Baad Haajat Ravaai:*

Hazrat Shaikh Umar Farusi Rehmatullah Alayh Farmate He, “Mujhe Kai Martaba Imam Rafai Radiyallahu Anhu Ke Mazar E Aqdas Par Hazri Ki Sa’adat Nasib Hui. Ek Martaba To Aisa Bhi Hua Ke Ke Aapne Qabr E Mubarak Se Ba Aawaze Buland Meri Ek Haajat Ke Bare Me Farmaya, “Ja! Teri Haajat Puri Kardi Gai.”

Aise Azimush Shaan Valiye Kaamil Ka Ilm E Gaib Ke Bare Me Kya Aqida He?

Hazrat Sayyedna Ahmed Kabir Rifai Radiyallahu Anhu Ke Malfoozaat Sharif Me Milta He, Aap Farmate He Ke, “Allah Tabarak Va Ta’ala Gous Va Qutub Ko Gaibo Par Muttala’a Farma Deta He, Pas Jo Bhi Darakht Ugta He Aur Pattaa Sar Sabz Hota He To Wo (Gous O Qutub) Sab Jaan Lete He.”
[Faizane Sayyed Ahmed Kabir Rifai]

Leave a comment