
Hazrat Abdullah Bin Masud رض Ne Farmaya Hum Ahle Madinah Mein Sab Se Afzal Sayyedna Ali ع Ko Samajhte Thae.
(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)
Hazrat Salman Farsi رض Se Riwayat Hai Ke Maine Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Suna Ke Aapne Farmaya Mein Aur Ali Allah Ta’ala Ke Samne Nur Thae, Khilqate Aadam Se 14 Hazar Saal Pehle Jab Aadam Ko Paida Kiya Gaya Toh Allah Ne Usse Mazkurah Do Hisson Mein Taqseem Kiya Ek Hissa Mein Dusra Hissa Ali Hai.
(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-374)
Sayyeda Asma Binte Umaysh رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sayyedna Ali KaramAllahu Wajhul Kareem Se Farmaya Tumhari Mere Saath Nisbat Wahi Hai Jo Sayyedna Harun ع Ko Sayyedna Musa ع Ke Saath Thi Magar Mere Baad Nabi Nahi Hai.
(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-361)
Saeed Se Riwayat Hai Ke Sahabae Kiraam Mein Se Siwae Maula Ali ع Ke Koi Bhi Ye Nahi Kehta Tha Ke Mujhse Pucho( Yani Woh Khud Bohot Bade Aalim Aur Faqih Fi Al Deen Thae.)
(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)