
Jung karne ki mere paas bhi Tadbeere hain,
Saamne sulhe Hasan ki mere Tehreere hain,
Zahen me jung ka naqsha bhi hain tasweere hain,
Hukm e Aaqa ki magar pao me zanjeere hain,
Mere aaqa jo mujhe ran ki ijaazat dete,
.
Phir to jibreel mujhe daad e shujaa’at dete,
.
Buzdilo ka main kiya karta nahi koi Shumaar,
.
Sarkasho par hi chala karti hai meri Talwaar,
.
Dushman e Deen ko kar deta hu Pal me Finnar,
.
Main to Abbas hu karta hu main Shero ka Shikaar,
.
Fauj e Baatil pe main Haider ki tarah Ghaalib hu,
.
Mujhko Pehchaanlo main Khoon e Abu-talib hu.