

Aap ki wilaadat 670 Hijri (1271 A.D.) me Peshawar me hui.
Aap Hazrat Shaikh Junaid al-Baghdadi rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
Aap ke waalid Abul Muzaffar Mohammad 729 Hijri (1328 A.D.) me Baghdad se Peshawar aaye the aur phir Delhi, Daulatabad aur Kodchi tashreef laaye.
****************
Aap ne Hazrat Shaikh Minhaaj-ud-deen Tameemi Ansaari aur Hazra Ain-ud-deenn Ganj-ul-ilm rahmatullāhi alaihi ki sohbat me rahkar ta’aleem wa faiz haasil kiya.
****************
Sultaan Ala-ud-deen Hasan Bahaman aur us ki waalida Aap ke mureed the.
Jab Sultaan Ala-ud-deen Hasan Bahaman ne Deccan me Bahamani saltanat ki shuruat ki to Aap ko Kodchi ki jaagir ata ki.
Aap Sultaan Mahamood Shaah Bahamani ke zamaane me Gulbarga tashreef laaye aur ta’aleem aur faiz ata karte rahe.
****************
Aap ke saahabzaade Shaikh Ala-ud-deen hain.
****************
Aap Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Khundmir Juweri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Malik Saif-ud-deen Ghori rahmatullāhi alaihi hain.
****************
Aap ka wisaal 16 Shawwaal 781 Hijri (1380 A.D.) ko hua.
Aap ki namaaze janaaza Hazrat Makhdoom Ala-ud-deen Ansaari Chishti urfe Laadle Masha’ikh rahmatullāhi alaihi ne padhaai.
Aap ka mazaar Gulbarga (Karnataka) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Siraaj-ud-deen Mohammad Junaidi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

