Hadith: Kabira Gunaaho’n Me Se Ek.

Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

*Kabira Gunaaho’n Me Se Ek Yeh Bhi Hai Ki Aadami Apne Waaledain Par La’nat Kare. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Koi Aadami Apne Waaledain Par Kis Tarah La’nat Karta Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Aadami Dusre Aadami Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai Aur Jab Koi Kisi Kee Maa Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Kee Maa Ko Gaali Deta Hai (Yeh Khud Apne Maa-Baap Ko Gaali Dena Hai).”*

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2228, Raqm-5628,
Muslim Fi As-Sahih, 01/92, Raqm-90,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/312, Raqm-1902,

Advertisement

Sayyeda Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ki Umr Nikah ke waqt 17 ya 19 baras thi NAA KE 6 ya 9 baras!

Sayyeda Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ki Umr Nikah ke waqt 17 ya 19 baras thi NAA KE 6 ya 9 baras!

“Is baat ko bahot uchlaaya gaya hai ke Hadees Shareef me Sayyeda Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ki Shadi ke waqt 9 saal umr batayi gayi hai jo aqal wa naqal ke ru se galat hai. Is se gair-muslimo balke padhe likhe musalmano ko bhi inkar e Hadees ka bahana mil gaya hai. Hamari tehqeeq ye hai ke Sayyeda Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ki Umr Mubarak shadi ke waqt KUMSE KUM 17 ya 19 saal thi.

DALAEL (PROOFS):
Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ki badi behan Hazrat Asma binte Abi Bakr RadiAllahu Anhuma taweel umr Sahabiyat me se hain. Abdullah ibne Zubair RadiAllahu Anhu ki Walida Muhtrama hain. Badi Khuda raseeda, ibadat guzar aur bahadur khatoon, unki umr tamam muarrikheen (history writers) ne 100 saal likhi hai. Sayyeda Aaisha Siddiqa Salamullahi Alaiha unse 10 saal choti hain. Sayyeda Asma RadiAllahu Anha Hazrat Abdullah bin Zubair RadiAllahu Anhu ki Shahadat ke 5 ya 10 din baad faut huin (wafat paayin). Sanne wafat 73 hijri hai. Is hisab se Sayyeda Asma RadiAllahu Anha ki umr hijrat ke waqt 27 saal hui aur Sayyeda Aaisha Siddiqa Salamullahi Alaiha unse 10 saal choti hain to Aapki umr hijrat ke waqt 17 saal hui.
Agar Sayyeda Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ki Rukhsati 2 Hijri ko maani jaaye to rukhsati ke waqt Aapki umr mubarak 19 saal hui.

Hawalajaat (REFERENCES) mulaeza ho:

“Asma Makka me awaeel-e-Islam me Musalman huin. Muhajareen mardo aurato me sabse aakhir faut hone waali hain (sabse aakhir me waafat paane waalin). Apni behan Sayyeda Aaisha RadiAllahu Anha se 10 saal badi thin.”
-Ibne Kaseer, Al Bidaya wan Nihaya, 8/346, Taba (publication) Beirut.

“Makka Muazzama me 17 aadmiyon ke baad ibtedayi daur me Musalman hui. Aur Makka Mukarrama me Apne bete (Abdullah bin Zubair RadiAllahu Anhu) ki Shahadat ke 10 ya 20 din baad faut huin aur ye waqiya Maah e Jamadil Awwal 73 Hijri ka hai.”
-Allama Ibne Hajar Asqalani, Tahzeeb ut Tahzeeb, 12/426, Taba Lahore.
-Imam Abu Jafar Muhammad bin Hareer Tabari, Tarikh ul Umam wal Mulook 5/31, Taba Beirut.
-Hafiz Abu Nuaim Ahmed bin Abdullah Asbahaani, Hilyatul Auliya wa Tabqatul Asfia 2/56, Taba Beirut.

“Sayyeda Asma binte Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhuma Makka Muazzama me Qadeemul Islam hain. Aapne RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Ba’yat ki. Apne bete Abdullah bin Zubair RadiAllahu Anhu ki Shahadat ke chand din baad faut huin. Abdullah bin Zubair RadiAllahu Anhu ki shahadat baroz mangal 12 Jamadil Awwal 73 hijri ko hui hai.”
-Waqedi, Tabqatul Kubra, 8/255, Taba Beirut

“Sayyeda Asma Sayyeda Aaisha (RadiAllahu Anhuma) se zyada umr ki thin. Baap ki taraf se sagi behan thi. Hijrat se 27 saal qabl paida huin.”
-Imam Ibne Jauzi, Usaydul Gaabah fee Ma’arifatus Sahaba, 5/392, Taba Riyadh.

“Sayyeda Asma RadiAllahu Anha Makka Mukarrama me Ibtedayi Musalman huin, ibne Ishaaq ne kaha 17 insano ke baad. 100 saal umr paayin. Hijrat se 27 saal pehle paida huin.”
-Shahabuddin Abul Fazl Ahmed bin Ali bin Hajar Asqalani, Al Isaba fee Tamyiz is Sahaba 4/230, Taba Beirut.
-Seerat ibne Hisham, 1/271 Taba Beirut
Allama ibne Aseer, al Kamil fee Tarikh, 4/358, Taba Beirut
-Allama Abu Umar Yusuf bin Abdullah bin Muhammad bin Abdaal Qurtabi, Al Istiyaab fee Asma al Ashaab ala Hamish al Asabah 4/232, Taba Beirut
-Hafiz Shamshuddin Muhammad bin Ahmed az Zahabi, Tarikh al Islam wa Dafyatal Mashaahir wal Islam 5/30, Taba Beirut
-Rauzul Unf Sharah Seerat ibne Hisham, 1/166, Taba Multan

Ye haqiqat bhi pesh nazar rahe ke
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Hayat-e-Tayyeba me Sann-e-Hijri ka aagaz nahi hua aur Sann-e-Iswi ya kisi aur Sann ka Arab Muashre me ta’aruf ya chalan NA tha.
Ahle Arab kisi mashhoor tarikhi waqiye se saalon ka hisab rakhte they maslan waqiya e Ashaab e Feel se itna arsa pehle ya baad wagaira. Baqayeda sann e Hijri ka aagaz Hazrat Umar e Farooq RadiAllahu Anhu ne apne daur-e-khilafat me kiya aur uska aagaz saal hijrat se kiya.
Pehle sann e hijri, dusri sann hijri, teesri sann e hijri me kamse kum imkaani muddat. Pehli sann hijri ka aakhri din yaani 30 Zil Hajj len aur dusri sann hijri ka pehla din yaani 1 Muharram, do sanno me waqfa ek din. Dusre rukh se dekhen pehli sann e hijri ka pehla din 1 Muharram, dusre sann e hijri ka aakhri din yaani 30 Zil Hajj, kul muddat 2 sala mukammal. Dono suraton me sann badal gaye magar ek taraf ek din mila aur dusri taraf purey 2 saal. Jab tak tarikh aur mahina mutayyan na ho ye fark baaki rehkar ibhaam paida karta rahega.

Aaj kal print media kitni tarakki kar chuka hai magar kitabon me, akhabaraat me, hadd to ye ke Quran-e-Kareem ki taba’at aur kitabat me galti hojati hai, pehla daur to haathon se kitabat ka daur tha, mumkin hai “Tees’a ashr” 19 saal umr mubarak ho magar kitabat ki galti se “Tees’an” yaa “Tees’a” yaani 9 saal baaki rehgaya aur aane waalo ne naqal dar naqal (copy karte karte) isi ko ikhtiyar karliya ke naqal karne waale aala darje ke imaandar, parhezgar, uloom wa funoon ke maahir, sahih wa saqeem me imtiyaz karne waale nihayat muhtaat log they. Wajh sukoot kuch bhi hona mumkin nahi. Haqaiq bahar haal haqaiq hote hain, unke chehre par gardo gubaar to pad sakta hai magar hamesha keliye usey maskh nahi kiya jasakta. Ahadees ki tamam kutub me aise tasamahaat ka izaala kiya jana chahiye taake bad-andesh ko zubaan-e-taan daraz karne ki himmat na rahe.

WAllahu wa Rasooluhu (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Aalam bis Sawab.”


Hayat‐e‐Waris:INCIDENT AT THE STRAIT OF DARDNELLS

Ya Waris

INCIDENT AT THE STRAIT OF DARDNELLS
For a few days our Saint visited surrounding historical places of Turkey and conferred the
Divine Blessings on seekers of truth. For example Rumi Shah Warisi Sahib whose former name
was Hassan Baig enamoured by the spiritual dignity of our Saint came to Indore to pay
respects to him. For sometime leading an ascetic and mystic life breathed his last on Mount
Abu, This fortunate Turkish officer chanced to meet our Saint while he visited the strait of
Dardnells, a fortified fort and offered a cool tumbler of water to quench the thirst of our Saint
with utter humility and respect. Our Saint’s favour bestowing eyes glittered with such lustre
that his heart was attracted by his spiritual way of life. He immediately forsook worldly life to
seek Divine Love and became a Tahband (Loose garment draped over lower body) mendicant.
Sarkar Waris became so popular in Constantinople that many people were unwilling to be
separated from him, when he was about to depart from Constantinople. But when he
expressed his desire to proceed to Mecca to perform Hajj they felt helpless and allowed him to
leave their place.