Zikr e Hazrat Waris Pak Rehmatullahi alaihi part 30

Ya Waris

PAIMANA PEDE BHAR KAR PAIMANA MOINUDDIN

Aabad rahe tera mekhana muinuddin ,

tum nahi sunte to kon sune meri ,

kisse kahu me apna afsana muinuddin ,

tu gul hai to me bulbul tu saru meri kamri,

tu shamaa hai me tera parwana muinuddin,

jo aata hai jane ka fir naam nahi leta hai ,

khild wari tera kashana muinuddin,

fir hosh me aana ka me naam na lu badam,

kahde jo mujhe apna deewana muinuddin.

KASHAF WA KARAMAT

Hazrat sahab kashf wa karamat buzurg the. Hazrat se bahut si karamat sar jad hui. Ek shakhs ne hazrat ke halka aradat me dakhil hone ke bad arz kiya kah us ki bibi par jin aata hai. aur har itwar ko uski halat gair ho jati hai. hazrat ne farmaya ki jinn utar na to kaam aalimo ka hai, aur ham shamil nahi hai . is shakhs ne arz kiya huzoor ka dekhna hi kafi hia. Me chahta hu ki hazrat iski bait se musharraf farmaye taki is ka khatma bil khair ho. Hazrat iske makaan par tashreef le gaye. Itwar ke din tha . aur is aurat ki halat gour thi hazrat ke daryaft farmane par ki tum kon ho isne jawab diya me jinn hu jab hazrat ne yah daryaft kiya ki aakhir yaha kyu aate ho to usne jawab saaf tour par kaha ki mujhe is aurat se muhabbt hai mera yah mamool hai ki har itwar ko isko dekhne aata hu.

Yah sunkar hazrat muskuraye aur fir farmaya… aisa maloom hota hai ki tum pukhta aashiq nahi kachche aashiq ho…. Ki tum to 8 we din is ko dekhne aate ho agar aashiq sachche hote to ek lamha bhi iske dekhe bagair nahi rahte jab tumhare ishq ka imtihan hai . ab yaha hi rahna jana nahi.

Yah kese mumkin hai mere liye yaha rahna aj bas mushkil hai . me aisi muhabbat nahi karta hu baaz aaya jata hu wayda karta hu ki fir kabhi nahi aaunga wah aurat hazrat ke kadmo ki barkat se achchi ho gayi aur fir kabhi iski halat gour nahi hui

ek din hazrat gaar sor ja pahunche to dekha ki ek budhi aurat jaro kataar ro rahi hai . hazrat ne rone ki wajah puchi to usne bataya ki iska jawaan iklota beta mar gaya hai. hazrat ne har chand sabr ki talkeen farmayi lekin Is or par kuch asar na hua kahne lagi ki koi dawa ho to dijiye hazrat ko is aurat ki halat dekh kar raham aaya hazrat ne is ladke ke muh par se kapda hataya aur iske muh par pani chidka is ladke ne aankhe khol di aur bolne laga wah aurat yah dekhkar bahut khush hui.

Hazrat maa bete ko wahaa chodkar wapis tashrif le aaye ek roj jab ki hazrat tawa’f ke nakhulista se gujar rahe the to dekha ki unnt majnu ho gya , unnt ka malik pareshan najar aaya . is shhi aankho se aansuo ke katre gir rahe the . hazrat ne babul ke kaannte se unt ki peshani ka aabla tod diya unnt achcha ho gaya.

Hazrat ne ek mureed molwi Muhammad yahhiya apni ladki ko haiza me mubtila me hokar hasb mamool kaatik ke mele par hazrat ki khidmat me hajir hue in ke ghar se taar aaya ki ladki ka intiqaal ho gya . hazrat ko jab yah khabar hui to hazrat ne unse farmaya ham tumhari baasdaari se bahut khush hue ghabraane ki koi baat nahi hai . aksar esa hota hai ki mareej ko sakta ho jata hai aur log yah samjhate hai ki intiqaal ho gya.

Teesre din molwi sahab ke paas khat aaya ki 6 ghante ke bad ladki jindaah ho gayi ek martuba hazrat magrib ki namaj ke baad bethe the ek dam hazrat ki jaban fyuj tarjuman se yeh alfaaj nikle ya baaasito padha karo haajrin me se kisi ke samajh me aaya ki hazrat kis se mukhatib hai. ek khadim ne wah alfaaj llikh liye aur is din ki tarikh bhi likh li kuch dino baad choudhri khuda bakhs ithawa se hazrat ki khidmat me hajir hue chodhri sahab hazrat ke kadeem par sitar aur mureed the in ki is shakhs se mulaqat hui jisne wah alfaj aur tarikh apne paas likh kar rakh li thi,. Bato bato me choudhri shab ke karobaar ka jikr aaya.

Unhone bataya ki inka kaarobar kareeb kareeb khatm ho gya tha/. Haalat bahut kharaab ho gayi thi unhone apne aamlaat hazrat ke ruzoo kiye ek din pareshani ki haalat me unhone hazrat ka tasawwur kiya tasawwur sheikh shugal jo kiya to hazrat ki bar jakh se mashraf aur hazrat ko yah farmaate hue suna ki “yaa basito” padha karo yah waqt magrib ke bad ka tha unhone esa hi kiya aur karobaar me numaya farog hua jo karja ho gaya wah bhi adaa ho gaya/.

Is shakhs ne jo tarikh likhi wahi tarikh thi jab ne yaa basito padhne ki taqid farmayi thi. Aur waqt bhi wahi tha hazrat jab pahli martaba hajj karne gaye to hazrat ne jahaaj par sawaar hokar aldeeh ek gosha me qayaam kiya jahaaj par hazrat ko kai roj ka fakaa hua jahaaj chalte chalte ruk gya. Jahaj ke yakaayak samundr me ruk jane sse sabko tashwis hui jahaaj ka capton(kaptaan) muslman tha uske esi raat “HUZOOR NABI E KAREEM SARWARE AALAM HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM” ki jiyarat naseeb hui huzoor ne jahaj ke capton ko yah tabeena farmayi ki log bhukhe hai aur tum seir hokar khate ho to yah iska bawaal hai . jahir hai ki jahaaj capton (kaptaan ) ko jab yah malum hua hoga to wah kaptaan (capton) pareshan hua hhoga isne jab musafiro ki dawat ki sab musafir daawat me sharik me the. Lekin hazrat sharik nahi hue dusri shab ko jahaaj ke kaptaan ne fir wah khwaab dekha isne fir se sab musafiro ki dawat ki hazrat is martaba bhi sharik nahi hue. Tisri martaba jahaaj ke kaptan fir wahi basharat hui isne fir sab musafiro ki dawat ki is martaba yah ahtiyat barta ki rajistar lekar sabki hajiri li yah isne isliye kiya ki fir koi musafir rah na jaye rajistar dekhne se isko yah maloom hua ki ek musafir gair hajir hai . isne talaash kiya dekha ki hazrat ek jahaaj ke gosha me ibadat me mashgool hai. is ne basad ijoniyaaj ahtiraam hazrat ko khana pesh kiya hazrat ne qubool kiya jahaaj rawana hau.

Arbi basha ke khadyu misar ko majjool karne par aur khadyu misar ki angreji se imdaad talab karne par bartaanwi huqumat ne Hindustani fojo ko misr jane ka huqm diya hazrat ke ek halka gosh muhmmad ali kha rasaaldar ko jab maloom hua ke misr jana hai to wah hazrt ki khidmat me hajir hue aur arz kiya ki ladai par misr jana hai. wa durdaraj ka safar darpesh hai. hazrt dua farmaye ke kamyab wa kamran wa khero aafiyaaat waapis aaye. Hazrat ne in se muhabbat aamej lehja me farmaya ali Muhammad agar tum pani me honge to ham tumhare saath honge aag me hho wo to bhi hamraah hai. aur hajaro kous par honge aag me ho wo to bhi hamrah hai. aur hajaro kous par honge to hm tumhare paas hai unhone arz kiya…

Huzoor mujhko misr jane ka huqm mila hai,. hazrat yah sunkar Muhammad ali kha kheri saldar se yu mukhatib hue. Muhammad ali misr ke chaku achche hote hai, kyu ali Muhammad agar koi Hindustani musafir kahi karanumaya sar” anjaam de to malka iski badhi khatir hogi wilayat acha shahar hai. ab tum jao .

Hindusatani fojo ne misr me jo har shuj’at dikhai fatah se ham kinare hui ali Muhammad kha rissasdar ko inko khidmat ke hilaye me ingistan me bheja gaya. Balki malkaa wiktoriya ne Inki badi izzat ki .

Jab ali Muhammad kha wapas hue to misr se chaku aur churiya laaye aur hazrat ki khidmat me pesh karke apne jajbaat shukriya itminaan ka izhare aamu ki surat me kiya.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s