
Imam Hussain Alaihissalam bayan karte hain darhaalanke (is Haal me ke) Wo Apne Baal pakde hue they, (Farmate hain) ke Hazrat Ali Ibne Abi Talib (Alaihi-Mussalam) ne Mujhe bataya darhaalanke (is Haal me ke) Wo Apne Baal Pakde hue they, (Unhone Farmaya) ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe bataya darhaalanke (is Haal me ke) Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Apne Mu-e-Mubarak (Baal Mubarak) Pakde hue they, (Aapne Farmaya) ke:
jis shakhs ne Tujhe (Ay Ali) baal barabar bhi azeeyat di to usne Mujhe azeeyat di aur jisne Mujhe azeeyat di usne Allah ko azeeyat di aur jisne Allah ko azeeyat di pas uspar Allah ki lanat ho!”
[Ibne Asakir, Tarikh, 54/308
Hindi, Kanzul Ummal, 12/349, #25351
Neshapuri, Sharaf-e-Mustafa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, 5/505, #2486
Dr Tahir-ul-Qadri, Kanzul Muttalib ffe Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alaihi-mussalam, #116]
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Sayyedina Abu Talib wa Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbibi wa Baarik wa Sallim