WILADAT
Hazrat ne sann 1234 iswi me dewa sharif me is aalam ki jeenat bakhsi.
NAAM
Hazrat ka naam nami isme girami waris ali hai , jo khuda wande ta’ala ke namo me se ek naam hai. Aur naam ke adat 707 hai.
QUNNIYAT
Hazrat ki qunniyat miththan miya hai,.
BACHPAN KA PAHLA SADMA
Hazrat waaris ali 3 saal ke bhi nahi hue the ki walid majid ka saya aatfat sir se uth aya.
BACHPAN KA DUSRA SADMA
Hazrat ki 3 saal ki umar thi ki maadar mehrban ne aalim jabdani ki tarf kooj farmaya
BACHPAN
Hazrat ke Walden ke intekaal ke baad hazrat ki dadi saiyed hayaat alnaye sahiba ne ki tarviyat par khaas tawajju di. Hazrat ka bachpan aur bacho ki tarah na the. Asaar buzurgo bachpan se hi numaya the . hazrat ki dadi sahiba ko hazrat ki buzurgi ka ahsaas ho gaya tha . woh samjhne lagi thi ki hazrat bade hokar ek bargajiida aur khuda rasida buzurg honge.
Hazrat rat ko chand aur sitare dekhakar muskrate the . sote bahut kam the. Aur bachche ki tarah rote bhi na the. , jyada tar khaamosh rahte the. Hazrat apne ham umr bachcho ko mithai taqseem karte the. Aur uski ajeeb peraaye me rishdo wa hidayat farmaate the,. Hazrat apni dadi sahiba ke sandook se kabhi ashrafi aur kabhi rupey digaar 1 sini ke barabar ek batasha banwate the, bathasa ban kaR aata to usko apne hamjoli bachcho me taqseeem farmaate the.
Hazrat ki daadi sahiba yeh dekhkar khush hoti thi ki … khandaan sadat ke jo joshe sakhawat se inka noor nazar fezaab aur chehra mand hai, bachpan se hi hazrat me sakhawat barrej uttam thi bachpan me hazrat ko khail kood se chand rakbat na thi . aksar hazrat kisi goshe me alag beth jate the, Dekhne wale ko yeh mehsoos hota the ki hazrat kisi gahre khyaal me mashgool ho.