
Ek martabah Ameer Ul Momeneen Imam Hassan Alaihissalatu Wassalaam ne ek habshi ghulam ko dekha ke wo khana kharaha hai aur uske paas ek kutta baitha huwa hai, wo ghulam ek luqma khud khaata hai aur ek luqma kutte ko khilata hai.
Imam Hassan Alaihissalam ne farmaya: aye ghulam! aisa tarz e amal tu ne kis bina par ikhtiyaar kiya hai? kaha huzoor! mujhe sharm aati hai ke khud khaau’N aur kutta mere paas baitha rahe isko na khilaau’N.
Imam Hassan Alaihissalam ne farmaya: main jaata hun mere wapas aane tak yahan hi teherna, Imam us ghulam ke malik ke paas tashreef legaye aur usse us ghulam ko khareed kar aazaad kardiya phir jaakar us ghulam ko farmaya ke: ham ne tum ko aazaad kardiya hai aur ye jagah jaha’N tum baithe ho ye bhi khareed kar ham ne tum ko de di hai.
Ghulam ne kaha huzoor! Ye jagah main us zaat ko tohfa deta hun jiske liye aap ne mujhe tohfa diya hai…
👥 Share With Your Friends & Family.