Hadith ::Sahih Muslim: 6673

Hazrat Abu Burzah RaziyAllahu Anhu ne Rasoolullah ﷺ se arz kiya: Ya Rasoolullah ! Mujhe koi aisi chiz shikha dijiye jis se mai faaidah uthata rahu, To Aap ﷺ ne irshad farmaya: Musalmano ke raaste se taklif dene wali chizo ko hata diya karo.

📔[Sahih Muslim: 6673]

Advertisement

Kitabon mein Hazrat Abdul Muttalib aur Hazrat Abu Talib AlahisSalam ka zikr.

Badshah Saif bin Zee Yazan ne Aaqa (صلى الله عليه وآله وسلم)‎ Ke Dadajaan Hazrat Abdul Muttalib (عليه السلام)‎ se Kaha ke Ek Poshida Kitab Jisey Hamne Apneiye Makhsoos Kar Rakha Hai Aur Apne Siwa Dusro se Poshida Rakha Hua Hai, Usme Ek AzimuShaan Khabar Aur Bahot Badi Bulandi Aur Martabe Ka Zahoor Pata Hu’n. . Fir Ye Kehkar Usne Aaqa (صلى الله عليه وآله وسلم)‎ ke Nabuwaat Aur Aapki Shaan ke Bareme Mein Bataya Bina Naam Liye. Us Guftagu Mein Isne Hazrat Abdul Muttalib (عليه السلام)‎ se Kaha Ke: . “Us Bache ki Wiladat ka Yehi Zamana Hai Aur Mumkin Hai Ke Wo Paida Hochuka Hua Ho. Uske Walidain Wafat Pajaenge Aur Uske DADA aur CHACHA Uski Parwarish Karenge!” .

– Dalailun Nabuwwah, Abu Nuaim 56-60 – Dalailun Nabuwwah, Bayheqi, 2/9-14 – Dr. Tahir-ul-Qadri, Seerat ur Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Volume 3 . اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ