Nikah me Tohfe aur Ache Gaane Gungunana!

Nikah me Tohfe aur Ache Gaane Gungunana!

Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke Harzat Aaisha Siddiqa Salamullahi Alaiha ne Ansar me se Apni kisi qarabatdaar (ladki) ka nikah karwaya, to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye unhe farmaya: “Kya tumne ladki ko koi tohfa diya hai?”, Logo ne arz kiya: “Haan.” Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: “Kya tumne uske saath koi gungunaane wala bheja hai?” Unhone (RadiAllahu Anhuma) ne arz kiya: “Nahi.” To RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: “Ansar gaane ko pasand karte hain, agar tum uske humrah koi gaane wala bhej dete aur wo kehta jata:
“Atainakum Atainakum Fahaiyyana Fahaiyyakum”
“Hum tumhare paas aaye hain tum hame mubarakbaad do, hum tumhe mubarakbaad den.”

Ibne Majjah (Sahih Sanad)
Nasayi, Bayheqi.

Dr. Tahir ul Qadri, Rahatul Quloob fee Madhin Nabiyyil Mahboob (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam), Page 149,150.

Hadith Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Raqam-10305


“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmaya :
Allah Ta’ala Ne Mujhe Hukm Diya Hai Ki Mein Fatimah Nikah Ali Se Karu’n.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Raqam-10305,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/204,

Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/215,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/174,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/172, 173, Raqam-204.]

Hadith Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Raqam-5514


“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki Yeh Aayat :
﴿ إن الذين آمنوا وعملوا الصالحات سيجعل لهم الرحمن ودا ﴾
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Utari Hai Aur Farmaya :
Is Se Muraad Momineen Ke Dilon Me (Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim) Kee Muhabbat Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Raqam-5514,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/125,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/172, Raqam-203.]