
Hazrat Said Bin Abi Said al-Maqburi Ne Bayan Kiya Ke Hum Sayyedna Abu Hurairah رض Ke Saath Thae Ke Sayyedna Imam Hasan ع Hamare Pas Tashreef Laye Unhone Aate He Salam Kiya Humne Unke Salam Ka Jawab Diya Sayyedna Abu Hurairah Ko Unke Aane Ka Ilm Na Hua Humne Unko Bataya Ke Sayyedna Hasan Ibn Ali ع Salam Keh Rahe Hein Chunache Sayyedna Abu Hurairah Unse Mile Aur Unko Salam Ka Yun Jawab Diya Walaikumassalam Mere Aaqa Fir Sayyedna Abu Hurairah Ne Humse Kaha Maine Unke Baare Mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ko Farmate Huye Suna Hai Ke Mera Ye Beta Sardar Hai.
(Al Mustadrak, Hadees-4792, Imam Hakim Aur Zahabi Ne Hadees Ko Sahih Qarar Diya Hai)
