Sunniyat ki Pehchan kya hai???

Aap Ko Yah Jaan Kar Hairat Hogi Ki Sunniyat Ke Khilaaf Do-02 Mahaaz Qaayam Huwe.
Aik Ne Ishq-E-Khuda Ke Dhandhore Par Kaam Kiya Aur Dusare Ne Ishq-E-Rasool Ke Propagande Par Kaam Kiya Aur Donon Ne Aapas Me Kaam Taqseem Kar Liya.
Aur Donon Ne Apne-Apne Mahaazon Se Sunniaya Ke Khilaaf Kaam Karna Shuru Kar Diya.
Ishq-E-Khuda Ke Dhandherchiyon Ko Pahli Fursat Me Iman Waalon Ne Pahchaan Liya Aur Unhein Makkhi Kee Tarah Nikaal Kar Phaink Diya.
Lekin Isshq-E-Rasool Kee Masnooi Propagandion Ne Apne Aap Ko Aise Rookh Se Pesh Kiya Ki Aam Imaan Waale Na Samajh Sake Aur Ismail Dehlvi Ke Khufiya Himayati Ko Apna Peshwa Samajh Ne Lage.
Bahut Se Khaanqaahi Imaan Waalon Ne Is Masnooi Aashiq-E-Rasool Ko Pahchaan Liya Aur Apni Khanqahon Me Fatakne Na Diya.

Ab Ye Masnooi Ishq-E-Rasool Ka Raaz Faash Ho Chuka Hai Aur Propagande Ke Jhute Dabeez Parde Noch Kar Phaink Diye Gaye Hain Aur Sachchaai Saamne Aa Gayi Hai Ki Sunniyat Our Hai Razwiyyat Our Hai.

Vahabiyat Aur Razwiyyat Aik Hee Sikke Ke Do Rookh Hain.
Is Haqiqat Ko Hawaalon Kee Duniya Me Padhiye Aur Aalami Aafaaqui Pooraani Sunniyat Balki Yoon Kahiye Ki Khanqahi Sunniyat Jo Poori Duniya Me Raaiz Hai Us Par Qaayam Rahiye Isi Me Daarain Kee Aafiyat Hai.
Sunniyat Aur Razwiyyat Ka Farq Hawalon Kee Duniya Me Padhiye.

Sunniyat

(1) 1825 CE Me Taqwiyatul Iaman Likhi Gayi Aur Hindustan Me Vahabiyyat Ne Janam Liya.
Us Waqt Ke Hazaraat-E-Ulma-E-Ahl-E-Sunnat Ne Us Ka Bharpoor Muqaabala Kiya Aur Imam-E-Ahl-E-Sunnat Hazrat-E-Allama Fazl-E-Haque Chishti Khairabadi Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Ne “Tahqiq-ul-Fatawa” Likh Kar Ismail Dehlvi Kee Taqfeer Farmaahyi Aur Ye Bhi Farmaya :
Ye Ismail Dehlvi Kaafir Hai Aur Jo Use Kaafir Na Kahe Woh Bhi Kaafir Hai.
Hazrat-E-Allama Fazl-E-Haque Chishti Khairabadi Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Ke Fatwe Par Hindustan Ke Athaarah Jaleel-ul-Qadr Ulama-E-Kiram Wa Muftiyan-E-Izaam Ne Tehqiqaat Farmaayi.
Qaaid-E-Ahl-E-Sunnat Hazrat Allama Fazl-E-Rasool Qadri Badayuni Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Ne “Fauzool Mubin” Likh Kar Ismail Dehlvi Kee Taqfeer Kee.
Hazaraat-E-Ulma-E-Ahl-E-Sunnat Ne Dehli Kee Jaame’ Masjid Me Ismail Dehlvi Se Munazara Farma Kar Use Shiqast-E-Faash De Kar Bhaga Diya.
Hazaraat-E-Ulma-E-Haramain Tayyebain Ne Taqwiyatul Iman Aur Ismail Dehlvi Kee Taqfeer Farmaayi.

Us Waqt Na Barelvi Jee Ka Wajood Tha Aur Na Un Ke Waalide Maajid Ka.
Qadri Chishti Aur Makke Sharif Madine Sharif Ke Sunni Muftiyan-E-Kiram Ne Dahelvi Kee taqfeer Kee.
Ye Saare Kaam 1825 CE Me Anjaam Paaye.
1831 CE Me Sarhadi Pathaanon Ne Ismail Dehvli Ko Thikaane Laga Diya Aur Us Kee Laash Tak Ka Pata Na Diya, Daba Diya Ke Jala Diya Ke Baha Diya Ya Chil Kawwon Ko Khila Diya.
Ye Tamaam Haqaaiq Padhne Ke Liye Aap Padhe “Taqdim Bar Ataybul Bayan Safah-94 Ta 102, Matbooa Maqtaba Naeemiya Dehli : Naashir Raza Academy Mumabai 2001 CE.

Lekin Barelvi Jee Ne Ismail Dehlvi Ke Kafir Na Kahne Ko Apna Mazhab Wa Maslak Bataaya Hai.
Lihaaza Ye Maslak Kafr Huwa Aur Is Ka Naara Lagaana Bhi Hazaraat-E-Ulma-E-Ahl-E-Sunnat Arab Wa Ajam Ke Fatwe Ke Mutaabiq Kufr Huwa.
Is Sachchaai Ko Hawalon Kee Duniya Me Aa Kar Padhiye .

Hawala No.01

Tamhid-E-Iman Safah-45, “Ulma-E-Mutaatin Unhein (Ismail Dehlvi Ko) Kaafir Na Kahein Yahin Sawaab Hai Aur Isi Par Fatwa Hai Aur Yehi Hamaara Mazhab Aur Isi Par Etemaad Aur Isi Me Salamati Aur Isi Me Isteqaamat.”

Hawala No.02

Al-Kaukabat-ush-Shahaabiya, Safah-72, “Hamaare Nazdiq Maqaame Ehtiyaat Me Akfaar (Kaafir Kahne Se) Kaffe Lisaan (Jabaan Rokna) Maakhooz Mukhtaar Wa Munaasib.”

Hawala No.03

Sallus Suyooful Hindiya, Safah-21 Taa 22, “Hum Ehtiyaat Bartege Sakoot Karege. Jab Tak Dha’if Se Dha’if Ehtemaal Milega Hukm-E-Kufr Zaari Karte Derege.”

Hawala No.04

Sub’han-us-Subooh, Safah-80, “Aur Imam-ut-Taaefa (Ismail Dehlvi) Ke Kufr Par Hukm Nahin Karta.”

Naajereen : Ye Bhi Khoob Achchi Tarah Yaad Rakhkhe Ki Razwi Ye Dhoka Bhi Dete Hain Ki Ismail Dehlvi Ke Tauba Mash’hoor Ho Gayi Thi Is Liye Barelvi Jee Ne Us Kee Taqfeer Nahin Kee.
Ye Kaala Jhoot Hai.
Koi Razwi Nahin Deekha Sakta Ki Barelvi Jee Ne Tashreeh Tauba Kee Wajah Se Taqfeer Nahin Kee.
Un Tamam Razeion Se Challenge Hain Ki Woh Koi Aim Ibarat Barelvi Ji Kee Hamein Pesh Kare Jis Me Barelvi Ji Ne Likha Ho Ki Us Kee Tauba Mash’hoor Huee Thi!
Tamam Musalman Ismail Dehlvi Ko Kaafir Maante Hain Aur Jo Us Ke Kufriyaat Par Mutalle Ho Kar Us Ke Kaafir Hone Me Shak Kare Use Bhi Kaafir Jaante Hain.
1856 CE Me Barelvi Jee Paida Huwe, Goya Ki Ismail Dehvli Kee Taqfeer Ke Ikattis-31 Saal Baad Aur Dehlvi Ke Qatl Hone Ke Pachchis-25 Saal Baad Barelvi Jee Paida Huwe.
Aur Jab Hosh Sanbhaala To Tamaam Zindagi Ismail Dehlvi Kee Khufya Himaayat Ka Fareeza Anjaam Diya Aur Ismail Dehlvi Kee Himayat Taa Dam-E-Marg Jaari Rahi.

Advertisement

Youm e Shahdat Imam Ali Raza AlaihisSalam

17th Safar Shahadat-e-Sultan-e-Khurasan, Sardar-e-Arab-o-Ajam, Imaam-e-Zamin, Waali-e-Mashhad, Aatvey (8th) Taazdar-e-Imaamat, Imam Ali-e-Reza Bin Imam Moosa Kazim (a.s) Ki Shahadat Par Panjetan Paak, Ahle Bait-e-Athar Aur Imam-e-Zamana (a.s) Ki Bargah-e-Aqdas Mein Pursa Pesh Karte Hain.

Islamic History: 17 Safar.

Martyrdom Anniversary of
Imam Ali al-Raza
(Peace be upon him)

Yaum e Shahadat e
Imam Ali al-Raza
(Aleyhesalaam)

____

Hujjat e Islam

Rasul ALLAH
(Sallal laho aleyhe va aale hi va sallam ke Noor)

Maula e Qayenat
Amirul Momineen
Maula Ali
(Aleyhesalaam)
va
Mallika e Qayenat
Khatun e Jannat
Saiyeda Zehra
(Salaamullahaleyha) ke Shehzade

Shahid e Karbala
Imam Hussain
(Aleyhesalaam) ke Waris

Panjetan e Pak ke Jan o Jigar

Aehlebeyat ke 8ve Imam

Imam Ali al-Raza
(Aleyhesalaam) ke Yaum e Shahadat par Aehlebeyat ki Bargah main Pursha pesh karta hun!

Hadith Tabrani, Mujam al Kabir, 1/319

Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke NABI Pak alaihissalam ne moula Ali As se farmaya

“Ay Ali tu or Tere Chahne waale Qayamat ke Roz Mere paas Hauz-e-Kausar par chehre ki shadabi aur sairaab hokar aayenge aur unke chehre (Noor ki wajah se) safed honge aur beshaq Tere dushman (Qayamat ke Roz) Mere paas Hauz-e-Kausar par badnuma chehron ke saath aur sakht pyaas ki haalat me aayenge.

Tabrani, Mujam al Kabir, 1/319, #948
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/131