Khutba e Imam Husayn AlaihisSalam

Maqame Baydah Me Sayyidina Imam Husayn Ibn Ali Alayhima Al-Salam Ne Apne Aur Hurr Ke Ashab Me Yeh Khutba Hamd-o Sana’e Ilahi Ke Ba’d Farmaya:

“Ayyuha Al-Nas! Rasoolullah SallAllahu‎ ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hai Ki Jis Shakhs Ne Dekha Ki Zaalim Hukmaraan, Allah Ke Haraam Ko Halaal Kar Raha Hai, Aur Allah Ke Ahd Ko Tod Raha Hai, RasoolAllah SallAllahu‎ ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sunnnat Kee Mukhaalefat Kar Raha Hai Aur Allah Ke Bando’n Ke Saath Zulm Aur Ziyaadati Kar Raha Hai, Phir Woh Shakhs Apne Qaul Aur Fe’l Se Us Hukmaraan Ko Badalne Kee Koshish Na Kare, To Allah Ta’ala Par Haqq Hai Ki Us Shakhs Ko Us Ke Thikaane Me Daakhil Kar De. Suno! Un Logo’n Ne Shaytaan Kee Itaa’at Ka Iltezaam Kar Liya Hai Aur Rahmaan Kee Itaa’at Chhod Dee Hai, Un Logo’n Ne Fasaad Barpa Kiya Hai Aur Hudood Ko Mu’allil Kar Diya Hai Aur Mahaail (Maale Ghanimat) Ko Apni Milkiyyat Bana Liya Hai Aur Allah Ke Halaal Ko Haraam Aur Allah Ke Haraam Ko Halaal Kar Liya Hai Aur Mein Doosro’n Kee Ba-Nisbat Un Logo’n Ke Khilaaf Jihaad Karne Ka Ziyaada Mustahiq Hoo’n. Jab Ki Mere Paas Bay’at Ke Li’e Tumhaare Ba-Kasrat Khutoot Aur Numa’inde Aa Chuke Hain Ki Tum Mujhe Takleef Doge Na Sharminda Hone Doge, Agar Tum Apne Is Iqraar Aur Bay’at Par Qaa’im Raho To Hidaayat Paaoge, Mein Husayn Bin Ali, Ibn Fatimah Bint Rasool ‘Alayhim-us-Salatu Wa As-Salam Hoo’n. Mein Tumhare Saath Hoo’n Aur Mere Ahl Tumhaare Ahl Ke Saath Hain. Aur Tumhaare Li’e Meri Zaat Me Namoona Hai Aur Agar Tum Ne Aisa Na Kiya Aur Apne Iqraar Se Phir Ga’e Aur Meri Bay’at Ko Tod Diya To Yeh Tumhaari Ko’i Na’i Be-Wafaa’i Nahin Hai, Aisi Be-Wafa’i Tum Us Se Pehle Mere Baap, Mere Bhaa’i, Aur Mere Umme Zaad Muslim Bin Aqil RadiyAllahu ‘Anhuma Ke Saath Kar Chuke Ho. Afsos Hai Ki Tum Log Mujh Ko Dhoka De Kar Apna Haqq Wa Hissa Deen-Daari Ka Zaa’e Kar Rahe Ho. Aur Jo Shakhs Ahd Shikani Karta Hai Woh Dar-Asl Apna Hee Nuqsaan Karta Hai Aur Anqareeb Allah Ta’ala Mujhe Tum Se Be-Parwaah Kar Dega, Wa’s-Salamu ‘Alaykum Wa-Rahmat Allahi Wa-Barakatuh.”

[Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 04/191_192,
Ibn Athir Fi Al-Kamil Fi Al-Tarikh, 04/40, 41,
Ibn Khaldoon Fi Muqaddimat Ibn Khaldoon, 02/525.]

Advertisement