
Medan e Karbala mein Jinnat ke Badsha ki Amad!
“Imam Hussain Alaihisalaam Maidan-e-Karbala me Aaye to 25000 tirandazo ne teer chalaye kai hazaro ne talwar chalayi. shimr lanati ne Aapko bahot taklif di. Furaat ka paani band kardiya gaya, har chain o sukoon cheen liya gaya. Hazaro takleef aur musibaten aayi. Ek ke baad Ek Imam Ali Akbar, Imam Ali Asgar, Imam Qasim Ibne Imam Hasan (Alaihi-Mussalam) Shaheed kardiye gaye. Aapne Gulshan-e-Risalat ke Phoolon ko Qurban hote dekha. Aapne Unko Zinda rawana kiya par Laasho ko wapas Kheme me laaye. Aapne har aafat aur takleef dekhi par fir bhi Muskurate rahe (yaani Allah Ta’ala ki Raza me Raazi rahe) aur Aapke Qadmain Shareefain nahi dagmagaaye.
Isi dauran Jinnat ka giroh apne badshah ke saath aaya. Ajeeb maahol tha. Jinn ke badshah ne kaha: Ya Nawasa-e-Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Aap par Allah Ta’ala ki Salamati ho! Mai Jinnat ka Badshah hun aur unme se hun jinhone Aapke Walid-e-Girami Sayyiduna Ali al-Murtaza Alaihissalam ke Haatho pe Imaan kabool kiya tha. Mai us ehsan ka badla chukaane aaya hun. Bus hame Ishara farma den hum is yazido lashkar ko palak chapakte he khatam kardenge.
Ye Imam Hussain Alaihissalam ke Muqaam-e-Raza ke lihaz se ye thik nahi tha. Aap Alaihissalam ne farmaya: Tum Jinn ho aur jinn ko insan se ladna zeba nahi deta. Mai tumhe iski ijazat nahi deta. (Insani aankhe) jinno ko nahi dekh sakti magar jinn insan ko dekh sakte hain. Tum unse lad sakte ho par wo tumse nahi lad sakte. MAI NA-INSAFI KI JANG NAHI LADHNA CHAHTA. Mai yaha insaf kaayam karne ke liye aaya hun, Mai na-insafi nahi karsakta! Mai yaha isliye hun ke adal aur insaf kayaam rahe. Mai is usool ke khilaf nahi jasakta, tumlog chale jao!
Jinn ne kaha: Gazwa-e-Badr me to Malaeka bheje gaye the Sahaba (RadiAllahu Anhum) ki madat keliye.
Imam Hussain Alaihissalam ne farmaya: Wo Mere Rab Allah ka Hukm aur Marzi thi!
Ye kehkar Imam Hussain Alaihissalam ne unko wapas bhej diya.”
Allahumma Salle Ala Jaddil Hasnain wa Ummil Hasnain wa Abil Hasnain wa Ukhtil Hasnain wa Alaihima wa Aalihi wa Baarik wa Sallim