Month: September 2022
Allah and the Cosmos – CREATION IN SIX DAYS [Part 1]
Kya 12 Rabi ul Awwal Ko Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ka Yaum e Wisaal hai??

*Jo Log 12 Rabi ul Awwal Ko Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ka Yaume Wisaal Bata Kar Eid Milad un Nabi ﷺ Manane Se Inkaar Karte Hain Wo Pehle Ye Jaan Le Sarkar e Do Aalam ﷺ Ka Yaume Wisaal 12 Rabi ul Awwal Hain Hi Nahi*
Hazrat Umar Bin Khattab Razi Allahu Tala Anhu Se Riwayat Hai:- Farmate Hain Ek Yahudi Ne Mujhse Kaha Aey Ameer ul Momineen Ek Aayat Aap Hazraat Apni Kitab (Quran) Me Padhte Hain Agar Wo Hum Par Nazil Hoti To Hum Us Din Ko Eid Bana Lete, Hazrat Umar Bin Khattab Ne Pucha Wo Konsi Aayat Hai ?
Yahudi Ne Kaha:-
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلاَمَ دِينً
[Surah Maida Aayat No:- 03]
Hazrat Umar Farooque Ne Irshad Farmaya Isme Koi Shak Nahi Hum Jaante Hain Kab Aur Kaha Ye Aayat e Karima Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ Par Naazil Hui Aur Wo Juma Ka Din Tha Nabi e Akram ﷺ Arafat Me The (Yaani Hajj ka Din)…
📚 *References* 📚
*1.* Sahi Bukhari – Jild 1, Safa – 45, Kitab ul Imaan, Baab – Imaan Ka Zyada Aur Kam Hona, Hadees No – 45
*2.* Sahi Bukhari – Jild 6, Safa – 106, Kitabut Tafseer, Hadees No – 4606
*3.* Sahi Bukhari Jild 9, Safa – 231, Hadees No – 7268
*4.* Sahi Muslim Jild 7, Safa – 418-420, Kitabut Tafseer, Hadees No – 7523, 7524, 7525, 7526,7527
*5.* Sunan Nasai Jild 3, Safa – 605, Kitabul Hajj, Hadees No – 3005
*6.* Sunan Nasai Jild 6, Safa – 31, Kitabul Imaan, Hadees No – 5012
*7.* Jame Tirmizi Jild – 6, Safa – 357, Kitabut Tafseer, Hadees No – 3043
*Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ne Wo Andaz Kab Apnaya Jisme Huzoor ﷺ Aaj Hayat Hain Yani Huzoor ﷺ Ka Wisaal Kis Din Hua..?*
Hazrat Anas Bin Malik Razi Allahu Tala Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ke Marzul Maut Ke Wakt Hazrat Abu Bakar Siddique Razi Allahu Tala Anhu Namaz Padhate The Wo Peer Ka Din Tha Jab Log Namaz Me Saff Bandhe Khade Hue The To Huzoor ﷺ Ne Apne Hujre Mubarak Se Parda Hataya Aur Hamari Taraf Dekh Rahe The Aapka Chehra Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha Huzoor Nabi e Akram ﷺ Muskura Rahe The Hame Itni Khusi Hui Ke Khatra Ho Gaya Ke Kaheen Hum Sab Aap Nabi e Akram ﷺ Ko Dekhne Me Hi Naa Mashgul Ho Jaye Aur Namaz Tod De, Hazrat Abu Bakar Siddique Piche Hatke Saaf Ke Saath Aa Milna Chahte The Wo Samjhe Huzoor ﷺ Namaz K Liye Tashrif La Rahe Hai Lekin Huzoor ﷺ Ne Ishara Kiya K Namaz Puri Kar Lo Phir Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Parda Daal Diya Aur Usi Din Aapki Wafaat Hui…
📚 *References* 📚
*1.* Sahi Bukhari Jild 1, Safa – 386, Kitabul Azaan, Hadees : 680
*2.* Sahi Muslim, Jild 1, Safa 534, Kitabus Salat, Hadees No – 944
*Is Hadees Sharif Se Sabit Hua Ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Is Duniya Se Parda Peer Ke Din Kiya Aur Upar Wali Hadees Sharif Se Maloom Hota Hain Ke Jis Din Surah Maida Aayat No 3 Nazil Hui Wo Din Yaum e Arafat Ka Din Tha Yaani 9 Zil Hajj Juma Ka Din 10 Zil Hajj Ko Hafta Ka Din Aur 11 Zil Hajj Ko Itwaar Ka Din Tha Isi Tarah Aap Hisaab Lagate Lagate Rabi ul Awwal Sharif Ke Mahine Par Aa Jaye Peer Ke Din 12 Rabi ul Awwal Aati Hi Nahi, Agar In Teeno Mahino Ke Din 30 Ke Rakhe Jaye To 12 Rabi ul Awwal Itwaar Ko Aayegi, Agar In Teeno Mahino Ke Din 29 Ke Rakhe Jaye To 12 Rabi ul Awwal Jumerat Ko Aayegi, Agar 2 Mahine 30 Ke 1 Mahina 29 Ka Rakho To 12 Rabi ul Awwal Aayegi Hafta Ke Din Ki, Agar 2 Mahine 29 Ke 1 Mahina 30 Ka Rakho To Bhi 12 Rabi ul Awwal Hafte Ke Din Aayegi Yani 12 Rabi ul Awwal Kisi Bhi Tarah Se Peer Ke Din Aati Hi Nahi Ab Agar Koi Eid Milad un Nabi ﷺ Isliye Nahi Manata Ke Huzoor ﷺ Ka Wisaal 12 Rabi ul Awwal Ko Hua To Ye Baat Bukhari Muslim Ke Khilaaf Hain Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ka Wisaal 12 Rabi ul Awwal Ko Hua Hi Nahi …*