Haqiqat e Sulah e Imam Hasan AlahisSalam Sunni Kitabon aur Imamo’n se..

Imam Hasan e Mujtaba Alaihissalam ne Janab e Muawiyah se Sulah kyun ki ?

Imam Hasan Alaihis Salaam Ne Mu’awiyah Ke Saath Chand Sharaa’it Ke Taht Sulh Kar Lee. Choo’n Ki Sulh Sharaa’it Ke Teht Hu’i Thi.

Imam Hasan Ne Darje Zail Sharaa’it Muqarrar Kee Thi’n:

(1) Janabe Mu’awiyah, Kitabullah Aur Sunnate RasoolAllah Aur Khulafa’-e Saaleheen Kee Seerat Ke Mutaabiq Apni Hukoomat Me Amal Karenge.

(2) Mu’awiyah, Kisi Ko Bhi Apna Wali Muqarrar Nahin Karenge Balki Musalmano’n Ke Muqarrar Karda Arkaane Baahami Mashwara Kar Ke Jis Ko Chaahe’n Ameer Muqarrar Kare’n.

(3) Hazrat Ali Al-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Par Sabb-o Sitam Nahin Kiya Ja’ega Balki Aap Ka Zikr Khair Aur Achchha’i Ke Saath Kiya Ja’ega.

(4) Tamaam Log Iraq, Hijaz, Yeman, Sham Waghaira Me Mehfooz Zindagi Guzaarenge Un Par Ko’i Ziyaadati Waghaira Nahin Hogi.

(5) As’habe Ali Aur Aap Ke Taabe’daar Jaha’n Kahin Honge Un Par Kisi Qism Ka Zulm-o Sitam Nahin Kiya Ja’ega Un Kee Jaane’n, Maal Aur Aulaad Har Tarh Se Mehfooz Rahenge.

(6) Imam Hasan Aur Imam Hussain Aur Ahle Bait e Rasool Ke Saath Kisi Qism Kee Ko’i Ziyaadati Aur Naa Hee Un Par Zulm-o Sitam Kiya Ja’ega.

(7) Har Haqq Waale Ko Haqq Diya Ja’ega.

(8) Mu’awiyah, Kee Hukoomat Imam Hasan Mujtaba Ke Tamam Qarzo’n Kee Adaa’egi Karegi (Khums Ke Maal Se Jo Ahle Bait Ka Haq Hai).

(9) Aur Kufa Ke Bayt-ul-Maal Me Jo Maal Hai Woh Imam Hasan Ko Diya Ja’ega.

(10) Darabjerd Ka Jo Khiraaj Hoga Woh Bhi Imam Hasan Mujtaba Ko Diya Ja’ega.

(11) Baashindagaan Madinah Munawwarah, Hijaz Aur Iraq Se Mazeed Ko’i Tax Waghaira Nahin Liya Ja’ega. Balki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Zamaana Se Jo Dastoor Chala Aa Raha Hai Woh Bar-Qaraar Rahega.

Imam Hasan Mujtaba Ne In Sharaa’ite Mazkoora Baala Ke Teht Mu’awiyah Ke Saath Musaalahat Kee Magar Mu’awiyah Sharaa’it Ko Poora Na Kiya.

Chunache Ibn Jarir Tabari Likhte Hain Ki Imam Hasan Ne Yeh Mazkoora Sharaa’it Janabe Mu’awiyah Ke Paas Bhej Di To Mu’awiyah Ne Pehle Hee Ek Saada Kaaghaz Par Apni Mohr Lagaa’i Aur Saada Kaaghaz Imam Hasan Ke Paas Bhej Diya Aur Kaha Ki Is Kaaghaz Par Jo Sharte’n Aap Chaahte Hain Woh Likh De’n. Mujhe Sab Manzoor Hain. Imam Hasan Ko Jab Mohr Waala Kaaghaz Pahoncha To Imam Hasan Ne Jo Mu’awiyah Ko Pehle Sharaa’it Likhkhi Thi’n Un Me Chand Sharaa’it Ka Izaafa Kar Diya Aur Yeh Mohr Waala Kaaghaz Imam Hasan Ne Apne Paas Rakh Liya Aur Mu’awiyah Ne Imam Hasan Mujtaba Ka Pehla Khat Apne Paas Rakh Liya Jab Imam Hasan Aur Mu’awiyah Kee Mulaaqaat Hu’i To Imam Hasan Ne Mu’awiyah Ko Kaha Ki Tum In Sharaa’it Ko Poora Karo Jis Par Tum Ne Mohr Lagaa’i Hai. Mu’awiyah Ne Inkaar Kar Diya Aur Kaha Ki Mein Un Sharaa’it Ko Manzoor Karta Hoo’n Jo Aap Ne Pehle Khat Me Likhi Thi. Imam Hasan Ne Farmaya: Aap Woh Sharaa’it Taslim Kare’n Jin Sharaa’it Ke Maan Ne Ka Mu’aahada Kiya Hai Jin Par Mohr Lagaa’i Hai. Gharz Yeh Ki Mu’amala Me Ikhtelaaf Ho Gaya Aur Mu’awiyah Ne Imam Hasan Kee Kisi Shart Ko Bhi Poora Na Kiya. Ibn Jarir Ke Kalaam Se Saabit Hu’a Ki Imam Hasan Ne Jo Sulh Kee Thi Woh Sulh Mashroot Thi Magar Mu’awiyah Ne Kisi Shart Ko Bhi Poora Na Kiya. Albatta Imam Hasan Ne Sulh Ke Sharaa’it Me Mu’awiyah Ke Ikhtelaaf Karne Aur Sulh Ke Sharaa’it Ko Poora Na Karne Ke Baawajood Sulh Kar Lee Aur Sulh Ko Apni Taraf Se Bar-Qaraar Rakhkha Aur Sulh Ke Khilaaf Ko’i Baat Tak Na Kee Jis Kee Waj’h Imam Hasan Mujtaba Ne Khud Yeh Farmaa’ii Ki Agar Yeh Sulh Na Karta To Qatl, Khoonrezi Aur Fasaad Hota Jis Ko Mein Naa Pasand Karta Tha Neez Shaami Log Yeh Kehte Ki Ham To Sulh Karna Chaahte They Magar Rasoole Paak Ke Bete Ne Sulh Nahin Kee. Imam Hasan Mujtaba Ne Farmaya: Mein Sirf Sulh Ummat Kee Islaah Aur Ummat Ko Qatl-o Khoonrezi Se Bachaane Aur Allah Ta’ala Kee Khushnoodi Aur Razamandi Ke Liye Kee Hai.

لقد كان الحسن فى صلحه مح معاوية مصيب، بار راشد، ممدوح وليس يجد فى نفسه حرجا.

Imam Hasan Ne Jo Mu’awiyah Se Sulh Kee Us Me Imam Hasan Haq Par The. Aap Raast Baaz, Raast Raw Aur Mamdooh The Aap Ne Dil Me Ko’i Tangi Aur Malaamat Aur Nadaamat Mehsoos Na Karte The Balki Aap Us Se Raazi Aur Khush The Aur Jab Aboo Aamir Sufyan Bin Layl Ne Imam Hasan Ko Sulh Karne Par Aar Dilaa’i To Aap Ne Aboo Aamir Ko Kaha: ولكنى كرهت ان اقتلهم على الملك Ki Mein Ne Baadshaahat Aur Dunya Ke Liye Ladna Pasand Nahin Kiya. Lehaaza Mein Ne Sulh Kar Lee Hai Aur Imam Hasan Ne Sulh Ke Zari’e Ummat Ke Khoon Ko Raa’ega’n Behne Se Bacha Liya Hai Jaise Ki Khud RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Is Baare Me Aap Kee Mad’h Kee Hai . Imam Hasan Mujtaba Ne Mu’awiyah Ke Saath Sulh Mehz Is Bina Par Kee Ki Ummate Muslima Qatl-o Khoonrezi Se Bach Jaa’e Aur Ba-Qaul Ibn Jarir Mu’awiyah Ne Sulh Kee Kisi Shart Ko Poora Nahin Kiya Balki Aap Kee Hukoomat Ke Governoro’n Aur Haakimo’n Ne Sulh Ke Tamaam Sharaa’it Kee Dhajjiya’n Bikher Dee’n Aur Un Sharaa’it Kee Sakht Khilaaf Warzi Kee.



[Imam Hasan ‘Alaihis-Salam Aur Khilafate Rashidah, Safha-158_161, Talif: Mufti-e A’zam Hazrat Ustadh-ul-Ulama’ Musannif: Ghulam Rasool Jama’ati Naqshbandi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh,

(01) Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa-Al-Mulook Al-Ma’roof Tarikh Al-Tabari, 04/28,

(02) Khamis Al-Khulafa’ Al-Rashidin,/374, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/31.]

Advertisement

Yaum e Shahdat e Ameerul Momineen Imam Hasan Al Mujtaba AlahisSalam 28 safar.

*_28 Safar ul Muzaffar_*
_Youm e Shahadat_
*_Imam Sayedna Maula_*
*_Hasan Al Mujtaba ع_*


*_سمعت بعض من يقول كان معاوية قد تلطف ببعض خد مه ان يسقيه سما اى الحسن._*
_Hafiz Ibn Kathir Ne Apni Sanad Ke Saath Imran Bin Abdullah Se Riwayat Kee Hai Ki Mein Baaz Ko Kehte Hue Suna Hai Ki Muawiya Bin Abu Sufiyan Ne Apne Ek Khaadim Se Ehsaan Kar Ke Kaha Ki Woh Imam Hasan Ibne Ali ع Ko Zehr Pilaa’e. Aur Dusri Riwayat Me Yeh Hai:_

وهى اللتى اغراها معاوية بقتلة فقتلته بالسم
*_(01) Ki Ja’dah Ko Muawiyah Bin Abu Sufiyan Ne Is Par Bar Angekhta Kiya Ki Woh Hasan Ibne Ali ع Ko Zehr Pila De, Chunaanche Us Ne Imam Hasan ع Ko Zehr Pila Diya Jis Se Woh Faut Ho Ga’e._*

وعن المغيره عن ام موسى ان جعدة بنت الاشعث بن قيس سقت الحسن السم فاشتكى منه شكاة.
*_Mughirah Ne Moosa Se Riwayat Kee Ki Ja’dah Bint Ash’ath Bin Qays Ne Maula Imam Hasan ع Ko Zehr Pilaaya Jis Se Aap Bimaar Ho Ga’e(Aur Zehr Se Aap Kee Wafaat Ho Gayi)._*

_Taysir-ul-Bari Sharh Sahih Bukhari” Muta’alliqa Haashiya Kitab-ul-Fitan Me Hai Ki Muawiyah Bin Abu Sufiyan Baa’d Wafaate Imam Hasan ع Izhaare Masrrat Kar Ke Yeh Bhi Kaha Tha Ki Imam Hasan ع Ek Angaara They Jin Ko Allah Ne Bujha Diya. “Tadhkirat Al-Khawass Al-Ummah” Me Aur “Sa’adat Al-Kawnayn” Me Bhi Muawiyah Ka Zehr Dilwana Maujood Hai. Neez Tadhkirat Al-Khawass Al-Ummah Me Hai Ki Sha’bi (Aamir Bin Sharahil) Ka Qaul Hai Ki Muawiyah Bin Abi Sufiyan Ne Zehr Dilwaaya._

*_Allama Kamal-ud-Deen Damiri Al-Mutawaffa Sin 808 Hijri Likhte Hain Ki Ibn Khallikan Al-Mutawaffa Sin 681 Hijri Ne Kaha Ki Jis Waqt Imam Hasan ع Bimaar Hu’e To Marwaan Bin Hakam Ne Muawiyah Ko Ittela Dee Ki Imaam Hasan ع Bimar Ho Ga’e Hain To Muawiyah Bin Abu Sufiyan Ne Jawaab Diya Ki Un Ke Inteqaal Kee Khabar Mujhe Fauran Bhej Dee Jaa’e. To Jis Waqt Imam Hasan ع Kee Wafaat Kee Khabar Muawiyah Ko Maloom Hui To Baa-Aawaaze Buland Takbeer Kahi Jo Ki Maqaame Khazra Tak Sunaa’i Dee. Is Takbeeer Ko Sun Kar Ahle Shaam Ne Bhee Takbeer Kahi._*

فقالت فاخة بنت قريفة لمعاوية اقرلله عينك ماالذى كبرت لاجله فقال مات الحسن.
*_Yeh Baat Dekh Kar Fakhitah Bint Quraydah Ne Muawiyah Ko Kaha Ki Allah ﷻ Tumhaari Aankh Ko Thanda Rakhkhe Tum Ne Yeh Takbeer Buland Aawaaz Se Kyun Kahi Hai To Muawiyah Ne Kaha Ki Imam Hasan ع Ka Inteqaal Ho Gaya Hai Pas Us Ne Kaha Ki Sayeda Fatimah س Ke Bete Ke Faut Hone Par Khushiya’n Ho Rahi Hain. Na’re Lagaaye Jaa Rahe Hain. Muawiya Ne Kaha Ki Imam Hasan ع Kee Wafaat Se Mere Dil Ko Aaraam Aur Sukoon Haasil Hu’a Hai Jis Kee Waj’h Se Mein Ne Na’ra Buland Kiya Hai._*

*_Mas’oodi “Murooj Al-Dhahab Wa-Ma’adin Al-Jawhar” Me Likhte Hain Ki Qatadah Ka Qaul Hai Ki Imam Hasan ع Ko Un Kee Bibi Ja’dah Ne Zehr Diya. Yeh Mu’awiyah Ka Hukm Tha. Tabaqat Ibn Sa’d Me Hain Ki Mu’awiyah Ne Imam ‘Alayh-is-Salam Ko Ka’i Martaba Zehr Dilwaya. Aboo Al-‘Aza’ Likhte Hain Jab Hazrat Imam Hasan ع Kee Shahadat Kee Khabar Mu’awiyah Bin Abu Sufiyan Ko Phunchi To Woh Bohat Khush Hu’e Aur Sajda-e Shukr Baja Laae._*

_Khulasa-E-Kalaam Muawiya Nae Imam Hasan ع ko Aakhir Zehar Kyu Diya Uski Kya Wajah Thi Maula Ali Sher-E-Khuda ع Jab Khilafat-E- Rashida ke Takht Par Baithae Toh Tamam Musalmano ne ap ke hath par bait ki Lekin muawiya Bin Abu Sufiyan ne kabhi Aap ki khilafat-E- Berhaq ko Tasleem nahi kiya Aur bagawat ki Jiske wajah se jung-e- siffen aur jung-e- jumal jaise badi junge Maula Ali ع Aur muawiya ke darmiyan huye Maula Ali ع ke wisal ke baad Maula Hasan ع Khilafat-e- Rashida ke Takht Par baithae Aur muawiya Maula Hasan ع se Jang Karna Chahta Tha Hukumat Takht Aur Taj ke Liye Lekin Maula Hasan ع Ne Muawiya Se Kaha musalmano ka bohot khoon beh gya hain hazaro musalman maare gaye hein Aao Sulah ki baat karen Aap ne Muawiya se sulah ki aur sulah ki puri sharte tay huye jisme Badi Shart yee thi ki muawiya tumhare baad mein fir khalifa hunga aur aap apni Marzi se kessi ko Apna janasheen Nahi Banaoge yee shart tay huye Lekin muawiya nae Aap ki koi bhi shart par Amal nahi kiya Aur Apne bete Yazeed Paleed khabees ko Apna khalifa Bana Diya jab ki sulah mein yee shart thi aap apne baad kessi ko Musalmano ka khalifa Nahi banaoge Ab Awam mein yee baat Mashoor thi muawiya ke baad fir Hamare khalifa Imam Hasan ع Ya Imam Hussain ع Hoyenge muawiya ko Apne bete yazeed paleed se beinteha muhabbat thi wo usko apna janasheen aur musalmano ka khalifa banana chahte thae Lekin imam hasan ع ke Rehte huye Aisa kabhi nahi ho sakta tha Kyoki sulah mein yee shart thi Musalmano ke khalifa Imam Hasan ع hoyenge isliye Muawiya nae Imam Hasan ع ko zehar dilwaya Aur Apne bete yazeed paleed khabees ko apna janasheen Aur Khalifa Banae_

*_Muawiya Nae Zehar dilwaya yee Tamam Riwayat Hamari Ahle Sunnat ke Jayyed Akabiro ki Kitabon se Lee gayi hein Aimma-E- Ahle Sunnat ki qutub se Lee gayi hein jisse fatwa Lagana hain wo Laga Sakta hain Hamare Akabir-E-Ahle Sunnat Aimma-E- Sunnat Par fatwa yee unhe ki kitabon se tamam Riwayat-E-Batae gayi hein Meri Apni Baate nahi hein isliye fatwa mujh par mat Lagana agar himmat hain toh in Aimma-E- Ahle Sunnat Par Fatwa Laga Kar Dekhao_*

_Shahadat E Maula Hasan_
_Al Mujtaba ع Niche Hindi Mein bhi post hai Aur Pure hadeeson ke Scan Page Bhi Maujud Hai_

_मौला हसन अल मुज्तबा अलैहिस्सलाम को_
_मुआविया बिन अबू सूफियान ने
ज़हर दिलवा कर शहीद करवाया था_

*_मोतबर अहले सुन्नत किताबों से साबित हे_*


_1,,, मुआविया इब्ने अबू सूफियान ने अपने मुलाज़मीन के जरिए एक (मरकब ) कई चीजों से मिलकर बनाया हुआ ज़हर ,,,,, तैयार किया जो इमाम हसन अलैहिस्सलाम को दिया गया_
*_📚तारीख मदीना दमिश्क_*
*_सफा 📖 No,,,,284_*

_2,,,,, मुआविया बिन अबू सूफियान ने जादा बिन्ते अल अशश से खुफिया_ _साजिश की के अगर वो ,,इमाम हसन अलैहिस्सलाम को ,,,ज़हर ,,,,देकर_ _शहीद कर दे ,तो वो उसका निकाह यजीद के साथ कर देगा ,जब ,,जादा ने_
_मुआविया की (इमा) यानी इशारे पर_ इमाम हसन अलैहिस्सलाम को ज़हर_ _देकर शहीद कर दिया तो मुआविया ने जादा को एक लाख दिरहम देकर कहा के यजीद हमे अजीज हे केसे गवांरा किया जा सकता हे के जो फरजंद ए रसूल के साथ हुआ वहीं यजीद के साथ हो_

*_📚अल बद,आ वल तारीख_*
*_सफा 📖 No,,,5,,_*

_3,,,,,, मुआविया इब्ने आसाल से ज़हर लेता था,,_
*_📚 इब्ने अबी आसबिया_*
*_सफा 📖No,,171_*

_4,,,,, मोहम्मद बिन अब्दुल्लाह अल हजरमी,, ने कहा के मुझे मोहम्मद बिन अब्दुल्लाह बिन नमिर ने बताया के इन्हे याहया बिन अबी बकीर ने बयान किया के इन्हे शैबा ने अबी बकर बिन हफ्स से बयान किया के ,,साद,,,,और इमाम हसन अलैहिस्सलाम ,,,,दोनों की (अमवात) ,,शहीद ,,मौत ,,,,,, मुआविया के दौर में वाके हुई और ये तस्लीम किया जाता है के इस मुआविया ने इन्हे ज़हर दिलवाया_

*_📚अल मोजम अल कबीर_*
*_हदीस No,,,,2694_*
*_सफा 📖No,,,,,70_*


_5,,,,,,📚 तजकरा तल खवास_
_सफा 📖No,,,,12_
*_अल उम्मत और सआदत अल कोनैन में भी मुआविया का ज़हर दिलवाना मौजूद हे_*

_6,,,,,,इमाम हसन अलैहिस्सलाम को इनकी बीवी जादा ने ज़हर दिया और इसमें मुआविया की साज़िश थी_
*_📚अल इस्तीयाब_*

_7,,,,,,, फतादा का कोल हे के इनकी बीवी जादा ने इनको ज़हर दिया इसमें मुआविया की साज़िश थी_
*_📚 मरुज अल जहब_*
*_इमाम मस,उदी_*


_8,,,,,, इमाम हसन अलैहिस्सलाम ने मुआविया के जमाने में वफात पाई इनको ज़हर दिया गया मुआविया के पास कुछ चीजें ही इनको खुफिया जा जादा बिंते अशश रोजा इमाम हसन अलैहिस्सलाम के पास भेजा कि अगर तुम इनको कत्ल कर दो ही तो मैं तुम्हारा निकाह यजीद सात करूंगा_

*_1)📚 तारीख ए तबरी_*
*_मोहम्मद बिन जरीर अल तबरी_*

*_2)📚 तारीख ए मसूदी जिल्द 2 सफा 📖 नं 303_*

*_3)📚 अल इश्तियाब जिल्द 1 सफा 📖 नं 144_*

*_4)📚 तारीख 1 अबुल फदा जिल्द 1 सफा 📖 नं 183_*

*_5)📚 अल मोजम अल कबीर हदीस नं 2694 सफा 📖 नं 70_*

*_6)📚 कोकब ए दूरी सफा नं 📖569_*

*_7)📚 तारीख एक इब्ने कसीर जिल्द नं 8 सफा 📖 नं 62_*

*_9)📚 तजकरातूल खवास सफा 📖 नं 241-242_*

*_10)📚 हबीब अल सेर जिल्द नं 2 सफा 📖 नं 18_*

*_11)📚 शहादत इमाम हसन सफा 📖 नं 08_*

*_12)📚 रोजातुल मनाजर जिल्द नं 11 सफा 📖 नं 133_*

*_13)📚 अल बदआ वल तारीख सफा 📖 नं 5_*

*_14)📚 सेरूर अवलिया सफा 📖 नं 23_*
*_सैयद मोहम्मद मुबारक बिन किरमानी चिश्ती खलीफा ए सैयद ख्वाजा निजामुद्दीन औलिया رض_*

*_15)📚 तारीख 1 मदीना-दमिश्क सफा 📖 नं 284_*

_और दीगर आ हदीस के किताबों के हवाले भी मौजूद हैं_

*_स्कैन पेज

गुस्ताख-ए-सहाबा कौन.?

🔥गुस्ताख-ए-सहाबा कौन.?🔥

✍️ सही हदीस से साबित है कि नबी करीम सल्ल० ने लोगों को मना किया है कि लोग मेरे सहाबा किराम को बुरा-भला नही ना कहें और ना ही इनकी तौहीन करें।
बेशक.. यकीनन सहाबा किराम की तौहीन या बे-अदबी नहीं करना चाहिए लेकिन इस हदीस के सहारे से लोग मुनाफिकों को बचाने की भी भरपूर कोशिश करते हैं इसलिए अगर हम किसी शख्सियत को बुरा भला कहते हैं या उसके काले कारनामों को सबके सामने लाते हैं तो यकीनन हम उसे सहाबा किराम मानते ही नहीं हैं बल्कि उसे हम मुनाफिक मानते और समझते हैं।
____ ___ _______
सहाबा किराम की इज्जत पर जोर देने वालों को चाहिए कि वह सबसे पहले किसी को सहाबा की फेहरिस्त में शामिल ना करें जब तक कि उसके सीरत और कारनामों को ना जांच-परखकर देख लें वरना लफ्ज सहाबा की तौहीन होगा..
कुरान मजीद से यह बात साबित है कि फत्ह से पहले जो सहाबा किराम ईमान लाएं वो, बाद में ईमान लाने वाले ताबाईन से अफजल हैं और इसमें कोई शक या इख्तिलाफ नहीं कि जंगे उहद में शहीद होने वाले सभी सहाबा किराम फत्ह मक्का के दिन ईमान लाने वाले माविया से बेहतर और अफजल हैं…
ये अलग बहस है कि यहां फत्ह से मुराद फत्हे मक्का है या सुलह हुदैबिया है- बहरहाल इन दोनों में जो भी हर हाल में यह बात वाजेह हो जाता है कि बद्री सहाबा या जंगे उहद में शहीद होने वाले सहाबा किराम माविया से काई गुना बेहतर हैं..
_____ _____ ____
एक तरफ तो सहाबा किराम की ताजीम करने पर जोर दिया जा रहा है वहीं दूसरी ओर सहाबा किराम को कत्ल करने-करवाने वाले और मुहम्मद मुस्तफा सल्ल० के प्यारे चचा सय्यद-उस-शोहदा हजरत अमीर हमज़ा रजिअल्लाह अन्हु की लाश की बे-हुर्मती करने वाले को भी सहाबा कहकर ताजीम कराया जा रहा है…
ये बात बिल्कुल ऐसा ही है कि जैसे मौला अली अलैहिस्सलाम और इमाम हुसैन अलैहिस्सलाम की भी ताजीम किया जाता है वहीं मौला अली अलैहिस्सलाम के कातिल इब्ने मुलजिम को लोगों ने सहाबा की फेहरिस्त में शामिल किया है और इमाम हुसैन अलैहिस्सलाम के कातिल अम्र बिन साद को भी सहाबा कहकर ताजीम कराया जाता है…- तो नबी करीम सल्ल० की ये हदीस सुनाकर भी लोगों को चुप नहीं करा सकते कि सहाबा को बुरा भला मत कहो क्योंकि नबी करीम सल्ल० जिन सहाबा की ताजीम का हुक्म देते हैं वो और हैं और इन मुनाफिकों को तुम सहाबा कहकर ताजीम करा रहे हो वो और हैं…
_____ _____ ______
माविया की इख्तिलाफी बाप अबू सुफियान ने जंगे ओहद में नबी करीम सल्ल० से जंग की और जंगे ओहद में नबी करीम सल्ल० के चचा सय्यद-उस-शोहदा हजरत अमीर हमज़ा रजिअल्लाह अन्हु को अबू सुफियान ने शहीद कर दिया और माविया की मां हिंदा ने सय्यद-उस-शोहदा हजरत अमीर हमज़ा रजिअल्लाह अन्हु के नाक-कान और उंगलियों को काटकर हार बनाकर अपने गले में पहन लिया और पेट फाड़कर कलेजा निकालकर अपने मुंह में रखकर कि इसे निगल जाएं मगर वो निगल ना सकी इसलिए इमाम जलालुद्दीन श्यूती की तफसीर ए दुर्रे मंसूर में और तफसीर ए इब्ने कसीर में है कि नबी करीम सल्ल० ने फ़रमाया कि जानते हो कि हिंदा ने हमारे चचा सय्यद-उस-शोहदा हजरत अमीर हमज़ा के कलेजे को क्युं निगल ना सकी.? क्योंकि अल्लाह नहीं चाहता कि हजरत अमीर हमज़ा रजिअल्लाह अन्हु के किसी भी हिस्से को जहन्नम में दाखिल करे…मतलब हिंदा जहन्नमी है और अल्लाह नहीं चाहता कि हजरत हमजा का कोई हिस्सा इस जहन्नमी हिंदा के पेट में चला जाए।
ये तो रहा माविया के मां-बाप का हाल…
यहां पर तावील पेश किया जा सकता है कि हिंदा और अबू सुफियान का यह कारनामा ईमान लाने से पहले का है तो कोई बात नहीं अब यहां ईमान लाने के बाद अबू सुफियान के बेटे माविया का हाल….
इमाम जलालुद्दीन श्यूती ने कब्र के हालात में, इमाम इब्ने जरीर तबरी ने तारीख ए तबरी में, इमाम इब्ने कसीर ने सीरतुन्नबी में, इमाम बैहकी ने दलाएल-उन-नबूवत में और कारी सनाउल्लाह पानीपती हनफी ने तफसीर ए मज़हरी में और बहुत सी किताबों में लिखा है कि-
नबी करीम सल्ल० के विसाल के 46 साल बाद माविया ने जंगे ओहद में शहीद होने वाले शोहदा-ए-किराम के कब्रिस्तान को खुदवाकर वहां से नहर निकलवाने का इरादा किया तो माविया ने ऐलान कराया कि इस कब्रिस्तान में जिसके घर के लोग दफन हो वो आकर उसकी लाश को यहां से ले जाए और दूसरी जगह दफन कर दें।
जब शोहदा-ए-किराम के कब्रिस्तान को खोदा गया तो नबी करीम सल्ल० के चचा सय्यद-उस-शोहदा हजरत अमीर हमज़ा रजिअल्लाह अन्हु के जिस्म पर फावड़ा लग गया जिससे हजरत अमीर हमज़ा रजिअल्लाह अन्हु के जिस्म से ताजा खून निकलने लगा और चारो ओर एक खुश्बू सा फैल गया।
इस वाक्या से कुरान की वो आयत सच साबित हुआ कि शहीद को मुर्दा मत कहो बल्कि वो जिंदा हैं।
_____ _____ _____
अगर माविया को नबी करीम सल्ल० के चचा सय्यद-उस-शोहदा हजरत अमीर हमज़ा रजिअल्लाह अन्हु से या सहाबा किराम से मुहब्बत होता तो वह इसी कब्रिस्तान से नहर क्युं खुदवाता.?? या अगर ज़रुरी था तो नहर को मोड़ कर कब्रिस्तान को बचा लेता मगर ये कारनामा भी उसके बुग्ज और मुनाफिकत की निशानियों में से एक निशानी है।
शान-ए-सहाबा जिंदाबाद मगर माविया ने सहाबा किराम की कितनी ताजीम की और क्या कुछ नहीं किया..??
इस बात को बड़े अच्छे ढंग से बताया गया है जो तारीख में दर्ज है 👇

Hadith: Huzoor ki Wasiyat!

Huzoor ki Wasiyat!

Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Jo Mujhpar Imaan laaya aur Meri Tasdeeq ki, usey Mai Wilayat-e-Ali ki Wasiyat karta hun! Jisne Usey Wali jaana usne Mujhe Wali jaana aur jisne Mujhe Wali jaana usne Allah ko Wali jaana. Aur jisne Ali (Alaihissalam) se Mohabbat ki usne Mujhse Mohabbat ki aur jisne Mujhse Mohabbat ki usne Allah se Mohabbat ki. Aur jisne Ali se bugz rakha usne Mujhse bugz rakha aur jisne Mujhse bugz rakha usne Allah se bugz rakha.”

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

Haysami ne is Hadees ko Tabrani se riwayat kiya hai aur Iske Ruwaat ko Siqah (sachhe) karar diya hai!

Haysami, Majma uz Zawaid, 9/108,109
Ibne Asakir, Tarikh-e-Damishq al Kabir, 45/181,182
Hisamuddin Hindi, Kanzul Ummal, 11/611, #32958