Hadith:Dua us waqt tak Parde e Hijab mein.


Hazrat Maula Ali KarramAllahu Wajhahul Kareem farmate hain ki:

“Kullu dua in mahjubun hatta yu Sallu Ala Muhammadin (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam), WA AALE MUHAMMADIN (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam).”

“Har dua us waqt tak Parda-e-Hijab me rehti hai jab tak Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam AUR Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke AHLE BAYT par Durood na bheja jaaye!!”

[Tabrani, Mujam al Awsat, 1/220, Hadees no. 721
Bayheqi, Shobul Imaan, 2/216, Hadees no. 1575
Munzari, Targhib wa Tarheeb, 2/330, Hadees no. 2589 (aur aapne farmaya ke is Hadees ke saare Raawi Sikaah yaani Sachhe hain!)
Daylami, Musnad al Firdaus, 3/255, Hadees no. 4754
Haysami, Majma uz Zawaid, 10/160]

Al Minhaj us Sawi, page: 449, Hadees no. 499

Allahumma Salli Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim

Advertisement

Sirf Sochta aur Barish Aajati…!!!

Sirf Sochta aur Barish Aajati…!!!

Hazrat Abdullah bin Dinar RadiAllahu Anhu farmate hain ki maine Hazrat Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhuma ko Hazrat Abu Talib Alaihissalam ka ye sher padhte hue suna:
“Wo Gorey (Mukhde Waale SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Jinke Chehre ke Tawassyl se barish mangi jaati hai, yateemo ke waali aur bewao ke sahara hain.”
Hazrat Umar bin Hamza kehte hain ki Hazrate Saalim (bin Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhum) ne apne walide majid se riwayat ki ke kabhi mai Shayar ki is baat ko yaad karta aur kabhi Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Chehra-e-Aqdas ko taqta ki Is (Rukh-e-Zeba) ke tawassul se barish mangi jaati to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam (mimbar se) utarne bhi na paate ke saarey parnaale behne lagte.
Upar diya gaya Sher Hazrat Abu Talib Alaihissalam ka hai.

Sahih Bukhari, 1/342, #963
Ibne Majjah,
Musnad Ahmed bin Hanbal,
Bayheqi,
Tarikh e Baghdad, Khateeb Baghdadi,
Bidayan wan Nihaya, Ibne Kaseer,
Tuhfatul Ashraaf, Mizzi
Al Minhaj us Sawi, page 574, #631

Allahumma Salli wa Sallim Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin Ala Qadree Muhabbatika Feeh