Imam Hasan Alaihissalam riwayat karte hain ke Unhone Muawiya bin Khudaij se kaha:
“Ay Muawiya bin Khudaij! Hamare (Ahle Bayt ke) bugz se bacho kyunke beshaq RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke: Hum (Ahle Bayt) se koi bugz nahi rakhta aur koi hasad nahi karta magar ye ke Qayamat ke Din usey Aag ke Chabuko se Hauz-e-Kausar se dhutkaar diya jayega!” (yaani Ahle Bayt-e-Athar se bugz rakhne wala ek shakhs b aisa nahi hoga jisko Dozakh ki aag ke chabuko mara nahi jayega!!)
-Tabrani, Mujam al Awsat, 3/39, #2405 Haysami, Majma uz Zawaid, 9/172
Allahumma Salle Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin Ala Qadree Muhabbatika Feeh.
Imam Hasan Mujtaba (عليه السلام) Ki Shahadat Par Muhammad Hanafiyyah Ka Marsiya Padhna
Abu Al-Hasan Bin Hussain Bin Ali Al-Mas’oodi Al-Mutawaffa San 346 Hijri Apni Shohra-e Aafaaq Arabi Kitab “Murooj Al-Dhahab Wa-Ma’adin Al-Jawhar” Me Raqam-Taraaz Hain:
Ameerul Momineen Hazrat Imam Hasan (عليه السلام) Kee Tadfeen Ke Baa’d Aap Ke Bhai Muhammad Hanafiyyah (رضي الله عنه) Ne Un Kee Qabr Par Khade Ho Kar Bataur Marsiya Yeh Kaha:
Aap Kee Zindagi Aur Maut Dono Baa Waqaar Rahe’n, Aap Ke Kafan Se Aap Kee Paak Rooh Kee Khushbu Aa Rahi Thi Is Liye Ki Woh Aap Ke Taahir Jism Par Tha, Aisa Kyoo’n Na Hota Jab Ki Aap Baa Hidaayat Aur Ek Mutaqqi Baap Ke Bete They, Aap Ahle Kisa’ Ke Paanchwe’n Fard They Aap Ne Hamesha Akle Halaal Par Guzar Basar Kee Balki Aap Kee Razaa’at Bhi Imaan Hee Ka Ek Juzw Thi. Dar-Haqiqat Aap Kee Hayaat Kee Tarh Aap Kee Maut Bhi Tayyib-o Pakiza Hu’i (Ya’ni Jis Tarh Aap Zindagi Ke Har Daur Me Muskuraate Rahe Usi Tarh Muskuraate Hu’e Apne Maalike Haqiqi Se Jaa Mile) Lekin Aey Aba Muhammad! Hame’n Aap Kee Judaa’i Hamesha Tadpaati Rahegi, Allah Aap Par Rahm Farmaye.
Is Ke Baa’d Al-Mas’oodi Likhte Hain:
Abu Al-Hasan Bin Muhammad Bin Sulayman Nawfal Kee Kitab “Al-Akhbar” Ke Mutaala’a Ke Baa’d Ahle Bayt Ke Baare Me Jo Riwaayaat Mere Nazar Se Guzri Hain Un Ke Mutaabiq Muhammad Hanafiyyah Ne Imam Hasan Bin Ali Bin Abi Talib (عليهم السلام) Kee Qabr Par Khade Ho Kar Jo Alfaaz Farmaa’e They Woh Darje Zail Hain:
“Aey Aba Muhammad ! Aap Kee Zindagi Paakiza Aur Muskuraate Guzri Lekin Aap Ke Rehlat Par Log Girya Kuna’n Hain Kyun Ki Aap Khaamise Ahle Kisa’, ibn Muhammad Mustafa(صلى الله عليه وآله وسلم) , ibn Ali Murtaza(کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم), ibn Fatimah Zahra (سلام الله علیها) Aur ibn Shajare Tooba They.
Is Ke Baa’d Muhammad Hanafiyyah Ne Imam Hasan Mujtaba (عليه السلام) Kee Qabr Par Khade Hee Khade Fi-Al-Badeeha Kuchh Ash’aar Bhi Padhe Jin Me Unhone Apne Bhai Imam Hasan Ke Faza’il Bayaan Karne Ke Baa’d Un Kee Wafaat Ko Ek Bohat Bada Haadesa Aur Ahle Islam Ke Liye Naaqaabile Talaafi Nuqsaan Qaraar Diya Tha.”
– References [ Mas’oodi Fi Murooj Al-Dhahab Wa-Ma’adin Al-Jawhar, 02/364, 365, Sibt Ibn Al-Jawzi Fi Tadhkirat Al-Khawass, / 213_214 ]
28 Safar Youm e Shahdat Imam Aali Muqaam Sayyadina Imam Hasan e Mujtaba Alaihissalam
“अल्लामा मज़कूर बाहवालाए हज़रत शेख़ मुफ़ीद अल रहमा रक़म तराज़ हैं… कि इसी तहनियत के सिलसिले में जनाबे जिब्राईल बे शुमार फ़रिश्तों के साथ ज़मीन की तरफ़ आ रहे थे। नागाह उनकी नज़र ज़मीन के एक ग़ैर मारूफ़ तबक़े पर पड़ी!
देखा कि एक फ़रिश्ता ज़मीन पर पड़ा हुआ ज़ारो क़तार रो रहा है। आप उसके क़रीब गए और आपने उससे माजरा पूछा। उसने कहा ऐ जिब्राईल मैं वही फ़रिश्ता हूँ जो पहले आसमान पर सत्तर हज़ार फ़रिश्तों की क़यादत करता था। मेरा नाम फ़ितरूस है।
जिब्राईल (अ.) ने पूछा तुझे यह किस जुर्म की सज़ा मिली है ?
उसने अर्ज़ की… मरज़ीए माबूद के समझने में एक पल की देरी की थी, जिसकी यह सज़ा भुगत रहा हूँ। बालो पर जल गए हैं, यहां कुंजे तन्हाई में पड़ा हूँ। ऐ जिब्राईल ख़ुदारा मेरी कुछ मद्द करो।
अभी जिब्राईल जवाब न देने पाये थे कि उसने सवाल किया, ऐ रूहुल अमीन आप कहां जा रहे हैं ?
उन्होंने फ़रमाया कि नबी आख़ेरूज़ ज़मां हज़रत मोहम्मद मुस्तफ़ा (स.अ.) के यहां एक फ़रज़न्द पैदा हुआ है जिसका नाम #हुसैन है।
मैं ख़ुदा की तरफ़ से उसकी अदाए तहनियत के लिये जा रहा हूँ।
फ़ितरूस ने अर्ज़ कि ऐ जिब्राईल ख़ुदा के लिये मुझे अपने हमराह लेते चलो, मुझे इसी दर से शिफ़ा और नजात मिल सकती है।
जिब्राईल उसे साथ ले कर हुज़ूर की खि़दमत में उस वक़्त पहुँचे जब कि इमाम हुसैन (अ.स.) आग़ोशे रसूल (स.अ.) में जलवा फ़रमा रहे थे।
जिब्राईल ने अर्ज़े हाल किया। सरवरे कायनात (स.अ.) ने फ़रमाया कि फ़ितरूस के जिस्म को हुसैन (अ.स.) के जिस्म से मस कर दो, शिफ़ा हो जायेगी।
जिब्राईल ने ऐसा किया और फ़ितरूस के बालो पर उसी तरह रोईदा हो गये जिस तरह पहले थे। वह सेहत पाने के बाद फ़ख़्रो मुबाहात करता हुआ अपनी मंज़िले असली आसमाने सेयुम पर जा पहुँचा और मिसले साबिक़ सत्तर हज़ार फ़रिश्तों की क़यादत करने लगा।
बाद अज़ शहादते हुसैन (अ.स.) चूँ बरां क़ज़िया मतला शुद”
यहां तक कि वह ज़माना आया जिसमें इमाम हुसैन (अ.स.) ने शहादत पाई और इसे हालात से आगाही हुई तो उसने बारगाहे अहदियत में अर्ज़ कि …
“मालिक मुझे इजाज़त दी जाय कि मैं ज़मीन पर जा कर दुश्मनाने हुसैन (अ.स.) से जंग करूं।
इरशाद हुआ कि जंग की कोई ज़रूरत नहीं अलबत्ता तू सत्तर हज़ार फ़रिश्ते ले कर ज़मीन पर चला जा और उनकी क़ब्रे मुबारक पर सुबह व शाम गिरया ओ मातम किया कर और इसका जो सवाब हो उसे उनके रोने वालों पर हिबा कर दे।
चुनान्चे फ़ितरूस ज़मीने करबला पर जा पहुँचा और ता क़याम क़यामत शबो रोज़ रोता रहेगा।
Hazrat Jabir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne hame Khutba Irshad farmaya, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farma rahe they: “Jisne Hum Ahle Bayt ke sath bugz rakha, Roz-e-Qayamat uska hashr yahoodiyin ke sath hoga.”
Maine arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Aalika Sallam! Agar wo roza rakhe aur namaz (bhi) padhe (to bhi uska hashr yahudiyon ke saath hoga)?
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Haan! Agarche wo roza rakhe aur namaz (bhi) padhe (iske bawjood dushmane Ahle Bayt hone ki wajah se Allah Ta’ala uski ibadaat ko radd farmakar usey yahoodiyon ke sath uthaega).”
1. Tabarani, al -Mujam-ul-awsat (4:212 #4002) 2. Haythami, Majma-uz-zawaid 9/172 3. Jurjani, Tarikh e Jurjan 369 _ – Salawat bar Muhammad wa aale muhammad Allahumma Salle Alaa Muhammad wa aale Muhammad