
1 Safar ko Unki Shahadat hai Jinke Murid Imam-e-Aazam Abu Hanifa Jaisi Azeem Hasti hai!
Unke baareme Muhaddis-e-Akbar Imam Shuabi ne farmaya:
“Allah Ta’ala ki Qasam! Kisi aurat ne bhi Unse zyada Fazilat ka Hamil, Unse zyada Faqih, Unse zyada Shujaah aur Unse zyada Zahid paida nahi kiya!!”
Aur Unke bare Khud Imam-e-Aazam Abu Hanifa RadiAllahu Anhu farmate hain:
“Maine Unke Zamane me Unse zyada Faqih, Unse zyada Aalim, Unse zyada Haazir Jawab, Unse zyada baat ki Wazahat karne wala kisiko nahi dekha!!”
Wo Azeem Hasti hain Imam Hussain Alaihissalam ke Potey, Imam Zainul Aabideen Alaihissalam ke Shahzade, Hazrat Sayyeduna Imam Zaid bin Ali Alaihi-Mussalam!!
(Imam Muhammad al Baqir Alaihissalam ke Bhai)
Aap Ilm o Amal ke Samandar to they he aur Aap Haq ki aawaz buland karne se bhi nahi darte they (jo ke Ahle Bayt-e-Athaar ki Shaan hai!)
Aapne hukumat ke kiye jaane waale zulm ke khilaf aawaz uthayi to hukumat ne Imam Abu Hanifa ko Unke khilaf fatwa deno ko kaha. To Imam-e-Aazam ne fatwa diya ke Jo Imam Zaid Alaihissalam ki Madat karega usko Badr Waalo jaisa Sawab milega!!
Jab Imam Zaid Alaihissalam ko Shaheed kiya gaya to us hukmraan ne Aapke Jism-e-Aqdas se kapde nikaale aur Aapko suli par chadhaya aur kaha ke Ahle Bayt ke Log koi khaas nahi hote Inke Jism bhi maut ke baad sad jaate hain (maazAllah).
To 4 saal tak Aapka (ba-zaahir) murda Jism-e-Pak suli pe latka raha lekin jo bhi shakhs kareeb se guzrata usko Mushk se behtar khushu aati!! Aur Allah ne Aapke Satr ki Hifazat ki!!
Jab Aapke Shahdat ki Khabar Aapke Bhatije Imam Jafar as Sadiq Alaihissalam tak pahunchi to gum ke maare Aap nidhaal hogaye, kai hafto tak Apne Chacha ke gum me rote rahe. Aur farmaya:
“Allah Rabbul Izzat ki Qasam! Imam Zaid Hum me sabse zyada Quran ko padhne waale, Allah ke Deen ki Hum me sabse zyada Samajh bujh rakhne waale aur Hum me sabse zyada Sulah Rehmi karne waale they. Allah Rabbul Izzat ki Qasam! Duniya aur Aakhirat me ab Hum me Unki Misl koi bhi maujud nahi..”
Imam Zaid Alaihissalam Bahot Bade Muhaddis bhi they aur aaj duniya me available gaaliban jo sabse purani Hadees ki Kitaab hai, Wo Imam Zaid bin Ali Alaihi-Mussalam ki Murattab ki hui “Musnad Zaid” hai! Jisme Aapne Apni Sanad se Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Ahadees Riwayat ki Hain aur Wo Kitab pdf aur hard copies me kai languages me maujud hai!
kamse kum 2 rakat Nafl padhke Uska Sawab Aapki Bargah me Bataor-e-Hadiya pesh karen.. InshaAllah
Allahumma Salle Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin
(SallAllahu Alaihi wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim)
*1 Safar ul Muzaffar Yaum e Shahadat Hazrat Sayyiduna Imam Zaid e Shaheed (عليه السلام)* *Imam Zain al Abideen (عليه السلام) Ke Shehzade* *Imam Maula Hussain (عليه السلام) ke pote* *Safar Mahine ki pehli tarikh ko Unki Shahadat hai Jinke Mureed Imam-e-Aazam Abu Hanifa Jaisi Azeem Hasti hai!* *Unke baareme Muhaddis-e-Akbar Imam Shuabi ne farmaya:*
👇🏻
*”Allah Ta’ala ki Qasam! Kisi aurat ne bhi Unse zyada Fazilat ka Hamil, Unse zyada Faqih, Unse zyada Shujaah aur Unse zyada Zahid paida nahi kiya!!”* *Aur Unke bare Khud Imam-e-Aazam Abu Hanifa RadiAllahu Anhu farmate hain:* 👇🏻
*”Maine Unke Zamane me Unse zyada Faqih, Unse zyada Aalim, Unse zyada Haazir Jawab, Unse zyada baat ki Wazahat karne wala kisiko nahi dekha!!”* *Wo Azeem Hasti hain Imam Hussain (عليه السلام) ke Potey, Imam Zain ul Aabideen (عليه السلام) ke Shahzade, Hazrat Sayyeduna Imam Zaid Shaheed (عليه السلام)!!* *Imam Muhammad al Baqir (عليه السلام) ke Bhai* *Aap Ilm o Amal ke Samandar to they he aur Aap Haq ki aawaz buland karne se bhi nahi darte they (jo ke Ahle Bayt-e-Athaar ki Shaan hai!)* *Aapne hukumat ke kiye jaane waale zulm ke khilaf aawaz uthayi to hukumat ne Imam Abu Hanifa ko Unke khilaf fatwa deno ko kaha. To Imam-e-Aazam ne fatwa diya ke Jo Imam Zaid (عليه السلام) ki Madat karega usko Badr Waalo jaisa Sawab milega!!* *Jab Imam Zaid (عليه السلام) ko Shaheed kiya gaya to us hukmraan ne Aapke Jism-e-Aqdas se kapde nikaale aur Aapko suli par chadhaya aur kaha ke Ahle Bayt ke Log koi khaas nahi hote Inke Jism bhi maut ke baad sad jaate hain (maazAllah).* *To 4 saal tak Aapka (ba-zaahir) murda Jism-e-Pak suli pe latka raha lekin jo bhi shakhs kareeb se guzrata usko Mushk se behtar khusbu aati!! Aur Allah ne Aapke Satr ki Hifazat ki!!* *Jab Aapke Shahadat ki Khabar Aapke Bhatije Imam Jafar as Sadiq (عليه السلام) tak pahunchi to gum ke maare Aap nidhaal hogaye, kai hafto tak Apne Chacha ke gum me rote rahe. Aur farmaya:*
👇🏻 *”Allah Rabbul Izzat ki Qasam! Imam Zaid Hum me sabse zyada Quran ko padhne waale, Allah ke Deen ki Hum me sabse zyada Samajh bujh rakhne waale aur Hum me sabse zyada Sulah Rehmi karne waale they. Allah Rabbul Izzat ki Qasam! Jab Aapke Shahadat ki Khabar Aapke Bhatije Imam Jafar as Sadiq (عليه السلام) tak pahunchi to gum ke maare Aap nidhaal hogaye, kai hafto tak Apne Chacha ke gum me rote rahe. Aur farmaya:*
👇🏻
*”Allah Rabbul Izzat ki Qasam! Imam Zaid Hum me sabse zyada Quran ko padhne waale, Allah ke Deen ki Hum me sabse zyada Samajh bujh rakhne waale aur Hum me sabse zyada Sulah Rehmi karne waale they. Allah Rabbul Izzat ki Qasam! Duniya aur Aakhirat me ab Hum me Unki Misl koi bhi maujud nahi..”*
*Imam Zaid (عليه السلام) Bahot Bade Muhaddis bhi they aur aaj duniya me available gaaliban jo sabse purani Hadees ki Kitaab hai, Wo Imam Zaid (عليه السلام) ki Murattab ki hui “Musnad Zaid” hai! Jisme Aapne Apni Sanad se Apne Nana Jaan Imam ul Ambiya Muhammad Mustafa (صلى الله عليه وآله وسلم) ki Ahadees Riwayat ki Hain aur Wo Kitab pdf aur hard copies me kai languages me maujud hai!*
*Imam Zaid (عليه السلام) Ki Zaujah Hazrat Rayta bin Abdullah bin Muhammad Ibn al Hanafiyyah (SalaamUllah Alaihim)*
*Imam Zaid Shaheed (عليه السلام) Ke Shehzade*
👇🏻
*Hazrat Hasan (عليه السلام)*
*Hazrat Yahya (عليه السلام)*
*Hazrat Hussain (عليه السلام)*
*Hazrat Isa Mawtamul Ishball (عليه السلام) {Jinki Quwwat💪🏻 ka Yeh Alam Tha Ke Apne ek 👊🏻Mukke se Sher 🦁Ko Maar Diya karte the}*
*Niyaz o Fateha Bargah e Imam Mein Pesh Kariye* *Allahumma Salle Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin (SallAllahu Alaihi wa Aaleihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim)* *اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا إمام زيد شهيد*
*اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد*