
Sirf Sochta aur Barish Aajati…!!!
Hazrat Abdullah bin Dinar RadiAllahu Anhu farmate hain ki maine Hazrat Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhuma ko Hazrat Abu Talib Alaihissalam ka ye sher padhte hue suna:
“Wo Gorey (Mukhde Waale SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Jinke Chehre ke Tawassyl se barish mangi jaati hai, yateemo ke waali aur bewao ke sahara hain.”
Hazrat Umar bin Hamza kehte hain ki Hazrate Saalim (bin Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhum) ne apne walide majid se riwayat ki ke kabhi mai Shayar ki is baat ko yaad karta aur kabhi Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Chehra-e-Aqdas ko taqta ki Is (Rukh-e-Zeba) ke tawassul se barish mangi jaati to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam (mimbar se) utarne bhi na paate ke saarey parnaale behne lagte.
Upar diya gaya Sher Hazrat Abu Talib Alaihissalam ka hai.
Sahih Bukhari, 1/342, #963
Ibne Majjah,
Musnad Ahmed bin Hanbal,
Bayheqi,
Tarikh e Baghdad, Khateeb Baghdadi,
Bidayan wan Nihaya, Ibne Kaseer,
Tuhfatul Ashraaf, Mizzi
Al Minhaj us Sawi, page 574, #631
Allahumma Salli wa Sallim Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin Ala Qadree Muhabbatika Feeh