Ala Hazrat Ashrafi Miyan r.a

 

 

Aala Hazrat-1

Aala Hazrat-2

Aala Hazrat-3Aala Hazrat-4Aala Hazrat-5Aala Hazrat-6

Aala Hazrat-7Aala Hazrat-8Aala Hazrat -9Aala Hazrat-10Aala Hazrat-11Aala Hazrat-12Aala Hazrat-13Aala Hazrat-14Aala Hazrat-15Aala Hazrat-16Aala Hazrat-17Aala Hazrat-18

Hazrat Sayyed Shaah Abu Ahmad, Ali Husain Ashrafi Miyan Rajshahi Khichochvi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
A’ala Hazrat, Qutb-ul-Masha’ikh, Qiblatul Uama, Jameel-ul-Tareeqain, Mehboobe Rabbaani.

********
Aap ki wilaadat 22 Rabi ul aakhir 1266 Hijri ko Peer ke roz Subah saadiq ke waqt hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Haaji Sayyed Saadaat Ali Ashrafi bin Sayyed Shaah Qalandar Bakhsh rahmahtullāhi alaihi hai.

Aap Hasani saadaat hain.
Aap Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.

********
Aap ki wilaadat ke baad Aap ke waalide mohtaram ne aap ko ghusl diya. Phir Aap ke haath me qalam diya aur use siyaahi me doobokar aap ka haath pakadkar ALLĀH (Ism-e-Jalaalat) likhaaya. Phir zam zam me shaehd milaakar aap ke munh me rakha. Phir Hazrat Sayyed Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullāhi alaihi ki dargaah mubarak ka surma aap ki aankho me lagaaya.

********
Aap bachpan se hi Muttaqi aur parhezgaar the. Aur paabande shariat the.

******
4 saal 4 mahine aur 4 din ki umr me Shaikh Allama Maulana Gul Muhammad Khalilabadi ke paas Aap ki Bismillāh khwaani ki gai.
Maulana Amaanat Ali Kichhochhawi se Aap ne Faarsi ki ta’aleem haasil ki.
Maulana Salaamat Ali Gorakhpuri aur Maulana Qaadir Baksh Kichhochhawi se majeed ta’aleem haasil ki.
Aap ne 16 saal ki umr me tamaam uloom ki ta’aleem haasil kar li.

******
1282 Hijri (1865 A.D.) me Aap apne bhai Hazrat Allama Sayyed Shaah Abu Muhammad Ashraf Husain rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur un se uloom-e-baatini ki ta’aleem haasil ki.
1290 Hijri (1873 A.D.) me Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmaai.

Is ke baad kuchh arse tak Aap Aastaana e Aaliya Ashrafiya par tanhaai me mujaahida me mashgool rahe.

*******
Aap bahot Muttaqi aur parhezgaar the. Aur paabande shariat the.

Aap ne Hindustan, Pakistan, Bangladesh, Nepal, Egypt, Iraq, Yemen, Syria, Turkey aur dusre mulko me islaam aur Chishti Ashrafi silsila isha’at ki.

Aap ne bahot saari masjide, madrasa aur idaare taameer kiye.
Jin me Madrasa Ashrafiya (Kichhauchha), aur Jaame Ashraf (Kichhauchha) saamil hain.

Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi ne Aap ke daste mubarak se ‘Daar-ul-Uloom Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom (Mubarakpur)’ ki bunyaad rakhi.

Aap ki ta’aleem aur faiz se be-shumaar logo ko hidaayat mili.

Masha’ikh aur Ulama Aap ko Hum-Shabeeh e Ghauṡ e Aazam Kehte The.

Jab Aap Sundh Sharif, Mewat Me Huzur Qutub e Aalam Fardwakt Hazrat Miya Rajsha Sahab Qadri Sundhvi rahmatullāhi alaihi Ki Khidmat Me Tashreef Le Gye Aur Unke Sahabzade Shams ul Aarifeen Mujjadid e Wakt Hazrat Allama Molana Abdullah Sha Sahab Qadri Rajshahi rahmatullāhi alaihi Se Mulaqat Hui To Unhone Aapko Dekhar Farmaya Qibla Peer Jii Sahab Janab Ka Garden Se Aur Ye Chehra Ka Hissa Hazrat Ghous Pak rahmatullāhi alaihi Se Bilkul Mushaba Hai, Jis Par Aalahazrat Ashrafi Miya Me Kha Jazak Allah Fir Mujjadid e Wakt Molana Abdullah Sha Sahab Rajshahi Ne Kha Garden Se Neeche Ka Hissa Nahi Milta, Is Par Huzur Ashrafi Miya Ne Kha Durust Hai Fir Hazrat Abdullah Sha Sahab Rajshahi Ne Kha Ye Aamama Bhi Wesa Nahi Hai Fir Ashrafi Miya Ne Farmaya Bilkul Sahi Hai Me Unki Aulad Se Hu Uske Bad Huzur Ashrafi Miya Ne Dusri Nishani Apni Reesh Buland Karke Batayi Ye Hissa Bilkul Unke Mutabik Hai.
********
1285 Hijri (1868 A.D.) me Aap ka nikaah Hazrat Sayyad Shaah Himaayat Ashraf bin Sayyed Shaah Naqi-ud-deen Ashraf Biskhari ki saahabzaadi se hua.

********
Aap ne 4 martaba Hajje Baitullāh ki sa’adat haasil ki.
(1) 1293 Hijri (1876 A.D.) me,
(2) 1323 Hijri (1906 A.D.) me,
(3) 1329 Hijri (1911 A.D.) me (Is Hajj me Aap ne Ta’if, Baitul Muqaddas (Israel), Homs, Aleppo aur Damascus (Syria) Karbala Sharif, Baghdad Sharif aur Egypt ki ziyarat bhi ki),
(4) 1354 Hijri (1936 A.D.) me.

********
Ek martaba Aap Hazrat Mehboob-e-Ilāhi Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke mazaar par Faatiha khwaani ke baad baahar tashreef laaye to A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi se mulaaqaat hui. A’ala Hazrat ne Aap ko dekhkar ek Sher irshaad farmaaya,
Ashrafi Aye rakht aa’ina husne khoobaan,
Aye Nazar kardah o parwardah seh mehboobaan.
(Tarjuma :
Aye Ashrafi miyan Aap husne khoobiyo ka aa’ina ho,
Aap teen mehboobo ke nazar kardah aur faiz ata kardah ho.)

[3 mehboob se muraad Mehboob e Sub’hāni Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jeelaani, Mehboob e Ilāhi Khwaja Sayyed Nizaam-ud-deen Auliya Chishti aur Mehboob e Yazdaani Makhdoom Sayyed Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullāhi alaihi hai.]

******
Aap Hazrat Allaama Sayyed Shaah Abu Muhammad Ashraf Husain rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Qutub e Aalam Fardwakt Fardwakt Miya Rajsha Sahab Qadri Sundhvi rahmatullāhi alaihi Ne Aapko Silsila e Qadriya Zahidiya Ki Ijazat Ke Sath Sultan ul Azkaar wa Deegar Ijazat Di Aur Ek Duni Ata Farmayi, Huzur Qutub e Aalam Hazrat Miya Rajsha Sahab Qadri Sundhvi rahmatullāhi alaihi Ke Bare Aalahazrat Ashrafi Miya rahmatullāhi alaihi Farmate Hai:- Ke Me Is Bargah Me Faiz Ke Asraat Se Malamal Hua, Hazrat Qutub e Aalam Miya Rajsha Sahab Qadri Sundhvi rahmatullāhi alaihi Ki Wiladat 1216 Hijri Me Hui Aur Aapka Wisal 8 Ramzan ul Mubarak 1306 Hijri Me Hua, Aap Teervi Sadi Ki Jaleel ul Qadr Shaksiyat The, Aap Silsila e Qadriya Ke Mashoor Buzurgh Hue Hai, Aap Rajshahi Silsile Ke Imaam Hai Aap Qutub ul Akhtab Hazrat Syedna Ismaile Mehmi Siddiqi Qadri rahmatullāhi alaihi Ke Mureed wa Khalifa Hai, Aapke Sahabzade Mujjadid e Wakt Hazrat Allama Molana Abdullah Sha Sahab Qadri Rajshahi rahmatullāhi alaihi Ka Hum Uper Zikr Kar Chuke Hai, Aapka Mazar Sharif Sundh Sharif, Zila Mewat (Haryana) Me Marjai Khalaik Hai.

Hazrat Sayyed Shaah Imaad-ud-deen Muhammad Hasan Ghazipuri rahmatullāhi alaihi, Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Ahmad Barkaati Marehrawi rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Shaah Ameer Kabuli rahmatullāhi alaihi ne (Qaadri Munawwari silsila) bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Hazrat Sayyed Sa’adat Ali Muhaqqiqi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko ‘Shattaari’ silsila ki khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Aalim-e-Rabbaani Sultaan-ul-Waa’izeen Maulana Sayyed Ahmad Ashraf rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Sarkaar e Kalaan Allama Sayyed Shaah Muhammad Mukhtaar Ashraf al-Ashrafi rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shams ul Aarifeen Mujjadid e Wakt Shaykh ul Islam Hazrat Allama Molana Abdullah Sha Sahab Qadri Rajshahi Sundhvi rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Mujaahid-e-Millat Maulana Shaah Mohamamd Habeeb-ur-Rahmān rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Jalaalat-ul-Ilm Haafiz-e-Millat Maulana Haafiz Abdul Azeez Muhaddeeṡ Muradabadi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Mufasseer-e-Qur’an Allama Mufti Sayyed Abul Hasanaat Ahmad Qaadri Lahori rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Fakhr-ul-Ulama Maulana Sayyed Shaah Muhammad Faqeer Ilahabadi rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Ustaad-ul-Ulama Maulana Hakeem Naeem -ud-deen Ashrafi Muradabadi rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Muballigh-e-Islaam Haaji Sayyed Meer Muhammad Ghulaam Bhik Ashrafi rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Maulana Sayyed Shaah Ameer Hamza Ashrafi Jalaali rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Maulana Khaleel-ud-deen Khaleelullāh Shaah Ashrafi Bareilwi rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Ashraf-ul-Masha’ikh Maulana Ghulaam Qaadir Ashrafi rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Qutb-e-Rabbaani Maulana Sayyed Shaah Taahir Ashraf Dehlawi rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Imaam-ul-Muhaddeeṡeen Sayyed Deedaar Ali Shaah Muhaddeeṡ Wari rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Taaj-ul-Ulama Maulana Mufti Muhammad Umar Ashrafi Naeemi Muradabadi rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Bahr-ul-Uloom Mufti Abdul Hafeez Haqqaani Hafizullāh Shaah Ashrafi rahmatullāhi alaihi
(18) Hazrat Mufti-e-Aazam-e-Pakistan Allama Sayyed Shaah Abul Barkaat Ashrafi Lahori rahmatullāhi alaihi
(19) Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani Razawi rahmatullāhi alaihi
(20) Hazrat Muballigh-e-aazam Maulana Shaah Abdul Aleem Siddeeqi Merathi Madani rahmatullāhi alaihi
(21) Hazrat Khateeb-e-Aazam Maulana Shaah Arifullāh Merathi rahmatullāhi alaihi
(22) Hazrat Ustaad-ul-Ulama Maulana Mufti Abdul Rasheed Khan rahmatullāhi alaihi
(23) Hazrat Ustaad-ul-Ulama Maulana Muhammad Younus Ashrafi Sambhali rahmatullāhi alaihi
(24) Hazrat Ameen-e-Shariat Mufti Maulana Mufti Sayyed Shaah Rafaaqat Husain Kanpuri rahmatullāhi alaihi
(25) Hazrat Raees-ul-Muhaqqeeqeen Maulana Sayyed Sulaimān Ashraf Bihari rahmatullāhi alaihi
(26) Hazrat Sadr-ul-Ulama, Imam al-Nahw Allama Sayyed Ghulaam Jeelaani Mohaddeeṡ Merathi rahmatullāhi alaihi
(27) Hazrat Maulana Nisaar Ahmad rahmatullāhi alaihi
(28) Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi
(29) Hazrat Sultaan-ul-waa’izeen Maulana Abdul Ahad Mohaddeeṡ Pilibhiti rahmatullāhi alaihi
(30) Hazrat Makhdoom-ul-Millat Allama Mufti Shaah Haamid Hasan Sambhali rahmatullāhi alaihi,
(31) Hazrat Ajmal-ul-Ulama Mufti Ajmal Husain Qaadri Razawi Sambhali rahmatullāhi alaihi.

********
Aap ka wisaal 11 Rajab 1355 Hijri (27 September 1936 A.D.) ko Subha Ke Wakt Ba’halate Zikr hua.

Aap Mazaar Kichhauchha (Uttar Pradesh) me hai.

******
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Rajshahi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae, Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

5dd2309b-efa2-4e57-bfd6-36d539b55ecc65b3fb27-3501-4a99-8749-fd9bf5acd791886c715d-edec-4fae-b18a-d7bba0382be3eb048aa6-fcfe-45b7-8dae-4c77e79128fd

Advertisement