

Imam Hasan e Mujtaba Alaihissalam ne Janab e Muawiyah se Sulah kyun ki ?
Imam Hasan Alaihis Salaam Ne Mu’awiyah Ke Saath Chand Sharaa’it Ke Taht Sulh Kar Lee. Choo’n Ki Sulh Sharaa’it Ke Teht Hu’i Thi.
Imam Hasan Ne Darje Zail Sharaa’it Muqarrar Kee Thi’n:
(1) Janabe Mu’awiyah, Kitabullah Aur Sunnate RasoolAllah Aur Khulafa’-e Saaleheen Kee Seerat Ke Mutaabiq Apni Hukoomat Me Amal Karenge.
(2) Mu’awiyah, Kisi Ko Bhi Apna Wali Muqarrar Nahin Karenge Balki Musalmano’n Ke Muqarrar Karda Arkaane Baahami Mashwara Kar Ke Jis Ko Chaahe’n Ameer Muqarrar Kare’n.
(3) Hazrat Ali Al-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Par Sabb-o Sitam Nahin Kiya Ja’ega Balki Aap Ka Zikr Khair Aur Achchha’i Ke Saath Kiya Ja’ega.
(4) Tamaam Log Iraq, Hijaz, Yeman, Sham Waghaira Me Mehfooz Zindagi Guzaarenge Un Par Ko’i Ziyaadati Waghaira Nahin Hogi.
(5) As’habe Ali Aur Aap Ke Taabe’daar Jaha’n Kahin Honge Un Par Kisi Qism Ka Zulm-o Sitam Nahin Kiya Ja’ega Un Kee Jaane’n, Maal Aur Aulaad Har Tarh Se Mehfooz Rahenge.
(6) Imam Hasan Aur Imam Hussain Aur Ahle Bait e Rasool Ke Saath Kisi Qism Kee Ko’i Ziyaadati Aur Naa Hee Un Par Zulm-o Sitam Kiya Ja’ega.
(7) Har Haqq Waale Ko Haqq Diya Ja’ega.
(8) Mu’awiyah, Kee Hukoomat Imam Hasan Mujtaba Ke Tamam Qarzo’n Kee Adaa’egi Karegi (Khums Ke Maal Se Jo Ahle Bait Ka Haq Hai).
(9) Aur Kufa Ke Bayt-ul-Maal Me Jo Maal Hai Woh Imam Hasan Ko Diya Ja’ega.
(10) Darabjerd Ka Jo Khiraaj Hoga Woh Bhi Imam Hasan Mujtaba Ko Diya Ja’ega.
(11) Baashindagaan Madinah Munawwarah, Hijaz Aur Iraq Se Mazeed Ko’i Tax Waghaira Nahin Liya Ja’ega. Balki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Zamaana Se Jo Dastoor Chala Aa Raha Hai Woh Bar-Qaraar Rahega.
Imam Hasan Mujtaba Ne In Sharaa’ite Mazkoora Baala Ke Teht Mu’awiyah Ke Saath Musaalahat Kee Magar Mu’awiyah Sharaa’it Ko Poora Na Kiya.
Chunache Ibn Jarir Tabari Likhte Hain Ki Imam Hasan Ne Yeh Mazkoora Sharaa’it Janabe Mu’awiyah Ke Paas Bhej Di To Mu’awiyah Ne Pehle Hee Ek Saada Kaaghaz Par Apni Mohr Lagaa’i Aur Saada Kaaghaz Imam Hasan Ke Paas Bhej Diya Aur Kaha Ki Is Kaaghaz Par Jo Sharte’n Aap Chaahte Hain Woh Likh De’n. Mujhe Sab Manzoor Hain. Imam Hasan Ko Jab Mohr Waala Kaaghaz Pahoncha To Imam Hasan Ne Jo Mu’awiyah Ko Pehle Sharaa’it Likhkhi Thi’n Un Me Chand Sharaa’it Ka Izaafa Kar Diya Aur Yeh Mohr Waala Kaaghaz Imam Hasan Ne Apne Paas Rakh Liya Aur Mu’awiyah Ne Imam Hasan Mujtaba Ka Pehla Khat Apne Paas Rakh Liya Jab Imam Hasan Aur Mu’awiyah Kee Mulaaqaat Hu’i To Imam Hasan Ne Mu’awiyah Ko Kaha Ki Tum In Sharaa’it Ko Poora Karo Jis Par Tum Ne Mohr Lagaa’i Hai. Mu’awiyah Ne Inkaar Kar Diya Aur Kaha Ki Mein Un Sharaa’it Ko Manzoor Karta Hoo’n Jo Aap Ne Pehle Khat Me Likhi Thi. Imam Hasan Ne Farmaya: Aap Woh Sharaa’it Taslim Kare’n Jin Sharaa’it Ke Maan Ne Ka Mu’aahada Kiya Hai Jin Par Mohr Lagaa’i Hai. Gharz Yeh Ki Mu’amala Me Ikhtelaaf Ho Gaya Aur Mu’awiyah Ne Imam Hasan Kee Kisi Shart Ko Bhi Poora Na Kiya. Ibn Jarir Ke Kalaam Se Saabit Hu’a Ki Imam Hasan Ne Jo Sulh Kee Thi Woh Sulh Mashroot Thi Magar Mu’awiyah Ne Kisi Shart Ko Bhi Poora Na Kiya. Albatta Imam Hasan Ne Sulh Ke Sharaa’it Me Mu’awiyah Ke Ikhtelaaf Karne Aur Sulh Ke Sharaa’it Ko Poora Na Karne Ke Baawajood Sulh Kar Lee Aur Sulh Ko Apni Taraf Se Bar-Qaraar Rakhkha Aur Sulh Ke Khilaaf Ko’i Baat Tak Na Kee Jis Kee Waj’h Imam Hasan Mujtaba Ne Khud Yeh Farmaa’ii Ki Agar Yeh Sulh Na Karta To Qatl, Khoonrezi Aur Fasaad Hota Jis Ko Mein Naa Pasand Karta Tha Neez Shaami Log Yeh Kehte Ki Ham To Sulh Karna Chaahte They Magar Rasoole Paak Ke Bete Ne Sulh Nahin Kee. Imam Hasan Mujtaba Ne Farmaya: Mein Sirf Sulh Ummat Kee Islaah Aur Ummat Ko Qatl-o Khoonrezi Se Bachaane Aur Allah Ta’ala Kee Khushnoodi Aur Razamandi Ke Liye Kee Hai.
لقد كان الحسن فى صلحه مح معاوية مصيب، بار راشد، ممدوح وليس يجد فى نفسه حرجا.
Imam Hasan Ne Jo Mu’awiyah Se Sulh Kee Us Me Imam Hasan Haq Par The. Aap Raast Baaz, Raast Raw Aur Mamdooh The Aap Ne Dil Me Ko’i Tangi Aur Malaamat Aur Nadaamat Mehsoos Na Karte The Balki Aap Us Se Raazi Aur Khush The Aur Jab Aboo Aamir Sufyan Bin Layl Ne Imam Hasan Ko Sulh Karne Par Aar Dilaa’i To Aap Ne Aboo Aamir Ko Kaha: ولكنى كرهت ان اقتلهم على الملك Ki Mein Ne Baadshaahat Aur Dunya Ke Liye Ladna Pasand Nahin Kiya. Lehaaza Mein Ne Sulh Kar Lee Hai Aur Imam Hasan Ne Sulh Ke Zari’e Ummat Ke Khoon Ko Raa’ega’n Behne Se Bacha Liya Hai Jaise Ki Khud RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Is Baare Me Aap Kee Mad’h Kee Hai . Imam Hasan Mujtaba Ne Mu’awiyah Ke Saath Sulh Mehz Is Bina Par Kee Ki Ummate Muslima Qatl-o Khoonrezi Se Bach Jaa’e Aur Ba-Qaul Ibn Jarir Mu’awiyah Ne Sulh Kee Kisi Shart Ko Poora Nahin Kiya Balki Aap Kee Hukoomat Ke Governoro’n Aur Haakimo’n Ne Sulh Ke Tamaam Sharaa’it Kee Dhajjiya’n Bikher Dee’n Aur Un Sharaa’it Kee Sakht Khilaaf Warzi Kee.
–
[Imam Hasan ‘Alaihis-Salam Aur Khilafate Rashidah, Safha-158_161, Talif: Mufti-e A’zam Hazrat Ustadh-ul-Ulama’ Musannif: Ghulam Rasool Jama’ati Naqshbandi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh,
(01) Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa-Al-Mulook Al-Ma’roof Tarikh Al-Tabari, 04/28,
(02) Khamis Al-Khulafa’ Al-Rashidin,/374, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa-Al-Nihayah, 08/31.]