
Huzoor ki Wasiyat!
Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Jo Mujhpar Imaan laaya aur Meri Tasdeeq ki, usey Mai Wilayat-e-Ali ki Wasiyat karta hun! Jisne Usey Wali jaana usne Mujhe Wali jaana aur jisne Mujhe Wali jaana usne Allah ko Wali jaana. Aur jisne Ali (Alaihissalam) se Mohabbat ki usne Mujhse Mohabbat ki aur jisne Mujhse Mohabbat ki usne Allah se Mohabbat ki. Aur jisne Ali se bugz rakha usne Mujhse bugz rakha aur jisne Mujhse bugz rakha usne Allah se bugz rakha.”
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Haysami ne is Hadees ko Tabrani se riwayat kiya hai aur Iske Ruwaat ko Siqah (sachhe) karar diya hai!
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/108,109
Ibne Asakir, Tarikh-e-Damishq al Kabir, 45/181,182
Hisamuddin Hindi, Kanzul Ummal, 11/611, #32958