
*Acchay A’amaal karnay ki fazeelat*
Hazrat Sayyiduna Jabir Radi’Allahu Ta’ala Anh say riwayat hay kay Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi Wa Sallam nay farmaya: Bay shak Allah nay mujhay
Husn-e-Akhlaq aur achhay a’amaal ko kamaal tak pohanchanay
kay liye mab’oos farmaya hay.
📗 (Al-Mu’jam-ul-Awsat, vol. 5, pp. 153, Hadees. 6705)
Hazrat Sayyiduna Jabir
Radi’Allahu Ta’ala Anh say riwayat hay kay Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi Wa Sallam nay farmaya: bay shak Allah achhay aur a’ala kamon ko pasand aur buray kaamon ko na pasand fermata hay.
📗 (Shu’ab-ul-Iman lil Bayhaqi, vol. 6, pp. 241, Hadees. 8012)
Hazrat Sayyiduna Usman bin Affan Radi’Allahu Ta’ala Anh say riwayat hay
kay Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi Wa Sallam nay farmaya: Allah kay liye
117 akhlaq hayn. Jo bandah in may say kisi aik ko apnaye ga
Allah usay zaroor Jannat may dakhil farmaye ga.
📗 (Musnad Abu Dawud Tiyalsi, Al-Juz-ul-Awwal, pp. 14, Hadees: ‘Usman Bin ‘Affan)
Hazrat Sayyiduna Abu Sa’eed Khudri Radi’Allahu Ta’ala Anh say riwayat hay kay Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi Wa Sallam nay farmaya: Allah kay Huzoor aik lawh hay jis par 315 akhlaaq hayn. Allah Irshad fermata hay jo in may say kisi aik par amal karay aur
Mayray sath kisi ko shareek na tahraye to Mayn usay Jannat
may dakhil karoon ga.”
📗 (‘Umda-tul-Qari Sharah Sahih Bukhari, vol. 1, pp. 196, Taht Al-Hadees. 9)
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi Wa Sallam nay Irshad farmaya: Iman kay 333 awsaaf hayn jo in may say kisi aik par bhi amal karay ga
Jannat may dakhil hoga.”
📗 (Ma’rifat-us-Sahabah li Abi Na’im, vol. 3, pp. 328, Raqm 1943, Ubayd Abu
‘Abdur Rahman, Hadees. 4806)