
Assalamualaikum warahmatullah hi wabarakatuhu
*Qaum e Nooh ki sarkashi aur Sayyedna Nooh Alaihissalam ki dua*
*Inse pahle qaum e Nooh ne (bhi) jhutlaya tha. So unhone Hamare Banda (e Mursal Nooh Alaihissalam) ki takzeeb ki aur kaha : (ye’h) deewana hai, aur unhe’n dhamkiya’n di gayi’n. So unhone apne Rabb se dua ki ki Mai’n (apni qaum ke mazalim se) aajiz hu’n pas Tu intiqam le.*
Al-Qur’an, Al-Qamar – 54:9_10
*Hazrat Nooh Alaihissalam zameen par khuda ke pahle Rasool*
Hazrat Abu Huraira aur Hazrat Anas RadiAllahu Anhuma Nabi e Akram ﷺ se marwi hadees e shafa’at ne bayaan karte hain ki Aap ﷺ ne farmaya : *Tamam log (roz e Qayamat) Hazrat Nooh Alaihissalam ke paas aaye’nge aur arz kare’nge : Aye Nooh! Beshak Aap ahle zameen ki taraf sabse pahle Rasool hain aur tahqeeq ALLAH Ta’ala ne Aapko Abdan Shakoora (Shukrguzar bande) ka laqab ata kiya.*
Sahih Bukhari – 4435, Sahih Muslim – 194, Sunan Tirmizi – 2434, Sunan ul Kubra Nisayi – 11286