“Aur aap kya samjhe hain ki wo (Deen-e-Haq ki Mujahidey ki) ghaati kya hai
Wo (gulaami aur mehkumi ki zindagi se) kisi gardan ka aazad karaana hai.”
“Ya bhukwaale din (yaani kehato iflaas ke daur me gareebo aur mehrumul mayishat logo ko) khana khilana hai (yaani unke ma’aashi ta’attul aur ibtila ka khatm karne ki jaddo jahad karna hai).”
“Qarabat daar Yateemo ko”
“Ya shadeed gurbat ke maare hue mohtaaj ko jo mahaz khaak nashin (aur bay-ghar) hai.”
Surah Balad 90: 12-16
Allah Ta’ala yahan define karraha hai ke Deen ke sachhe Mujahid kaun hain, unki sifaat kya hain. To isme ek sifaat ye bhi Baari Ta’ala ne bayan farmayi ke Deen-e-Haq ke Sachhe Mujahid wo log hain jo un yateemo ki kafalat karte hain jo unke rishtedaar hain, Qarabat daar Yateem.
Ek aam musalman agar apne gharke kisi Yateem ki kafalat kare to Allah Ta’ala Usko is Deen ka mujahid kehraha hai. To phir Us Shakhs ka Allah ke
haan kya Martaba hoga jisne kisi aam musalman ko nahi balke Khud Uski Kafalat ki Jisne Ye Deen puri duniya ko sikhaya!! Ek aam musalman apne kisi rishtedaar yateem ki kafalat kare to usko ye martaba miley aur jisne khud is Deen ko Laane waale Sayyeduna Muhammad-e-Mustafa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Kafalat ki, Uske Muqaam-o-Martabe ka Aalam kya hoga! Wo kaun they? Wo Hazrat Abu Talib Alaihissalam they!