
Nu’man Ibn Bashir (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) ne Farmaya Dua Hi Toh Ibadat Hai, Fir Aapne “Surah (40) Momin” Ki “Aayat 60″ Tilawat Farmayi,
.
(وَقَالَ رَبُّكُمُ ٱدْعُونِىٓ أَسْتَجِبْ لَكُمْ ۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَسْتَكْبِرُونَ عَنْ عِبَادَتِى سَيَدْخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ)
.
“Tumhare Parwardigar ne Farmaya Ke Mujhe Pukaro! Main Tumhari Dua Qabool Karunga, Aur Jo Log Meri Ibadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-O-Khuwar Hokar Jahannum Me Dakhil Honge” .
.
Reference : Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book: Kitaab-ul-Dua, Hadees #1297
_ Nu’man ibn Bashir (Radi Allahu Anhu) se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) ne Farmaya Dua Ibadat Hai Aur Tumharey Rab Ka Farman Hai Mujhse Dua Karo Mein Qubul Karunga. . Reference : Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1466 _
Anas (Radi Allahu Anhu) se Pucha Gaya Ke Rasool’Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) Kaunsi Dua Kasrat se Manga Karte They Anas (Radi Allahu Anhu) ne Kaha Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Kasrat se Jo Dua Mangte They Wo Ye Thi
.
اللَّهُمَّ آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
.
Aaye Allah Hume Duniya Mein Bhi Bhalayee De Aur Akhirat Mein Bhi Bhalayee De Aur Hume (Dozhak Ke) Aag ke Azaab se Mehfuz Rakh
.
Anas (Radi Allahu Anhu) Jab Bhi Koi Ek Dua Mangna Chahate To Yahi Dua Mangte Aur Jab Bhi Badi Dua Mangna Chahate to Us Mein Ye Dua Bhi Mangte
.
Reference :
- Sahih Muslim : 6840
- Sahih Al Bukhari : 6389
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ