
Halat-e-Namaz me Maula Ali Alaihissalam ka Khayal, Sunnat-e-Tajdar-e-Kainat hai! SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Hazrat Abdullah ibne Nujaiyy RadiAllahu Anhu farmate hain ke Hazrat Maula Ali Alaihissalam ne farmaya ke Mai din raat me 2 dafa Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me Haazir hota. Jab Mai Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me raat ke waqt haazir hota (aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada farma rahe hote) to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mujhe ijazat inayat farmane ke liye Khaanste.
Is Hadees ko Imam Nasai aur Ibne Majjah ne riwayat kiya hai.
Hazrat Abdullah ibne Nujaiyy RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Sayyeduna Maula Ali Alaihissalam ne farmaya: Sehri ke waqt ek sa’at aisi thi ke jisme Mujhe Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me Haazir hona nasib hota. Pas agar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz padhne keliye Khade hote to Mujhe batane keliye Tasbeeh farmate pas ye Mere liye ijazat hoti aur agar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz na padh rahe hote to Mujhe ijazat inayat farma dete.
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.
- Nasayi, Sunan, 3/12, #1212
Ibne Majjah, Sunan, 2/1222, #3708
Nasayi, Sunan al Kubra, 1/360, #1136
Ibne Abi Shaybah, Musannaf, 5/242, #25676 - Ahmed bin Hanbal, Musand, 1/77, #57
Dr. Tahir ul Qadri, Kanzul Mattalib fee Manaqib Ali ibne Abi Talib Alaihi-Mussalam
Apni Namaz me bhi Kainat ka Tajdar Jinko na bhuley, Usse tumhe taklif hai? Kya mu dikhaoge marne ke baad Allah aur Rasool ko! SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam.