Qaseeda Dar Shaan e Mola Amir ul Momineen Syedina Hasan Al Mujtaba (Alayhis Salam)

Qaseeda Madeehiyya Dar Shaan e Kareem e Ahle-Bait, Sibt e Akbar, imam e Dosara, Sarkar e Sabz-Qaba , Mola Amir ul Momineen Syedina Hasan Al Mujtaba (Alayhis Salam)

Khuda ka Fazl yun ab gaam gaam hai Logo
Zuba’n pe Naam e Hasan a.s. Subh o Shaam hai Logo 

Hasan a.s. wo Sibt e Rasool e Anaam hai Logo
imam Das ka , khud ibne imam hai Logo 

Jo Dil se Sibt e Nabi ka ghulam hai Logo 
Wo Surkhuru hai Wohi shadkaam hai Logo 

Jise Nabi kahein “Sayyid” Hasan a.s. wo Arfa-Muqam 
Hasan a.s. ke Rutbe mein kisko Kalam hai Logo 

Nabi ki Aal ka wo Fard e Awwaleen Hasan a.s. 
Ke jiski Madh’a mein Rab ka Kalam hai Logo

Jo ban ke aaya hai Tafseer e Surah e Kausar
Hasan a.s. us Ehd-e-ilaahi ka Naam hai Logo

Qarar e Zehra s.a. hai Wo Jansheen e Haider a.s. hai
Habib e Haq ka Wo Qaim-muqam hai Logo 

Hasan a.s. ko dekh ke kehti hai Khalq Hairat se 
Ye Hu-ba-Hu Sh’he Khairul-Anaam hai Logo 

Ke Jiske Naam ki Tasgheer ko “Hussain” kahein 
Hasan Wo Husn ka Maah e Tamam hai Logo

Hussain a.s. O Zainab s.a. O Kulsum s.a. hain jiske Bhai Behen 
Hasan a.s. Wo Sahib e Fakhr e Dawaam hai Logo 

Jise Salam karein Das imam badh badh kar 
imamzada Hasan a.s. wo imam hai Logo 

Wo jiska Saif e Qalam Rashk e Zulfiqar bana
Wo jiski Sulh’a jihad e Tamam hai Logo 

Gadagaron ko bheek mein jo Saltanat de de 
Hasan a.s. us Aali-Himam ka hi Naam hai Logo 

Kareem insa na paoge Aye jahan walo ! 
Khud Ahle-Bait ka ye Qaul e Aam hai Logo 

Wo jin Labon ko diya Jaam e Zeher Dunya ne 
Wo Bosa-gaah e Rasool e Anaam hai Logo 

Badal saka na zeher jiska Lutf e Khulq o Karam 
Hasan a.s. wo Shiree’n-Dehen , Khush-kalam hai Logo 

Koi kar sakta hai Kya Wasf e Sh’he Sabz-Qaba a.s. 
Ke Unki Madh’a ko Rab ka Kalam hai Logo 

Main Naam lene se pehle Durood kyun padhun 
Ke Baad Naam ‘Alayhis Salam’ hai Logo 

Tufayl e Qadir eJila.n r.a. Janab e Shabbar a.s. ka 
Faraz e Hasni ik Adna Ghulam hai Logo.

Aali Martabat, Tarjumaan e Mashrab e Auliya, Haq Aagah Hazrat Syed Faraz Hasani Warsi Damat Barkatuhumul Aaliya.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s