
بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞
Karamat Mola Imaam Hussain Badsha (Alaihis Salam)
Hazrat Syedna Imaam e Aali’maqaam Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Jab Madina Pak Se Makkah Mukarrama Ki Taraf Rawana Hue To Raste Me Hazrat Syedna Ibne Muti (Razi Allahu Tala Anhu) Se Mulaqat Hui, Unhone Arz Ki :- Mere Kue Me Pani Bhut Hi Kam Hain Barai Karam Dua e Barkat Se Nawaz Dijiye, Hazrat Syedna Imaam Hussain (Alaihis Salam) Ne Us Kue Ka Pani Talab Farmaya Jab Pani Ka Dol Hazir Kiya Gya To Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Ne Muh Laga Kar Usme Se Pani Nosh Farmaya Aur Kulli Ki, Phir Dol Ko Wapis Kue Me Dal Diya To Kue Ka Pani Kafi Badh Bhi Gya Aur Pehle Se Zada Meedha Aur Lazeez Bhi Ho Gya… SUBHAN ALLAH
📚 Reference 📚
Al Tablat ul Kubra, Jild – 5, Safa – 110