Hadith on Fazaile Mawla Ali Alahiassalam

Hazrat Abdullah Bin Masud رض Ne Farmaya Hum Ahle Madinah Mein Sab Se Afzal Sayyedna Ali ع Ko Samajhte Thae.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)

Hazrat Salman Farsi رض Se Riwayat Hai Ke Maine Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Suna Ke Aapne Farmaya Mein Aur Ali Allah Ta’ala Ke Samne Nur Thae, Khilqate Aadam Se 14 Hazar Saal Pehle Jab Aadam Ko Paida Kiya Gaya Toh Allah Ne Usse Mazkurah Do Hisson Mein Taqseem Kiya Ek Hissa Mein Dusra Hissa Ali Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-374)

Sayyeda Umme Atiya رض Se Riwayat Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sayyedna Ali ع Ki Zayr Qayadat Lashkar Bheja Aur Haath Utha Kar Unke Liye Dua Farmayi Aye Allah! Mujhe Zinda Rakhna Ke Mein Dobara Ali Ko Dekh Sakun.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-370)

Saeed Bin Maseeb رض Se Riwayat Hai Ke Jab Hazrat Umar Ibn Al Khattab رض Ko Koi Mushkil Pesh Aati Toh Taweez Padhte Aur Abu Al Hasan (Sayyedna Ali ع) Ki Khwaish Karte Yani Kaash Sayyedna Ali ع Us Waqt Wahan Maujud Hote Toh Woh Is Masle Ka Hal Bayan Karte.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)

Hazrat Jabir رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Aasmanon Ki Takhleeq Se Do Hazar Saal Qabl Jannat Ke Darwaze Par Ye Likha Gaya Hai Ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Ke Rasool Aur Sayyedna Ali ع Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Bhai Hein.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-378)

Hazrat Jabir رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ali ع Mera Bhai Hai Aur Mere Jhande Ka Malik Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-376)

Hazrat Ammar Bin Yasir رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ameer Al Mu’minin Imam Ali ع Se Farmaya Jannat Us Shaks Ke Liye Hai Jo Tumhare Saath Sacchi Muhabbat Karta Hai Aur Tumhare Baare Mein Sach Bolta Hai, Halakat Uske Liye Hai Jo Tumhare Saath Bugz Rakhta Hai Aur Tumhare Baare Mein Jhut Bolta Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-384)

Hazrat Abu Zubair رض Se Riwayat Hai Ke Maine Hazrat Jabir Bin Abdullah رض Se Pucha Ke Aap Sahabae Kiraam Mein Ameer Al Mu’minin Imam Ali ع Ka Kya Maqam Hai? Toh Unhone Farmaya Woh Hum Mein Khair Al Bashr Thae, Hum Munaqifon Ko Sirf Unhi Se Bugz Ki Bina Par Pehchante Thae.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-379)

Hazrat Abu Saleh رض Se Riwayat Hai Ke Hazrat Abdullah Ibn Abbas رض Maut Ke Waqt Ye Dua Farma Rahe Thae Aye Allah! Mujhe Ali ع Ke Tufail Apni Qarabat Ata Farma.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-374)

Hazrat Saeed Khudri رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shaks Hamare Ahle Bait Se Bugz Rakhega Woh Munafiq Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-373)

Hazrat Abdullah Bin Abbas رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mujhe Sayyedna Ali ع Ke Pas Bheja Ke Unhein Kehna Aye Ali! Tum Duniya Aur Aakhrat Mein Sardar Ho, Jo Aapse Muhabbat Karega Woh Mujhse Karega, Jisne Tumse Muhabbat Ki Usne Mujhse Muhabbat Ki, Tumhara Dost Allah Ka Dost Aur Tumhara Dushman Mera Dushman Hai Aur Mera Dushman Allah Ka Dushman Hai Aur Halakat Hai Us Shaks Ke Liye Jo Mere Baad Aapse Bugz Rakhega.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-361)

Sayyeda Asma Binte Umaysh رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sayyedna Ali KaramAllahu Wajhul Kareem Se Farmaya Tumhari Mere Saath Nisbat Wahi Hai Jo Sayyedna Harun ع Ko Sayyedna Musa ع Ke Saath Thi Magar Mere Baad Nabi Nahi Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-361)

Sayyeda Umme Salma Salamullah Alaiha Se Riwayat Hai Ke Maine Suna Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Sayyedna Ali ع Se Farma Rahe Thae Aapse Muhabbat Nahi Karega Magar Momin Aur Bugz Nahi Rakhega Magar Munafiq.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-366)

Abdullah Bin Yazeed Madni رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Samne Sayyedna Ali ع Ke Faisle Ka Tazkirah Hua Woh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Accha Laga Toh Aapne Farmaya Tamam Tareefein Yaqeenan Allah Ta’ala Ke Liye Hein Jisne Mere Ahle Bait Mein Hikmat Rakhi Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-369)

Saeed Se Riwayat Hai Ke Sahabae Kiraam Mein Se Siwae Maula Ali ع Ke Koi Bhi Ye Nahi Kehta Tha Ke Mujhse Pucho( Yani Woh Khud Bohot Bade Aalim Aur Faqih Fi Al Deen Thae.)

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)

Ameer Al Mu’minin Imam Ali ع Se Riwayat Hai Ke Uhud Ke Din Saare Log Bhaag Gaye, Maine Qaum Ko Ubhara Toh Achanak Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Mera Samna Hua, Sayyedna Jibraeel ع Ne Kaha Yahi Haqeeqi Dosti Hai Toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ye Mujh Se Hai Aur Mein Isse Hun Toh Sayyedna Jibraeel ع Ne Kaha Ya Rasoolullah! Mein Aap Dono Se Hun.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-371)

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s