22 Ramzan

*जिसको पाल कर हलीमा गनी हो गई*

*अमीना तेरी दौलत पर लाखों सलाम*

*22 रमज़ान यौम ए विसाल बीबी सैय्यदा हलीमा सादिया*
*(सलामुल्लाह अलैहा)*

 

651e2c92-c078-402a-adcc-b36af2b42dfc3fed9c9a-d5cd-4116-9863-0c5ee1610231 (1)

Hazrat-Naeem-Ata-Shah-saloni-رحمتہ-اللہ-علیہ

Hadith on Fazaile Mawla Ali Alahiassalam

Hazrat Abdullah Bin Masud رض Ne Farmaya Hum Ahle Madinah Mein Sab Se Afzal Sayyedna Ali ع Ko Samajhte Thae.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)

Hazrat Salman Farsi رض Se Riwayat Hai Ke Maine Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Suna Ke Aapne Farmaya Mein Aur Ali Allah Ta’ala Ke Samne Nur Thae, Khilqate Aadam Se 14 Hazar Saal Pehle Jab Aadam Ko Paida Kiya Gaya Toh Allah Ne Usse Mazkurah Do Hisson Mein Taqseem Kiya Ek Hissa Mein Dusra Hissa Ali Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-374)

Sayyeda Umme Atiya رض Se Riwayat Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sayyedna Ali ع Ki Zayr Qayadat Lashkar Bheja Aur Haath Utha Kar Unke Liye Dua Farmayi Aye Allah! Mujhe Zinda Rakhna Ke Mein Dobara Ali Ko Dekh Sakun.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-370)

Saeed Bin Maseeb رض Se Riwayat Hai Ke Jab Hazrat Umar Ibn Al Khattab رض Ko Koi Mushkil Pesh Aati Toh Taweez Padhte Aur Abu Al Hasan (Sayyedna Ali ع) Ki Khwaish Karte Yani Kaash Sayyedna Ali ع Us Waqt Wahan Maujud Hote Toh Woh Is Masle Ka Hal Bayan Karte.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)

Hazrat Jabir رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Aasmanon Ki Takhleeq Se Do Hazar Saal Qabl Jannat Ke Darwaze Par Ye Likha Gaya Hai Ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Ke Rasool Aur Sayyedna Ali ع Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Bhai Hein.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-378)

Hazrat Jabir رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ali ع Mera Bhai Hai Aur Mere Jhande Ka Malik Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-376)

Hazrat Ammar Bin Yasir رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ameer Al Mu’minin Imam Ali ع Se Farmaya Jannat Us Shaks Ke Liye Hai Jo Tumhare Saath Sacchi Muhabbat Karta Hai Aur Tumhare Baare Mein Sach Bolta Hai, Halakat Uske Liye Hai Jo Tumhare Saath Bugz Rakhta Hai Aur Tumhare Baare Mein Jhut Bolta Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-384)

Hazrat Abu Zubair رض Se Riwayat Hai Ke Maine Hazrat Jabir Bin Abdullah رض Se Pucha Ke Aap Sahabae Kiraam Mein Ameer Al Mu’minin Imam Ali ع Ka Kya Maqam Hai? Toh Unhone Farmaya Woh Hum Mein Khair Al Bashr Thae, Hum Munaqifon Ko Sirf Unhi Se Bugz Ki Bina Par Pehchante Thae.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-379)

Hazrat Abu Saleh رض Se Riwayat Hai Ke Hazrat Abdullah Ibn Abbas رض Maut Ke Waqt Ye Dua Farma Rahe Thae Aye Allah! Mujhe Ali ع Ke Tufail Apni Qarabat Ata Farma.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-374)

Hazrat Saeed Khudri رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shaks Hamare Ahle Bait Se Bugz Rakhega Woh Munafiq Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-373)

Hazrat Abdullah Bin Abbas رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mujhe Sayyedna Ali ع Ke Pas Bheja Ke Unhein Kehna Aye Ali! Tum Duniya Aur Aakhrat Mein Sardar Ho, Jo Aapse Muhabbat Karega Woh Mujhse Karega, Jisne Tumse Muhabbat Ki Usne Mujhse Muhabbat Ki, Tumhara Dost Allah Ka Dost Aur Tumhara Dushman Mera Dushman Hai Aur Mera Dushman Allah Ka Dushman Hai Aur Halakat Hai Us Shaks Ke Liye Jo Mere Baad Aapse Bugz Rakhega.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-361)

Sayyeda Asma Binte Umaysh رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sayyedna Ali KaramAllahu Wajhul Kareem Se Farmaya Tumhari Mere Saath Nisbat Wahi Hai Jo Sayyedna Harun ع Ko Sayyedna Musa ع Ke Saath Thi Magar Mere Baad Nabi Nahi Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-361)

Sayyeda Umme Salma Salamullah Alaiha Se Riwayat Hai Ke Maine Suna Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Sayyedna Ali ع Se Farma Rahe Thae Aapse Muhabbat Nahi Karega Magar Momin Aur Bugz Nahi Rakhega Magar Munafiq.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-366)

Abdullah Bin Yazeed Madni رض Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Samne Sayyedna Ali ع Ke Faisle Ka Tazkirah Hua Woh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Accha Laga Toh Aapne Farmaya Tamam Tareefein Yaqeenan Allah Ta’ala Ke Liye Hein Jisne Mere Ahle Bait Mein Hikmat Rakhi Hai.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-369)

Saeed Se Riwayat Hai Ke Sahabae Kiraam Mein Se Siwae Maula Ali ع Ke Koi Bhi Ye Nahi Kehta Tha Ke Mujhse Pucho( Yani Woh Khud Bohot Bade Aalim Aur Faqih Fi Al Deen Thae.)

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-365)

Ameer Al Mu’minin Imam Ali ع Se Riwayat Hai Ke Uhud Ke Din Saare Log Bhaag Gaye, Maine Qaum Ko Ubhara Toh Achanak Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Mera Samna Hua, Sayyedna Jibraeel ع Ne Kaha Yahi Haqeeqi Dosti Hai Toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ye Mujh Se Hai Aur Mein Isse Hun Toh Sayyedna Jibraeel ع Ne Kaha Ya Rasoolullah! Mein Aap Dono Se Hun.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Safa-371)

Hadeeth *सदक़ये फित्र

*सदक़ये फित्र*

*हदीस* – रसूल अल्लाह ﷺ इरशाद फरमाते हैं कि बन्दे का रोज़ा आसमानो ज़मीन के बीच रुका रहता है जब तक कि सदक़ये फित्र अदा ना कर दे

📕 बहारे शरीअत,हिस्सा 5,सफह 66

*हदीस* – रसूल अल्लाह ﷺ इरशाद फरमाते हैं कि सदक़ये फित्र इस लिए मुक़र्रर किया गया ताकि तमाम बुरी और बेहूदा बातों से रोज़ों की तहारत हो जाये

📕 अनवारुल हदीस,सफह 257

*फुक़्हा* – सदक़ये फित्र देने वाले को उसके हर दाने के बदले जन्नत में 70000 महल मिलेंगे

📕 क्या आप जानते हैं,सफह 384

*फुक़्हा* – तालिबे इल्म पर 1 दरहम खर्च करना गोया उहद पहाड़ के बराबर सोना खर्च करना है

📕 क्या आप जानते हैं,सफह 385

*फुक़्हा* – सदक़ये फित्र में गेहूं की शुरुआत हज़रत अमीर मुआविया रज़ियल्लाहु तआला अन्हु के दौर से हुई इससे पहले सदक़ये फित्र में खजूर मुनक्का और जौ ही दिया जाता था

📕 क्या आप जानते हैं,सफह 393

*फुक़्हा* – उम्मते मुहम्मदिया में जब कोई शख्स सदक़ा करता है तो जहन्नम रब से अर्ज़ करती है कि मौला मुझे सज्दये शुक्र की इजाज़त दे कि इस उम्मत से एक शख्स तो मुझसे निजात पा गया

📕 क्या आप जानते हैं,सफह 394

*मसअला* – सदक़ये फित्र मालिके निसाब मर्द औरत बालिग नाबालिग आकिल पागल हर मुसलमान पर वाजिब है,2 किलो 47 ग्राम गेहूं की कीमत जो फिलहाल 55 रू बन रही है

📕 अनवारुल हदीस,सफह 257

*HADEES* – Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki bande ka roza zameeno aasman ke beech ruka rahta hai jab tak ki sadqaye fitr ada na karde

📕 Bahare shariyat,hissa 5,safah 66

*HADEES* – Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki sadqaye fitr is liye muqarrar kiya gaya hai taaki tamam buri aur behuda baaton se rozo ki taharat ho jaaye

📕 Anwarul hadees,safah 257

*FUQHA* – Sadqaye fitr dene waale ko uske har daane ke badle jannat me 70000 mahal milenge in sha ALLAH taala

📕 Kya aap jaante hain,safah 384

*FUQHA* – Taalibe ilm par 1 darham kharch karna goya uhad pahaad ke barabar sona kharch karne jaisa hai

📕 Kya aap jaante hain,safah 385

*FUQHA* – Sadqaye fitr me gehun ki shuruwat hazrate ameer muaviya raziyallahu taala anhu ke daur se huyi isse pahle sadqaye fitr me khajoor munakka aur jau hi diya jaata tha

📕 Kya aap jaante hain,safah 393

*FUQHA* – Ummate muhammadiya me jab koi shakhs sadqa karta hai to jahannam arz karti hai ki ai maula mujhe sajdaye shukr ki ijazat de ki is ummat se ek shakhs mujhse nijaat pa gaya

📕 Kya aap jaante hain,safah 394

*MASLA* – Sadqaye fitr maalike nisaab mard wa aurat baalig nabaalig aakil paagal har musalman par waajib hai 2 kg 47 gram gehun ki keemat jo filhaal 45 rs ban rahi hai

📕 Anwarul hadees,safah 257

Hadeeth Tirmizi: 2905

🌷 ▫ * Hadeeth* ▫ 🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Huzoor ﷺ ne farmaaya ke jis shakhs ne Qur’aan padha, phir us ko zabaani yaad kiya aur us ke halaal ko halaal aur haraam ko haraam jaana to Haq Ta’ala Shaanuhu us ko Jannat mein daakhil farmaaeinge aur us ke gharaane mein se aise das aadmiyon ke baare mein us ki shafa’at qubool farmaaeinge jin ke liye Jahannam waajib ho chuki ho.
(Tirmizi: 2905)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰