👆 Sureh Al Kausar Ki Is Aayat mein Allah , Rasoolallah Se Farmaraha ( Mafum) Hai *Aye Pyaare Mehboob Meri Ibadat Karo Aur Qurbani Do…*
Ab Ibadaton Mein *Sabse Afazal Ibadat – *Namaz Hai*!!! Namaz Mein Sabse *Afzal Sajda Hai*…Aur Qurbani Mein *Sab Se Afzal Qurbani Apne Khoon Ki Qurbani Hai* Jo Raah E Khuda Mein Di Jaaye ..
Toh Ab Is *Aayat Ko Agar Yun Samjha* Jaaye ke ; *Allah Rasoolallah Se Farmaraha* Raha Hai ke — *Aye Pyare Habib Halat E Namaz Mein Aur Namaz Ke Mein Sajde Mein Khoon Ki Qurbani De….!!!* Toh *Rasoolallah Namaz Toh Pad Sakte* Hain !!! Sajda Bhi Kar Sakte Hain !!! *Per Apne Khoon ki Qurbani Nahi De Sakte* , Kyun Ke Rasoolallah Ko Koi Kisi Bhi Hathiyaar Se *Maar Nahi Sakta !!!!*
Toh Ab *Aayat Ka Hukm Kaise Pura Ho ???*
Toh Jawab Dene Ke Liye Aur *Rasoolallah Ki Mushkilein Dur Karne Ke Liye Wahi Aayega Jise Rasoolallah Ne Allah Se Maanga Hai , Jo Rasool Se Hai* Jo Rasool Ka Noor Hai *Jo Rasool Ka Nafs Hai* Jo Rasool Ka Ghosh Hai Wa Khoon Hai *Jo Rasool Ka Waris Wa Wasi Hai ,*
Aur *19 Ramadan Ki Fajr kii Namaz Mein *Jaa–Nasheen E Payambar Ne Sureh Al Kausar ki Is Aayat Ka Muqammal Tarjuma Aur Tafseer* Taa Qayamat Taq Aane Wali *Duniya Ko Hi Nahi Balke Jo Duniya Ghuzar Chuki Unhe Bhi Bata Diya* ( Jaise Ke *Adam Se Lekar Isa Alaihimussalaam Taq* Unke Walion Taq , Jin Jin Ka *Imaan Aakhri Rasool Wa Aale Rasool Wa Quran Per Tha Aur Hai Un Sab Ko Batadiya Ke Nafs E Rasool Kise Kehte Hain,,!!!)*
*Parwardigaara Tera Be Panah Ehsaan Hai Ke Tune Meri Maa Ki Har Haal Mein Hifazat Farmayi Jiske Sabab Hum Tere Habib Ke Nafs Maula Ali Alaihyssalaam Ke Chahne Wale Ba Sake 🙏🙏🙏🙏🙏*
*Allahumma Salle Ala Mohammad Wa Aala Aale Mohammad*
Day: May 18, 2020
Hadeeth Huzoor ki Wasiyat!
Huzoor ki Wasiyat!
Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Jo Mujhpar Imaan laaya aur Meri Tasdeeq ki, usey Mai Wilayat-e-Ali ki Wasiyat karta hun! Jisne Usey Wali jaana usne Mujhe Wali jaana aur jisne Mujhe Wali jaana usne Allah ko Wali jaana. Aur jisne Ali (Alaihissalam) se Mohabbat ki usne Mujhse Mohabbat ki aur jisne Mujhse Mohabbat ki usne Allah se Mohabbat ki. Aur jisne Ali se bugz rakha usne Mujhse bugz rakha aur jisne Mujhse bugz rakha usne Allah se bugz rakha.”SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Haysami ne is Hadees ko Tabrani se riwayat kiya hai aur Iske Ruwaat ko Siqah (sachhe) karar diya hai!
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/108,109
Ibne Asakir, Tarikh-e-Damishq al Kabir, 45/181,182
Hisamuddin Hindi, Kanzul Ummal, 11/611, #32958
Dr. Tahir-ul-Qadri, As Saif ul Jali ala munkir-e-Wilayat e Ali Alaihissalam, #25Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Abu Talib wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.
Hadith SAHIH
Whoever does righteousness, whether male or female, while he is a believer – We will surely cause him to live a good life, and We will surely give them their reward [in the Hereafter] according to the best of what they used to do.
Hadith Tirmizi: 2905
🌷 ▫ * Hadees* ▫ 🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Huzoor ﷺ ne farmaaya ke jis shakhs ne Qur’aan padha, phir us ko zabaani yaad kiya aur us ke halaal ko halaal aur haraam ko haraam jaana to Haq Ta’ala Shaanuhu us ko Jannat mein daakhil farmaaeinge aur us ke gharaane mein se aise das aadmiyon ke baare mein us ki shafa’at qubool farmaaeinge jin ke liye Jahannam waajib ho chuki ho.
(Tirmizi: 2905)